:rose :rose :rose
yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usske udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya
yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usske udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya
dost meri ek tittli bhi to thi
jiske rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo tittli muskurai ud gai
jiske rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo tittli muskurai ud gai
meri muthi me bohut se jugnu the
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muthi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muthi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi
ek chirya roz gana gati thi
har subah khirki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahti thi
par meri aawaz us jaisi na thi
har subah khirki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahti thi
par meri aawaz us jaisi na thi
ek patang udati falak me door thi
uskaa thin thin dolna acha laga
door uski thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur roh di main
uskaa thin thin dolna acha laga
door uski thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur roh di main
chahaten poori nahi ho paati hain
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai
:rose :rose :rose
Comment