Originally posted by Lexicon
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
my choice
Collapse
X
-
Re: Aaghaz
kash tum yeh samaj patay
keh yeh jo zindagi ka safar hay
kitna kathan hay meray liye
kitney weeran se hain yeh rastay
kaisi beymani se yeh manzilain
ajab bezar se sahatain
aur beqarar si sari rutaain
in mein zara si hay jo yeh khushi
sirf teray nam se hay likhi hui
kabhi jo labon pe mukarahat hay
to wajah tumhari chahat hay
meri ankhon ke khawab sarey
sawal sarey jawab sarey
tarey liye hi sajay huay
keh ye jo ik umeed ka charagh hay
teri aas par hay jala hua
bujhay bujhay se din rat mein
jo ik roshni ki lehar hay
teray dereechay se hui roonuma
magar tum na samaj pao gay
keh tum to to khud tahi daman
kisi khamosh jheel ke sahil par
kharey ho shikasta pa se
zindagi se roothay huay
ujrey ujrey bejan se
pukar rahey ho kisi ko
magar sunay wala koi nahin
kash tum ye samaj patey
keh isi jheel ke doosrey kinarey
kitni mudat se kharey ham
tum ko awaz de rahay hain
aur dil ko hay ye imkan janan
ke tum loat aao gay
-
Re: my choice
Assalaam-0-Alaikom:rose
Aisha aap ki choice buht zabardast hai....:phool:
buht khoob
lakin aik baat aur pegham per aik section say dosray section main copy kar kay paste karna ya aik hi section main aisa karna mana hai ....is liye aainda ehtiyaat kijiye ga :)
Comment
Comment