*****
Hum to shayad wahi hain lekin,
kuch log badal gaye hain.
kuch log badal gaye hain.
girte the kal tak har moorh par
lekin aaj sambhal gaye hain
lekin aaj sambhal gaye hain
jo dete the humein khushiyan
wo haalaat badal gaye hain.
wo haalaat badal gaye hain.
jo bane the mere humsafar
aaj wahi bicharh gaye hain
aaj wahi bicharh gaye hain
manzilein to aab bhi wohi hain
lekin kuch raste badal gaye hain
lekin kuch raste badal gaye hain
tum kya gaye is dil se
saare aarman bicharh gaye hain
saare aarman bicharh gaye hain
dekhe the kabhi humne woh saare
khowab badal gaye hain.
khowab badal gaye hain.
na badla to raaz na badla
na badla raaz ka dil
na badla raaz ka dil
baaki to is tute dil ke saare
jazbaat badal gaye hain
jazbaat badal gaye hain
*****
Comment