Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

.....Tamaam Dukh Hai......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • .....Tamaam Dukh Hai......

    :rose :rose

    Mohabbat bhi ajeeb sawaang bharti hai , dil k aangan mein paraao ki soorat kisi shaam uterty hai aur phir lakri k alaao ki terha dil ki zameen ko dehkaey rakhty hai............. Ye dehkan kabhi aisee bhi hoti hay k jis mein tamam khwaab hee jhulas jaaen , tamam khwahishein hee bikher jaen , tamam khushyan hee chinn jaen ...............................
    Kabhi ye khushyan bikherty hueey mann aangan ko aabaad kerti hai is terha se k her rang is ki khushi k rang se munawwar hota hai ,her gharee her pal is k dam se aabad hota hai , her saans k saath apnay honay ka ik jaandar ehsas dilatee huey Mohabbat, Her ik dharkan ko naey tarz naey lay per lay jatee huey Mohabbat, Kabhi aankh ka noor ban k zaat k aks mein rang bharty hueey Mohabbat .................. to kabhi bas dukh hee daan khieey jaati hai, kabhi kam maaeegi ka dukh to kabhi zindagi ka dukh , kabhi is k honay ka dukh to kabhi intezaar ka dukh .........

    Jinn mein ghir k her lamha bitanay per majboor hota hai insaan apni hee pehchan ko khud mein talashta hai her roz ik naeey tarz se chehray per hansi sajaey dil k dukhon ko sambhaalta huaa insaan...Jaanay q kaheen ye mohabbat dieey jaanay ka wasf nahin jaanti aur sirf khiraaj wasool karty hai, Aisa hee q hota hay k ek shakhs apnay pass maujood her cheez mohabbat k naam per daan kieey jaaey Apna Dil, Apna wajood, Apnay Aasab , Apni soch , Zindagi ka her lamha , Her yaad Aur apni her baat is Mohabbat k naam kar de aur phir bhi kuch na paa sakay ....Bas geeli lakri ki terha sulagta hee reh jaey dukhon ko saathi banaey......


    Baqol shayar:


    Hamein khabar hay tamam dukh hay
    Ye aas dukh hai, niraas dukh hay
    Udaasiyon ka libaas dukh hay
    Ye tashnagi jo azab ban ker theher gaeey hay
    Badan k boseeda saahilon per
    To is ka ehd-e-dawam dukh hay
    Ye shor karti hawa ka sara khiraam dukh hay

    Hamein khabar hay tamam dukh hay
    Ye tum mohabbat nibaaahatay ho
    To is mohabbat ka naam dukh hay
    Ye wasl mausam jo ik musalsal mughalta hay
    To is rafaqat ka naam dukh hay
    Aur isee wehshat numa fiza mein
    Khamosh rehna bhi ik saza hay
    Magar kisi se kalam dukh hai
    Hamein khabar hay tamam dukh hai
    Last edited by Eshaa Chaudhry; 19 August 2006, 17:10.
    sigpic

  • #2
    Re: .....Tamaam Dukh Hai......

    Yeh jo tehreer likhi hoye hai yeh aap ki zati kawish hai ya kisi aur ki !!!!
    :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

    Comment


    • #3
      Re: .....Tamaam Dukh Hai......

      very nice thnaks for shairing..
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • #4
        Re: .....Tamaam Dukh Hai......

        Originally posted by F-A-L-A-K View Post
        Yeh jo tehreer likhi hoye hai yeh aap ki zati kawish hai ya kisi aur ki !!!!
        ye nazm hamaree nahin hai , lekin ye tehreer kisi waqton mein zara si tuk bandi ki thi humnay:blush:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: .....Tamaam Dukh Hai......

          Originally posted by Lexicon View Post
          very nice thnaks for shairing..
          Shukriya lexicon ji:)
          Last edited by Eshaa Chaudhry; 19 August 2006, 17:07.
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: .....Tamaam Dukh Hai......

            Hamein khabar hay tamam dukh hay
            Ye tum mohabbat nibaaahatay ho
            To is mohabbat ka naam dukh hay


            VERY NICE..........

            Comment


            • #7
              Re: .....Tamaam Dukh Hai......

              nice thoughts Esh

              Comment


              • #8
                Re: .....Tamaam Dukh Hai......

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                Shukriya lexicon ji:)
                u are well come Esha
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment

                Working...
                X