Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

    Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak



    dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
    aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak

    tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
    ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak

    aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
    aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak

    aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
    aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak

    her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
    bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak

    ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
    saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak

    daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
    pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak

    le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
    husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak

    jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil
    koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak
    _____________
    *............:rose ............*
    Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
    Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
    *......................*

  • #2
    Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

    KaheN Par Kho Diyaa Hai


    Kiyaa terii refaaqat sey jo khud ko aashna maiN ne

    Milaa kar khaak maiN dil ko, banaayaa naqsh-e-paa maiN ne!


    Na karnaa thaa mujhe jo kuch, wahi aakhir kiyaa maiN ne
    Piyaalaa zahr-e-ulfat ka, tiree khaaT^ir piyaa maiN ne

    Mataaa'-e-dil se baRh kar bhi, bhalaa kuch hai zamaane maiN?
    Nikaalaa jis ko seeney se, tujhii ko dey diyaa maiN ne!

    Nikal kar zaat sey merii, howaa kuch aur bhi raushan!
    Jalaayaa tha, Hareem-e-zaat maiN, jo ik diyaa maiN ne!

    Banaayaa jaavidaaN, pal maiN, u'roos-e-zindagaani ko
    Lahoo sey baaNdh kar apney, kaf-e-dil par Hinaa maiN ne!

    Lagee hai aag maikhaaney maiN har soo, saaqiyaa kaisee?
    Yeh madhoshi maiN, kis ka kardiyaa, phir tazkiraa maiN ne?

    NigaahoN maiN tiree taSveer hai, aye ham-nawaa mere!
    Banaayaa hai, jesey aaNkhoN maiN, faanoos-e-wafaa maiN ne!

    Dikhaadii shaan, phir ahl-e-chaman ko, bey-niyaazi kii
    Khamoshi sey jhaTak kar, aaj phir, dast-e-Sabaa maiN ne!

    Sitam too ne, bahut mujh par, keye ham-dam , magar phir bhii
    Zaraa itnaa bataa mujhko, kiyaa hai kab, gilaa maiN ne?

    Sharaabii dil ne mujhko, kardiyaa bechain jab itnaa
    Tiree aaNkhoN ke saaGhar maiN, banaayaa maikadaa maiN ne!

    Tujhey ma'loom hii kyaa hai, Haqeeqat , Husn ki dil-bar ?
    Tiree ik hii adaa par, kardiyaa thaa, dil , fidaa maiN ne!

    KhaaN hai , HaaSil-e-bazm-e-gulistaan-e-dil-e-raNgeeN?
    Jisey, SadyoN se le kar, aaj tak, dee hai , Sadaa maiN ne!

    Koi jaa kar :Janu: keh dey, yeh mere dard-mandoN se
    KaheN par kho diyaa hai, koocha-e-dil ka pataa maiN ne!



    *............:rose ............*
    Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
    Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
    *......................*

    Comment


    • #3
      Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

      Toott Kar Bikhro

      Tanha Tumhari Shaamain Hon
      Moonh Morh Le Duniya Tum Se
      Udaas Tumhari Raatein Hon
      Her Khushi Rooth Jaye Tum Se
      Pukaar Lena Tum Mujhey
      Ek Moqa Dena Tum Mujhey
      Tumharey Zakhm Zakhm Badan Ko
      Apney Khayal Ka Marham Doon Ga
      Jaltey Hoye Daman Ko
      Tammana'on Ka Sangam Doon Ga
      Sambhaal Loon Ga Tumharey Toottey Dil Ko
      Mein Thaam Loon Ga Her EK Pal Ko
      Apney Seeney Se Laga Kar
      Tumhari Kaamnaa'on Ko Dilaasa Doon Ga
      Tumhari Bhaagnaa'on Ko Sahara Doon Ga
      Ke Phir Kaheen
      Tum Kabhi Toott Kar Bikhro
      Bikhar Ke Sulgo
      Tanha Na Tumhari Zaat Ho
      Tumahrey Saath
      Mein Bhi Toottoon
      Toott Kar Bikhroon
      Aur Bikhar Ke Sulgoon
      *............:rose ............*
      Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
      Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
      *......................*

      Comment


      • #4
        Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

        Mujh Se Khafa Ho Ke

        Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
        Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

        Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
        Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

        Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
        Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

        Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
        Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

        Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
        Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

        Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
        Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

        Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
        Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

        Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
        Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

        Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
        Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai
        *............:rose ............*
        Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
        Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
        *......................*

