ab woh mehke hue lamhey nahi aaya kertey
meri basti main ujaaley nahi aaya kertey
meri basti main ujaaley nahi aaya kertey
meri tanhai ka asaib yahan tak pohncha
ab meri chat pe parindey nahi aaya kertey
ab meri chat pe parindey nahi aaya kertey
dard ke rishtoon se pehchaan badhani hogi
kaam ab khoon ke rishtey nahi aaya kertey
kaam ab khoon ke rishtey nahi aaya kertey
zabt e gham hadd e adab se nahi badhne pata
mere lab per kabhi shikwey nahi aaya kertey
mere lab per kabhi shikwey nahi aaya kertey
unke hathoon main hai urdu ki ijaradari
jinko urdu hi ke hijjey nahi aaya kertey
jinko urdu hi ke hijjey nahi aaya kertey
unki tazeem karo dil main chupa ker rakho
baaraha dard ke lamhey nahi aaya kertey
baaraha dard ke lamhey nahi aaya kertey
aaj doulat hi ko miyaar bana ker rakhiye
sirf kirdaar se rishtey nahi aaya kertey
sirf kirdaar se rishtey nahi aaya kertey
waqt nasaaz agar ho to gila kis se karain
dost ahbaab bhi milney nahi aaya kertey
dost ahbaab bhi milney nahi aaya kertey
shab ka bharpoor tassur bhi zaroori haiRAIS
neend kachhi ho to sapney nahi aaya kertey
neend kachhi ho to sapney nahi aaya kertey
Comment