Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Suno jana!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Suno jana!

    suno jana !
    main tumhein bataon lafz ki hurmat kiya hay
    lafz ! jis ne insaan ko bartar kya tamaam makhlooq se
    lafz ! jo nabi ki zuban se nikla tu hidayat bana
    lafz ! jo sorat-e-quraan nazil hova tu rahbar bana
    lafz ! jo qalam se nikle tu inqalab barpaa kar de
    lafz ! jo sach ho tu dilon ko musakhar kar le
    lafz ! jis se pheila hay chaar soo ilm ka ujaala
    lafz ! jis ke bina insaan hay adhoora

    main ne mana ke sirf lafz hi izhaar ka zariya nahi
    lakin mere mehboob is se behtar iqraar ka zariya nahi
    ye nahi ke main aankhon ki zaban nahi samjhta
    main tumhaare jazbon ka bayan nahi samjhta
    magar ae dost ! jo kahti hein aankhein
    gar woh honton se bhi adaa ho jae
    tu sharaam-e-muhabbat do aatsha ho jae

    tumne kaha hay
    chahti ho tum bhi mujhe bahot lakin
    meri sooch mein waqt barbaad nahi kartein

    tu suno ae dost !
    woh lamha jo guzre kisi ko sochte hove
    woh hayaat javidaan se barh kar hay
    kisi ki yaad jis lamhe mein dharkae dil ko
    woh aik lamhaa zindagi ka hasil hay

    tumne kaha hay
    khof hay tumhein muhabbat ke tamasha ban jaane ka
    isi bais tum apne dard ka izhaar nahi kartein

    suno jaan-e-jaan !
    dard jo dil mein thehre tu ose laho kar de
    jo aankh mein bas jaae tu ose aansoo kar de
    ye sahi ke kisi gheir ko bataate nahi hein
    par jana apno se tu dard ko chupaate nahi hein

    tumne kaha hay
    tumhein jo mayasar hay osi par khush ho
    tum mere liye Khuda se takraar nahi kartein

    tu suno ae meri mehbooba!
    woh rab-e-kareem hay os ki ataa ka hisaab nahi
    bin maange hi de de oske karam ka jawab nahi
    par kaha hay osi ne maango apni talab ka izhaar karo
    roo roo kar har shee ke liye mujh se takraar karo


    tumne kaha hay
    ke kuch tu hay aisa meri fitrat main posheeda
    warna tum mujhe chahne ki khata baar baar nahi karten

    tu suno meri pagli !
    meri fitrat main sirf shidat ki muhabbat hay
    mere dil mein bas tumhaari hi chahat hay
    tumhaara mujh se muhabbat karna khataa kese thehraa
    aankh tu khab deikhti hay kitna hi karra ho pehraa

    bas itna yaad rahe ae mere dil ki dharrkan!
    ke chahatein izhaar ki muhtaaj nahi hotein
    par samaatein lafzon ki bhoki hoti hein
    agar kabhi kabhi tumhaare labon par muhabbat ka izhaar aa jae
    tu mere dil ki bechein dharkanoo ko bhi qaraar aa jae


  • #2
    Re: Suno jana!

    Assalaam-0-Alaikom:rose

    itni choti si poem fari :)

    well buht zabardast

    chahatien izhaar ki muhtaaj nahin hotien
    per sama-atain lafzoon ki bhooki hoti hain :phool:

    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Suno jana!

      wsalam rida jee !!!
      iss se choi aur koi thi nahi:)

      khair pasand karnay ka shukriya!!

      Comment


      • #4
        Re: Suno jana!

        Bohat khoob

        Comment


        • #5
          Re: Suno jana!

          kash mare nazar kmzoor na hoti to main poori gazal hi read kar leta hey ray mare pooti kismat
          khier nice wisy kamal ki kai baat hay kamal to kamal kamal ka b bera gharak ho geyahoga ye read kar k

          Comment


          • #6
            Re: Suno jana!

            Originally posted by alone_zaine
            kash mare nazar kmzoor na hoti to main poori gazal hi read kar leta hey ray mare pooti kismat
            khier nice wisy kamal ki kai baat hay kamal to kamal kamal ka b bera gharak ho geyahoga ye read kar k
            ap ki nazar kamzor ha tu eyespecialist app ka intazar ma hain
            aur agar ap ko glasses lagi hain tu glasses bhi app ki muntazir hongi
            aur agar app ko parhnay ma ya gazal lambi lag rhi ha tu no problem!!!
            nice kahnay ka shukriya:salam:
            aur :budhu: kamal sahab se kahiya ga kah zayda read na karay tu acha ha!!:na:
            wasay kamal ap ka kiya lagtay hain!!!:mm:

            Comment

            Working...
            X