kahaan tha itna azaab ashna maira chehra ?
Jallay charagh tu bujhnay laga .. maira chehra
woh tairay hijar kay din woh safeer sadiyon kay
tu un dnoon mein kabhi daikhta maira chehra
judaiyoon kay safar mein rahay hain sath sath
tairi talaash, zamanay, hawa aur maira chehra
mairaay siwa koi itna udaas bhi tu naa tha..
khizaan kay chaand ko acha laga maira chehra
kitaab khool raha tha woh apnay maazi kee
warq warq pay bikharta gaya maira chehra
sehar kay noor say dhooli hoi tairi ankhain
safar ke gard mein lipta howa mera chehra
hawa ka akhri boosa tha ya qayaamat thi
badan ke shaakh say phir gir para maira chehra
jissay bujha kay hawa soogwar phirti hai
woh shama e shaam e safar thi kay tha maira chehra
yeah loug kion mujhay pehchantay nahi mohsin
mein soochta hoon kahaan reh gaya maira chehra ?

Comment