Kabi Lamhon Ki Qabron Se
Purane Lafz Uth Kar
Be Zubani Ki Faseelon Tak Pohnchte Hain
Badan Per Chand Adhoore Khawab Aur Alfaz Be Chehra
Haroof-e-Be Zuban, Pasmurda Aur Be Chain Benaiyan
Sham Ki Yaad Ki Dehleez K Us Paar Aksar
Waqt Ko Dorta Paate Hain To Ro Parte Hain
Larkharaye Jo Kabi Ankahi Baton Ka Khayal
Aik Veeran Hansi Hanste Hi Ro Parte Hain
Jaise Pardes Main Pohnche Koi Ghamnak Khabar
Aur Ghut Ghut K Roye Jate Hain Tanha Aksar
Jaise Awaz Ki Parchaen Sar-e-Koocha-e-Dil
Jane Walon Ko Pukare Hi Chali Jati Ho
Bazgasht Ban K Kisi Ghonj Main Dhal Jati Ho
Neem Bedaar Tamanna Tere Aa jane Ki
Neem Soi Hui Hasrat Bhi Agar Bas Main Ho
Ankahi Baton K Veeran Jazeeray Se Kahin
Bhoolna Is Se To Behtar Hai Agar Bas Main Ho.
Fakhra Gul
Comment