Dosti
Basi hain ajab khawahishain mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai
Hamesha rahe woh mere samne bas
Main us se kahoon aur woh mujh ko sune bas
Mere dil main utre yeh hasrat nahi hai
Basi hain ajab khawahishain mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai
Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye
Jo main rooth jaon to mujh ko manaye
Mere paas aaye zara muskaraye
Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye
Dopatte ke pallu se meri bheegi palkon k aansoo samete
Mere paas baithe
Mujhe batlaye, Mujhe samjhaye
Yeh har pal udaasi kuch achi nahi hai
Tumhari nigahon main rim jhim yeh shabnam
Kuch sajti nahi hai
Nahi chahta main k woh mujh ko soche
mujhi ko woh chahe
Mujhe apne jeewan ka hissa banaye
Mujhe us ki chahat se matlab nahi hai
Us ki mohabbat ki chahat nahi hai
Haan khawahish hai jis ki
Hai woh lafz Tawajjah
Woh shab Dosti hai
Comment