Aa Kisi Roz Kisi Dukh Pe IkhathaY Royen..
Jiss Tarah Marg-e-Jawan Saal Pe Dehaton Main..
Boorhiyan RotaY hue Bain Kiya karti Hain..
Jiss Tarah eK Siyah Posh ParindaY Ke Kaheen girnaY Se.
Daar Ke daar zamenon Pe utar Atay Hain..
Chekhte Shor MachaTe HuE KurLate Hue..
Apne Mehroom Rawayyon ki Alam`naki Par..
Apni Tanhai Ke Weranon Main Chup Kar Rona..
eK NayE Dukh Ke izafay Ke Siwa Kuch b Nahi
Apni Hi ZaaT ki gunjall Main ulajh Kar Tanha..
Apne Gumrah Mqaasid Se Wafa TheeK Nahi
Qafila chhorr Ke Sehra Main Sada TheeK Nahi
"Hum ParindaY Hain Na MaqTooL Hawayen PhiR Bhi..
Aa Kisi Roz Kisi Dukh Pe IkhaThaY RoyEn

Comment