Suno aye Dost!
Kabhi Udaas hojao to
Kabhi tanhai ki raatein
Tumhein zyada sataein to
Kabhi titli na boley to
Aur jugnoo laut jaye to
Kabhi jub dil bhi bhar jaye
Koi jub sunn na paye to
Agar sub dost saathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jub khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtey huwe bhi khud akele
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhey aawaz de dena
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho baatein keh dena
Mere kaandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab laot jao to
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro ge
Hamain tum saath pao ge......!
Kabhi Udaas hojao to
Kabhi tanhai ki raatein
Tumhein zyada sataein to
Kabhi titli na boley to
Aur jugnoo laut jaye to
Kabhi jub dil bhi bhar jaye
Koi jub sunn na paye to
Agar sub dost saathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jub khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtey huwe bhi khud akele
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhey aawaz de dena
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho baatein keh dena
Mere kaandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab laot jao to
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro ge
Hamain tum saath pao ge......!
Comment