Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....




    Ho kar Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyu Karoon
    Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon

    Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
    Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon

    Aman Ko Mere Chot Lage gi Gar Tu Na Mila Mujhe
    Tujhe Apna Banane Ki Phir Dua Kyun Karoon

    Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
    Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon

    Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
    Main Phir Teri Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon

    Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
    Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon

    Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
    Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon

    Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
    Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon

    Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
    Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon

    Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
    Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon

    Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Teri Banjaoun Kabhi
    Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon

    Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere "??", Itna Rulaaya Hai Mujhe
    Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun KAROON
    sigpic



  • #2
    Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

    Zabardast :phool:
    Bohat khoob Wafa :rose
    Keep sharing
    Last edited by aik_lerki; 7 September 2006, 23:17.

    Comment


    • #3
      Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

      shukriya aik larki...........:rose
      sigpic


      Comment


      • #4
        Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

        really a nice ghazal thx for sharin :)






        Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
        muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
        sath hamare ye jahaaN tha sara
        par na jane kio kisi ki kami si thi....


        Comment


        • #5
          Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

          achi he

          kia yeh aap ne khud likhi he?
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

            shukriya annayah aur munda sialkot .........:phool:
            aamir me ne ye ghazal nahi likhe ...pasand aae to yaha share kar de........:)
            sigpic


            Comment


            • #7
              Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

              wafa ji
              Attached Files






              Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
              muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
              sath hamare ye jahaaN tha sara
              par na jane kio kisi ki kami si thi....


              Comment


              • #8
                Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                Wah
                Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                Comment


                • #9
                  Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                  Originally posted by Wafa View Post


                  Ho kar Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyu Karoon
                  Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon

                  Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
                  Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon

                  Aman Ko Mere Chot Lage gi Gar Tu Na Mila Mujhe
                  Tujhe Apna Banane Ki Phir Dua Kyun Karoon

                  Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
                  Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon

                  Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
                  Main Phir Teri Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon

                  Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
                  Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon

                  Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
                  Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon

                  Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
                  Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon

                  Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
                  Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon

                  Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
                  Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon

                  Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Teri Banjaoun Kabhi
                  Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon

                  Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere "??", Itna Rulaaya Hai Mujhe

                  Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun KAROON

                  KEEP IT UP

                  Khud apne saaye hee main bethna para " NASIR "
                  Koi shajar mere raaste main aistaaadaa nahi.





                  Comment


                  • #10
                    Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                    Buhat Khooobsurat Ghazal


                    Thanx For Sharing Wafa
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                      Mian bhi Jhooy bole doon kia ???

                      Comment


                      • #12
                        Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                        nice wafa

                        Comment


                        • #13
                          Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                          Zabardast

                          Comment


                          • #14
                            Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                            wow beautiful

                            Comment


                            • #15
                              Re: Adhoori Kahani Ko Main Shoro Kio Karoon....

                              Bohat Umdah.
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment

                              Working...
                              X