Chalo mein batao kya ho tum
Ae zindagi tu kahan le jaa rahi hai Mujhe
Har raah pe dikh rahain hain andhere hi andhere
Ae zindagi tu kahan le jaa rahi hai Mujhe
Har raah pe dikh rahain hain andhere hi andhere
Aaj mujhe mere hi lakshya ka pata nahi hai
Khushion ka to jaise naam hi bhol gaya hoon Main
Mujhe meri zindagi ka wajood to samjhao
Pehle toota mera dil,jis main sapne the hazar
Tooti jeevan ki umeedein,kaisa ye Pyaar Bari mushkil se jab tak sambhala khud Ko
Dekha to band ho chuke the aage barhne k darwaze
Meri tanhai,mera akelapan,bas yahi hain mere Paas
Jeevan mein kuch karne ki umeed,aaj hai ek Aas Hothon pe hansi dikhani parti hai duniya Ko
Koi na jaane kaise jeeta hoon in tanhaiyon ko Kahin dikhta hai khoye huye pyaar ka saaya
To kahin meri is badkismati ki maaya Kaise suljhaoon main is zindagi ki paheli
Uljhi her raah hai,pheeki hai zindgi Jo ankhe sapne sajaaya karti thin kabhi
Un aknon main hain ab sawal kaee Aaj in mein ik sunapan,veeraniyat si hai
Wo kiya samajhte hain dard ko,akelepan ko
Comment