Bohut pehle se un qadmon kii aahaaT jaan letey hain
tujhe ay zindagii hum duur se pehchaan letey hain
merii nazren bhii aise qaatilon kaa jaan-o-imaaN hain
nigaahen milate hii jo jaan aur imaan letey hain
tabiyat apnii ghabraatii hai jab sun-saan raaton mein
hum aise mein terii yaadon kii chaadar taan letey hain
Khud apnaa faislaa bhii ishq mein kafii nahii hotaa
usey bhii kaise kar guzren jo dil mein Thaan letey hain
jise suurat bataate hain pataa detii hai siirat kaa
ibaarat dekh kar jis tarhaa maanii jaan letey hain
tujhe ghaaTaa na hone deinge kaarobaar-e-ulfat mein
hum apne sar teraa ay dost har ehsaan letey hain
hamaarii har nazar tujhse nayii saugandh khaatii hai
to terii har nazar se hum nayaa paiGaam letey hain
aksar badal kar bhes miltaa hai ko_ii qaafir
kabhii hum jaan letey hain kabhii pehchaan letey hain

Comment