Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tasweer Per Izhar , June 2006 Poll

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tasweer Per Izhar , June 2006 Poll

    Asslam-O-Alaikum,

    Is maah taswwer per izhar ke liyeh hum ne jo image chuna hai wo buhut hi khoobsurat hai :) ..... Ek aisi mohabbat jis ke samney sari mohabbatein kam lagti hain, ek behad pyara rishta, aur wo hai maan ki mohabbat, yani "Mamta"

    Aap sab is per apney ehsasat ka izhar ker saktey hain, chahien to koi quote yaan shair bhi keh skatey hain, magar bejaa comments aur behas matt kijiyeh ga :) .

    By 20th of June of the month polling start ki jayeh gi for the best comment.



    11
    Alwijdan
    0.00%
    0
    Zeeshan
    18.18%
    2
    Dil
    9.09%
    1
    Mehak
    0.00%
    0
    Masood
    72.73%
    8
    Baad-e-Saba
    0.00%
    0
    Jhumroo
    0.00%
    0
    Khalil
    0.00%
    0
    sigpic

  • #2
    Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

    there is no one like mother. so keep her happy with your love.

    Comment


    • #3
      Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

      MAA ek esa lafz hah jis kie kehte hi muin mein ek mithas ka ehsas hota ha :love:

      maa se jitna bhi piyar kero utna hi kam ha :)
      Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
      Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
      Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
      Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

      Comment


      • #4
        Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

        Mujh ko yakin hai sach kahti thi'n jo b ammi kahti thi'n
        Jab meray bachpun kay din thay, chand main periyan rehti thin
        Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
        Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
        Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
        Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
        Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

        Comment


        • #5
          Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

          Originally posted by Sweet & Sour
          i sper comment bhi dijiyeh :)
          jaise sipi mein moti palta hai waise hi maan 9 maah apni kokh mein apne bachey ko paalti hai.:rose

          Comment


          • #6
            Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

            JAB TU PEDA HOWA KITNA MAJBOUR THA




            Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
            Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha


            Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
            Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The


            Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
            Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha


            Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
            Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri


            Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
            Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga


            Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
            Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya


            Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
            Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga


            Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
            Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi


            Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
            Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga


            Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
            Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga


            Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
            Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga


            Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
            Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin


            Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
            Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya


            Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
            Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha


            Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
            Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do


            Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
            Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro


            Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
            Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar


            Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
            Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar


            Pheer Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi
            Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi


            Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
            Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya


            Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
            Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi


            Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga
            Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga


            Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
            Jo
            Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu

            Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
            Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi


            Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
            TERE DAM
            SE ROSHAN THE DONO JAHAN

            Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
            Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi


            Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
            Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya


            Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
            APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA


            Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
            Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo


            Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
            Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga


            Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
            Maan Ki
            Surat Nigahon Se Jati Nahi

            Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
            Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe


            Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
            Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par


            QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
            APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE


            Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
            Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA


            Yaad Rakhna Tu Is Baat Ko
            Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko

            Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
            Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
            Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
            Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

            Comment


            • #7
              Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

              Aik Choti Si Tehreer :rose
              Attached Files
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

                maa ki kami koi pori nahi kar sakta, woh apny bachhoon ki hifaazat ki khatir maut si bhi takraa jaati hy.

                maa ki jagaa koi nahi ly saktaa

                Comment


                • #9
                  Re: ~@~ Tasweer per Izhar ~@~ June 2006

                  :masha
                  sory im late
                  Attached Files

                  Comment

                  Working...
                  X