Kuchh muhabbatein pholon ki tarha hoti hain khamosh khamosh! Lekin un ki mehak unkey honey ki pehchan hoti hai. Kuchh lapaktey sholon ki tarha un mein jalney waley khud bhi jaltey hain aur unkey qareeb rehney waley bhi yeh tapash mehsoos kartey hain. Izhar ki zaroorat bhi kahan baqi rehti hai.
Kuchh muhabbaton mein nadi ki lehron ki si rawani hoti hai. Aur kuchh mein maidani daryaoun ki si tughyani. Kuchh tootney waley taron ki tarha hoti hain, aanan faanan chamak ker fana ho jaey wali muhabbatein.
Aur kuchh muhabbatein qati sitaron ki si paedaar mustaqil raah dikhaney wali muhabbatein. Andheron mein roshnee ban ker jagmganey wali muhabbatein. Kuchh muhabbatein aabsharon ki tarha hoti hain, keh jab nichhawar hoti hain to shor machati, dandanati hui ... aur kuchh door parbaton key daman sey phootney waley jharno ki tarha, thandi, meethi, dheemi dheemi, shfaaf muhabbatein... muhabattein jeeney ka azm karti hain ...
tera ishq tha jo ghubar ban key qadam qadam merey saath tha
teri khawahishon ka diya bujha to nagar nagar hai dhuwan dhuwan
(captain Ashfaq Hussain ki kitab Gentlemen Alhamdolillah sey)
Comment