Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddien Ka Shahiri.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Salauddien Ka Shahiri.

    Aslamolekum..

    This Is my New Thread,,

    MERE NASEEB KA SITARA

    Kahan chhupa hai kahan hai roshan
    Kahan pe aakhir woh kho gaya hai
    Main dhoondti hoon zameen pe uss ko
    Magar woh ambar pe so gaya hai


    MERE NASEEB KA SITARA

    Dil mein basay hain sawal kitnay
    Har ik sawal uss se poochna hai
    Ufaq pe roshan hain kitnay taray
    Magar faqat mujh ko dhoondna hai


    MERE NASEEB KA SITARA

    Adhoori si hai yeh zaat meri
    Hayaat meri hai namukammal
    Woh aa k mujh ko samait le ga
    Karay ga mujh ko wohi mukammal


    MERE NASEEB KA SITARA


    Fikr mein kaati hain kitni raatien
    Magar kyun mujh ko nahi hai dikhta
    Main uss se har waqt rahun mukhatib
    Woh mujh se baatien nahi hai karta


    MERE NASEEB KA SITARA


    Udas aankhon mein neend de kar
    Woh mere sapnay sanvaarta hai
    Woh apnay aanay ki aas de kar
    Mere junoon ko ubhaarta hai


    MERE NASEEB KA SITARA

    Woh jald aa k milay ga mujh se
    Bus is umeed ka hai sahara
    Hazar khushian hain uss pe waari
    Hai mujh ko duniya mein sab se pyara
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

  • #2
    Re: Salauddien Ka Shahiri.

    nice

    Comment


    • #3
      Re: Salauddien Ka Shahiri.

      Bohat khooB bhai ab aap isi thread main yeh silsila jari rakhye ga
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Salauddien Ka Shahiri.

        wow soo beautiful ....:)
        sigpic


        Comment


        • #5
          Re: Salauddien Ka Shahiri.

          Bohat zabardast :rose

          Comment


          • #6
            Re: Salauddien Ka Shahiri.

            Originally posted by baad-e-saba
            nice

            Bohth Shukriya Baad-e- Saba.
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • #7
              Re: Salauddien Ka Shahiri.

              Originally posted by Yaaram
              Bohat khooB bhai ab aap isi thread main yeh silsila jari rakhye ga

              جی بھائی جان اب یہی کروں گا۔
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • #8
                Re: Salauddien Ka Shahiri.

                Originally posted by Wafa
                wow soo beautiful ....:)

                thanks Wafa..
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • #9
                  Re: Salauddien Ka Shahiri.

                  Originally posted by aik_lerki
                  Bohat zabardast :rose
                  Thanks aik Larki For Repling..
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • #10
                    Re: Salauddien Ka Shahiri.

                    Tujhay Ishq Ho Khuda Karey..............
                    Phir Khuda Tujhey Uss Say Juda Karey


                    Tu Paa Kar Bhi Ussey Paa Na Sakey
                    Tu Bichar Kar Bhi Uss Say Juraa Rahey

                    Tu Uss Say Milnay Ki Dua Karey
                    Wo Tujh Say Bicharney Pay Iktafa Karey

                    Tu Keh Kar Bhi Khuch Keh Na Sakey
                    Teri Choop Har Pal Aessi Sadaa Karey

                    Tu Har Dam Zindagi Say Gilla Karey
                    Teri Mot Tujh Say Khaafaa Rahay

                    Tu Marney Ki Din Raat Dua Karey
                    Mera Rabb Teri Umer Daraz Karey

                    Terey Haath Bhi Khuch Yoon Khali Rahein
                    Tera Daaman Khushiyon Say Bhara Rahay

                    Teri Hasraton Ko Na Kahein Dawaam Miley
                    Tujhay Musaraton Ka Ajnabi Jahaan Milay

                    Terey Dard Ka Sehraa Bay Aab Rahay
                    Tu Aanso Ki Ik Boond Ko Tarsaa Karey

                    Na Kisi Ki Wafaa Say Tujhay Gharaz Rahay
                    Na Kisi Ki Jafaa Par Tujhey Gilaa Rahay

                    Mera Rabb Teri Khalwat Aabad Karey
                    Tu Bhari Mehfil Mein Tanhaa Rahey

