Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
*~Piya Milan ki Ass~*
Collapse
X
-
Re: *~Piya Milan ki Ass~*
Originally posted by *Hala* View Postnice work...
shair samjh nahi aye.
yeh rahi urdu translation :)
aye kawway mera saara badan aur iss per gosht ka raiza raiza tu kha sakta hai, lekin bas meri aaNkhooN ko choor deyna kyoN ke inmeiN apne mehb o o b se milne (ya usse daikhne) ki aas baaqi hai. .....
Comment
-
Re: *~Piya Milan ki Ass~*
wah buht umda...:)
Comment
-
Re: *~Piya Milan ki Ass~*
Originally posted by KnOwn_StRaNgEr View Postlekin bas meri aaNkhooN ko choor deyna kyoN ke inmeiN apne mehb o o b se milne (ya usse daikhne) ki aas baaqi hai. .....
moh3 to mujh3 ko k3ht3 hain i thk...
Inn m3i piya milan ass.....a3sa shair hoga...
may b3....not sur3...
Comment
-
Re: *~Piya Milan ki Ass~*
salaam
sher aur uskii 'akkaasii dil ko bahot bhali lagii. sher kii zabaan jo hai vo brij bhaashaa ke naam se jaanii jaatii hai jise ham aam bol chaal meN khaRii boli kahte haiN aur jis meN Hindi aur bhojpuri zabaanoN ke alfaaz kaa sangam paayaa jaataa hai aur jo aaj bhi India ke shahr Meerat ke gird o nivaah meN boli jaatii hai...yehii zabaan mashhoor soofii shaayar Amir Khusrau [r.a.] kii bhii thii jo nihaayat Husn e Khoobii ke saath farsi meN musta'mil kiyaa karte the.
masalan:
ze_Haal_e-miskiiN ma_kun taGhaaful, voraaye nainaaN banaaye batiyaaN
k taab-e-HijraaN na_daaram, ai jaaN! na lehoo kaahe lagaaye chhatiyaaN
is she'r ke mushkil alfaaz ke ma'nii likh rahaa huN:
kaagaa = kauwaa
maas = gosht
mohe = mujhe
aas = ummeed
to ma'nii saaf haiN k ai kauwe to mere tan se gosht kaa resha resha bhale khaa jaaiyo par merii do aaNkhoN ko chhoR denaa kiuN k mujhe inhiiN aaNkhoN se deedaar e yaar kii aas / ummeed / intizaar hai :)Last edited by SherAli; 23 October 2008, 23:52.
Fall view from inside my car
near my work place :)
Comment
-
Re: *~Piya Milan ki Ass~*
Originally posted by KnOwn_StRaNgEr View Post
Comment
Comment