Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jo meri aankhon se khwaab dekho...to ik bhi shab na so sako gey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jo meri aankhon se khwaab dekho...to ik bhi shab na so sako gey

    Jo meri aankhon se khwaab dekho

    to ik bhi shab na so sako gey

    keh laakh chaho na huns sako gey

    hazaar chaho na ro sako gey

    keh khuaab kya hain azaab hain ye

    …merey dukhon ki kitaab hain ye

    rafaqattein inn main chouttein hain

    mohabbatein inn main roothti hain

    panapti hain inn main wheshattein si

    aziyattein inn main phouttein hain

    inhi kay dar se khizaan hain jazbey

    inhi se shaakhein si tootti hain

    ghamon ki bandish hain khwaab merey

    ubal raha hay dukhon ka laava

    rehn-e-aatish hain khwaab merey

    khayal saarey jhulas gaye hain

    sulagti khuahish hain khwaab merey

    ukharti saansein hain zindigi ki

    lahoo ki sazish hain khwaab merey

    jo meri aankhon se khuaab dekho

    to ik bhi shab na so sako gey


    ہم نغمہ سرا کچُھ غزلوں کے، ہم صُورت گر کچُھ خوابوں کے
    بے جذبۂ شوق سُنائیں کیا، کوئی خواب نہ ہو، تو بتائیں کیا


  • #2
    Re: Jo meri aankhon se khwaab dekho...to ik bhi shab na so sako gey

    zabardast

    Comment


    • #3
      Re: Jo meri aankhon se khwaab dekho...to ik bhi shab na so sako gey

      thanks sis
      ہم نغمہ سرا کچُھ غزلوں کے، ہم صُورت گر کچُھ خوابوں کے
      بے جذبۂ شوق سُنائیں کیا، کوئی خواب نہ ہو، تو بتائیں کیا

      Comment


      • #4
        Re: Jo meri aankhon se khwaab dekho...to ik bhi shab na so sako gey

        Umdah Areeba
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        Working...
        X