Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

    Ye kaisi ajabb zindagi ki ghari hai
    ke jabb saay ki bhi rafaaqat nahi hai
    Koee shakhs un ko nayaa jo milaa to
    kahaa k puraanay ki aadat nahi'n hai

    Meri aank bojhal na ho garr to kaisay?
    koee bojh sehnay ki aadat nahi hai
    Koeee aa ke kholay meri bandd aankhai'n
    Mujhay abb jagaanay ki aadat nahi hai

    Koee khalq ki bandagi jo karay garr
    To ye bandagi hai, ibaadat nahi hai
    Jo mafhoom poochhay koee abdd kaa to
    Kahai'n, ye bataanay ki aadat nahi hai

    Safarr ye kathan hai, bataayaa tha un ko
    unhai'n saath chalnay mai'n raahat nahi hai
    Jo harr pal hamai'n aazmaatay rahay ho'n
    Unhai'n aazmaanay ki aadat nahi hai

    Wafaa lafzz kehtay rahay umrr bhar jo
    Unhai'n ye nibhaanay ki aadat nahi hai
    Jo tum khailtay ho to khailo dilo'n se
    hamai'n dil lagaanay ki aadat nahi hai

    Jo kehtay thay tum ko hai sapno'n mai'n daikha
    Woh kehty hai'n khwaabo'n ki aadat nahi hai
    Kisi ki hansee yaad aati hai wernaa
    Hamai'n muskuraanay ki aadat nahi hai

    Jo daikhi woh aankhai'n, qadam un k bojhal
    kahai'n hum ko manzil ki chaahat nahi hai
    Rahay dasht ke umr bharr jo musaafir
    qadam do qadam ki bhi aadat nahi hai

    Nayaa shehr harr din, nayaa darr har ik shabb
    dagarr poochnay ki bhi haajat nahi hai
    Hamai'n gharr milaa bhi to uss waqt Sajid
    K jab gharr ko jaanay ki aadat nahi hai

    Written By: Sajid Raheem Sheikh
    Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
    Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
    :wk

  • #2
    Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

    Very nice - main to yeh kahoon ga koi aa key karey band meri aankhein, mujhey soney ki aadat nahin hai :D
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

      Assalaam-0-Alaikom:rose

      buht khoob ...
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • #4
        Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

        Originally posted by Masood
        Very nice - main to yeh kahoon ga koi aa key karey band meri aankhein, mujhey soney ki aadat nahin hai :D
        itna bojh jo hai aankho pe :D

        Comment

        • #5
          Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

          Originally posted by mahek
          itna bojh jo hai aankho pe :D
          kitna bojh hai aankhon per :p
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

            Originally posted by Masood
            Very nice - main to yeh kahoon ga koi aa key karey band meri aankhein, mujhey soney ki aadat nahin hai :D
            jab time aaye ga woh bhi ho jayein ge :wk
            Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
            Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
            :wk

            Comment

            • #7
              Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

              Originally posted by ~*~ Dua ~*~
              jab time aaye ga woh bhi ho jayein ge :wk
              woh to hai magar yeh us waqt kyun nahin band hoti jab unkey band honey ki zaroorat ho
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                anyway, Thanks Masood bhai jaan n Rida :)
                Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
                Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
                :wk

                Comment

                • #9
                  Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                  Mashallah Bohth khoob.
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment

                  • #10
                    Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                    And Alos This Poetry,
                    Phir Chalay Jana

                    Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
                    Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

                    Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
                    Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

                    Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
                    Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

                    Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
                    Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

                    Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
                    Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

                    Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
                    Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

                    Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
                    Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

                    Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
                    Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana.
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment

                    • #11
                      Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                      Thank u Lexicon :)

                      and nice poem
                      Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
                      Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
                      :wk

                      Comment

                      • #12
                        Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                        Originally posted by Masood
                        woh to hai magar yeh us waqt kyun nahin band hoti jab unkey band honey ki zaroorat ho
                        agar na band hoon tu zaberdasti band ker diya karo na or agar phir bhi na ho tu 10-12 sleeping pills hi lay lia karo...sari zindagi ki pareshani mintoon me khatam ho jaaye gi :eye:
                        Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
                        Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
                        :wk

                        Comment

                        • #13

                          • #14
                            Re: Humain Dil Laganay ki Adat Nahi Hai

                            U Are Well Come Dua..
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment

                            Working...
                            X