        Comment


        • #5
          Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

          Tumhain Yaad Hai Na
          Tumhain Yaad Hai Na
          Humari Aakhri Mulaqaat Ki Raat
          Aankhon Se Barasti Barsaat Ki Raat
          Mein Ne Tum Se Kaha Tha
          Juda Tum Se Ho Ke
          Jee To Loon Ga Lekin
          Gar Tumhari Ijazat Ho To
          Tumhari Yadon Ka Sahara Chahye Mujh Ko
          Tumhain Yaad Hai Na
          Mein Ne Tum Se Kaha Tha
          Ek Ye Hi Aasra Chahye Mujh Ko
          Magar JanaN
          Ye Kya Kiya Tum Ne
          Apni Yadon Ko Cheen Liye Tum Ne
          Mujh Se Merey Jeeney Ka
          Aakhri Sahara Cheen Liya Tum Ne
          Ab Kiya Karoon JanaN
          Ke Ab Zinda Reh Nahee Sakta
          Mazeed Dard Seh Nahee Sakta
          Apney Bardaasht Ki Hadon Ko Choo Raha Hun Mein
          Zindagi Se Ab Bicharh Raha Hun Mein
          Apna Wadaa Poora Kar Raha Hun Mein
          Tumhain Yaad Hai Na!
          Wo Aakhri Mulaqat Ki Raat
          Ye Hi Kaha Tha Mein Ne
          *............:rose ............*
          Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
          Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
          *......................*

          Comment


          • #6
            Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

            Wafa'oN Ki Talash MeiN

            Wafa'oN Ki Talash MeiN
            Sadaa'oN Ki Talash MeiN
            Samandar Dekhay Dariya Dekhay
            Jungle Dekhay Sehra Dekhay
            NaheeN Koi Mil Saka
            Jo Taskeen-e-Dil-o-JaaN Hota
            Mehakta Hua ArmaaN Hota
            Meri DhaRhkanoN Mein Woh Basta
            Meray Jeenay Ka SaamaaN Hota
            Meri Rooh Ka Woh Chain Hota
            Meri Zindagi Ka UnwaaN Hota
            Wafa'on Ki Talash MeiN
            Zindagi Dar Ba Dar Bhatki
            Sukoon Ke Ek EK Pal Ko Tarsa
            Kabhi Door Khala'on MeiN Khoya
            Kabhi Samandar Ki Gehraiyon MeiN Uljha
            Aur Phir
            Wafa'on Ki Talash MeiN
            Bus Ek Samar Hi Haath Aya
            Is Bhari Dunya MeiN
            Wafa Ka Koi Wajood NaheeN
            PaththroN Ke HaiN Jism Saaray
            In MeiN Ehsaas Maujood NaheeN
            Wafa Faqat Jis Ka Kaam Hai
            MAUT Us Ka Naam Hai
            *............:rose ............*
            Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
            Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
            *......................*

            Comment


            • #7
              Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

              Ek Terey Jaaney Ke Baad

              WeeraniyaaN muqaddar bani ek terey janey ke baad
              MehroomiyaN muqaddar bani ek terey janey ke baad

              Phaila hua ab to chaar soo andhera hai
              TareekiyaN muqaddar bani ek terey janey ke baad

              Beronaq meri tarah ghar ke dar-o-deewaar bhi hain
              UdaasiyaN muqaddar bani ek terey janey ke baad

              Dhaltey sooraj, taptey sehra aur khizan raseeda paton se
              ShanasayaaN muqaddar bani ek terey janey ke baad

              Hotey hain har taraf se ab ishaarey meri janib
              RuswayaaN muqaddar bani ek terey janey ke baad

              Dar khula rakhtey hain ke shayid too aye kabhi
              Khush fehmiyaaN muqaddar bani ek terey janey ke baad
              *............:rose ............*
              Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
              Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
              *......................*

              Comment


              • #8
                Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

                wah Bohat KHooB umdah intekhab hay aap ke Nice Khan :) Bohat aala.......aainda bhi aate arhye aur share karte rahey :) shukrya
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

                  Bohat he zabardast
                  keep sharing

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

                    Shukriya
                    *............:rose ............*
                    Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
                    Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
                    *......................*

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

                      NICE SAHRING :rose
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ghaflat-e-Yaar Kahan Tak Shab-e-Hijraan Kab Tak

                        Wah
                        Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                        Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                        Comment

                        Working...
                        X