:rose :rose :rose
Ab apnay faisly per khud kuin uljhny lagi hoon
zara c baat per itna bikhrny kuin laggi hoon
wo jis moausm ki abb tak muntazir aankhain thee meri
iss moasam se itna darny kuin laggi hoon
mujhay nadeeda raston per safer ka shouq bhi tha
thakan pa'on se lipti hai tu marny kuin laggi hon
Mujay ye char dewari ki ronaq mar day gee
mai ek imkan thee manzal ka mitny kuin laggi hoon
mai jis ko kam se kam mahsos kerna chahtee thee
uski baat ko itna samijhny kuin laggi hoon
jo mery dil ki galiyon se kabhi guzera nai tha
abb apny hath se khat issko kuin likhny laggi hon
badan ki rakh tak bhi raston main na bachay gee
barsti barishon main yoon sulgny kuin laggi hoon
wo soraj hai dukh ka phir ye aisa kia howa hai
mai phatter thee tu aakhir abb pighlny kuin laggi hoon
:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
Comment