full view
Wo rangon mein dhali larki
kabi jab bat karti hai
to us k lafz khushbu ki tarah mehsoos hoty hain
wo hansti hai to jaisy sara aalam us ki hansi mein doob jata hai
wo lab us k, wo aankhen aur wo chehry ki shadabi
k jaisy apsara koi
wo mera naam leti hai to meri rooh mein jaisy nasha sa ik utarta hai
mera mann jhoom uthta hai
wo rangon mein dhali larki
jhukaye apni palkon ko kabi mujh sy jo kehti hai
mujhy tum sy mohabbat hai
to us ka sharamgeen lehja
yaqeen mujh ko dilata hai k dunia khubsurat hai
wo rangon mein dhali larki
udasi k ghany saayon ko jab bi orrh leti hai
mera dil khoon rota hai
mein us ki sharbati aankhon k namm sy bheeg jata hun
wo rangon mein dhali larki
jisy mujh sy mohabbat hai
mera izhar sunti hai to phir sab bhool jati hai
jhukaye apni palkon ko wo aisy muskurati hai
k jaisy apsara koi
wo rangon mein dhali larki
mere lafzon mein rehti hai
mujhy aksar ye kehti hai
mujhy tum sy mohabbat hai
Aatif Saeed
Crystalline Art
Comment