"Dil ki bat zaban tak lana kitna mushkil hai.
halay dil aoroon ko sunana kitna mushkil hai.
aik humain hai teri chahat,aik dunya ki majbori.
bech samandar diya jalana kitna mushkil hai.
tum dunya kay shedai ho,main sapnoon ka bashinda.
saath humain yun tera nibhana kitna mushkil hai.
aik naye dunya ki chahat lay ayi hai kitni dur.
wapas laut kay ghar ko jana kitna mushkil hai.
wheshat kay saaz pay raksaan matam kay kuch alfaaz.
in hontoon pay geet sajana kitna mushkil hai.
apnay hontoon pay ana kay talay hum say na khol payen gain.
dur hotay saathi ko bolna kitna mushkil hai.
ab to har aik hi hum ko dard ka mara lagta hai.
apnay zakham logoon ko dekhana kitna mushkil hai.
roz muhj say aik naye tamanah karta hai yeh mera dil.
is nadaan bachay ko samjhana kitna mushkil hai.
hum ankhoon say khenay walay tum hontoon ko sun nay walay.
apni chahat yun tumhain batana kitna mushkil hai.

Comment