                    Teri Tadbeer Ko Aesii Maat Milay
                    Tu Ishq Ko Aqal Say Jooda Kahey

                    Tujhay Ishq Mei Aesaa Arooj Milay
                    Tu Pasti Mein Boolandi Say Baha Karey

                    Mein Kahoon K Ishq Dhong Hay
                    Tu Anal Haq Kehtey Mara Karey

                    Tu Mizaaron Pay Jaa Jaa K Duaa Karay
                    Tu Kutbon Pay Likhi Tehreer Parha Karay

                    Merey Humnafas Hay Meri Yay Dua
                    Raab Hamein Aesaa Dil Aataa Karey

                    Jiss Mein Faqat Ussi Ka Ho Ziker Jaari
                    Jiss Mein Hoobbay Mustafa(Saw) Rahay

                    Mein Rahoon Na Rahoon Tu Rahay Na Rahay
                    Yay Daastaan Ussi K Naam Say Zinda Rahay

                    Jo Kuch Tha Merey Paas Nayaab Wo Sub Mein Nay Daan Kiya
                    Bas Itni Si Hay Aarzoo Koi To Meri Bhi Maghfirat Ki Duaa Karey
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • #11
                      Re: Salauddien Ka Shahiri.

                      Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
                      Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi

                      Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
                      Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi

                      Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
                      Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi

                      Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
                      Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi

                      Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
                      Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi

                      Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
                      Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • #12
                        Re: Salauddien Ka Shahiri.

                        Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana
                        Chah kar bhi na palat pao, itne duur mat jana

                        Ye fasley har rabta bhi phir torr dain

                        Mere bad tum mujhe bolao, itne duur mat jana

                        Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar

                        Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne duur mat jana

                        Waqt ke saath har umeed hi mar jaye

                        Ye bhi ke tum wapis aao,itne duur mat jana
                        Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan

                        Har yaad ko tum bhulao,itne duur mat jana
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • #13
                          Re: Salauddien Ka Shahiri.

                          MuSkuraNa Mera kiSi kO gaWara Nahi hOta,
                          haR adMi zinDagi ka saHara Nahi hOta....
                          chaHa tOu haR mOdh Par muSkurana huMne,
                          Magar kiSMat haR kiSi ka siTara naHi hOta...........




                          Fursat Nahi Unhe Humse Milne Ki,
                          Hum to har pal unki Fariyad Karte Hain,

                          Agar Aaayein woh Maut pe Meri toh,
                          Kehdena ki Soye hai Abhi unhe Yaad Karke.....!




                          Sahab tha k sitara garezpa hi laga
                          woh apni zat k har rang me juda hi laga
                          me ase saks ki masumiyat pe kia likhooo
                          jo muj ko apni khataa o me bala hi laga
                          ziban se chup hi magr ankh baat karti hi
                          nazr uthai hi jab B tu bulata hi laga
                          jo khwab dene pe kadir tha meri nazro me
                          azab dete huwe B muje Khuda hi laga
                          na mere lutf pe heran na apni uljn per
                          muje to ye shaks har shaks se juda hi laga
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Salauddien Ka Shahiri.

                            Yeh Zarori Tou Nahin ...

                            ummar jalvoon mein basar ho ye zarori to nahi
                            har shab gham ki shaer ho ye zarori to nahi

                            neend to dard ke bistar par bhi aa jati hai
                            un ki aaghosh mein sar ho ye zarori to nahi

                            aag ko khel patangon ne samajh rakha hai
                            sab ko anjam ka dar ho ye zarori to nahi

                            sab ki saqi pe nazar ho ye zarori hai magar
                            sab pe saqi ki nazar ho ye zarori to nahi
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • #15
                              Re: Salauddien Ka Shahiri.

                              Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

                              Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay
                              Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

                              Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy
                              Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein, Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

                              Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
                              Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

                              Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

                              Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein, Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
                              Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy

                              Jab Zulf Parayshaan Chehray Per, Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
                              Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy

                              Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
                              Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

                              Tub Yaad Tumhari Aatee Hai

                              Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Milay
                              Ik Hansta Hua Aaghaz Milay, Ik Rota Hua Anjaam Milay

                              Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Milay
                              Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

                              Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
                              Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

                              Tub Yaad Tumhari Aatee Hai
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment

                              Working...
                              X