Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tumhara Gham

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tumhara Gham

    kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..
    yea tumharey Gham ke chiraaGh hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye ..

    main Khayaal-o-Khwaab ki mehfilain na ba-qadr-e-shauq saja saka ..
    tumhari ik nazar ke saath hi, mere sab iraadey badal gaye ..

    kabhi rang main kabhi roop main, kabhi chhaaooN main kabhi dhoop main ..
    kaheen aaftaab-e-nazar hain wo, kaheen maahataab main Dhal gaye ..

    jo fanaa huwey Gham-e-ishq main, unhain zindagi kaa na Gham huaa ..
    jo na apani aag main jal sakey, wo paraii aag main jal gaye ..

    hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
    main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye..


    Never trust blindly!!!!

    _______________________________



    _____________________________________________

  • #2
    Re: Tumhara Gham

    Bohut achi ghazal chunni hai aap ne ..... Goodi Good
    :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

    Comment


    • #3
      Re: Tumhara Gham

      Assalaam-0-Alaikom:rose

      buht khoob...
      bht khobsorat ghazal hai Khushi:phool:
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: Tumhara Gham

        buhat achi ghazal hai thanks for ssharing

        Comment


        • #5
          Re: Tumhara Gham

          very nice choice :)

          Comment


          • #6
            Re: Tumhara Gham

            thnkzzz all


            Never trust blindly!!!!

            _______________________________



            _____________________________________________

            Comment


            • #7
              Re: Tumhara Gham

              bohat hi khasss

              Comment


              • #8
                Re: Tumhara Gham

                very nice sharing

                Comment


                • #9
                  Re: Tumhara Gham

                  Waah G, kya kehnay... :thmbup:
                  Excellent Selection! :)

                  Comment

                  Working...
                  X