Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tahi DaamaaN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tahi DaamaaN

    :rose
    Attached Files

  • #2
    Re: Tahi DaamaaN

    :rose
    Attached Files

    Comment

    • #3
      Re: Tahi DaamaaN

      Zaberdast Zmuffti Saheba.:clap:
      bauht hi khoobsoorti sey app ney doosra rukh peesh kya hai..!:)
      Baat nazariya ki hoti haii kisi ko 4 dewari hi sahi maqam lagti hai or kisi ko is trha apney aramanoo ka gala ghootnaa lagta haii!
      koi career oriented ya apni salahiyatoo k istemal krtey howey jeena chahta hai or koi kisi 1 k lya apni poori zindagi waqf krdena pasand krta hai .
      Or is nazariya k pasmanzer pr bauht sarii cheezain hoti hain!
      Bauht khoobsoorat Tehreer hai..

      Comment

      • #4
        Re: Tahi DaamaaN

        Originally posted by aquari View Post

        shukria Aquari saheba
        maiN ne yeh doosra rukh sirf is liye pesh kiyya keh kissi bhee relationship meN aik fareeq ko doosre fareeq ke baare meN az khud faisla karne ka ikhtiaar istemaal nahiN karna chahiye
        sahi maanoN meN vohi relationship kaamyaab hote heN jahaN koi bhee faisla mutual consent se kiyya gaya ho
        (vaise to samjhota karna mashriqi laRkioN ki ghutti meN hota hai
        pursukooN nazar aane waali satah ki gehraaii meN kitne toofaan dabe hote heN koi nahiN jaanta)

        Comment

        • #5
          Re: Tahi DaamaaN

          Originally posted by zmufti View Post

          haa app ney sahi kaha k hr relation k lyaa bahimi raza mandii zaroori hoti hai or wohi rishta kamyab bhi hainn:)
          ha aksar kahmooshiyaa apney under bauht barey toofan rakhti haiin
          waisey mujhey app ki tehreer parh kr ek or topic mil gaya sooch rahi hoo likhney ki koshih karoo :blush:

          Comment

          • #6
            Re: Tahi DaamaaN

            salam
            hmmm maiN nay aaj aur abhi qauari ki kahani " sahi maqam ka ta'ayyun " paRhi aur wahaN maiN nay reply b dia laikin qudrati taur pay maiN yahaaN aa dhamka hooN aur aap ka likha hua "doosra rukh" b paRha... mujhay to samajh nahi aati hay k gharr say nikalnay ka shauq q hay.. gharr maiN koi kaam nahi hota ??? kya bachoN ko palna miyaN ko sakoon aaraam daina halka hay ??? aur agar aap uss class ki baat kar rahi haiN jin ko make up unn ko apni aulaad say zayada pyara hota hay to jis nay jo chaha uss ko wo mila... haaN ghair zaroori paa bandiaaN bilkul ghalat haiN aur un ka hona b mard ki kamzori hay... insaaf karna chahiyai, aur sirf mard ko nahi aurat ko b apni zimma daariaaN apnay faraaez say ghaafil nahi hona chahiyai...
            Baykamal
            Last edited by baykamal; 29 July 2007, 08:21.

            kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

            Comment

            • #7
              Re: Tahi DaamaaN

              Originally posted by baykamal View Post

              Mohtaram Raza saheb
              aap ke tabsare ke liye shukria
              (muaaf kijye ga basad ehtraam kyaa aap batana pasand kareN ge keh Aquari saheba ki kahani paRh ke qudarti tor per aap yahaN kaise aa dhamke maiN ne ya aquari saheba ne to is tehreer ka link us thread meN nahiN diyyaa)

              ab aate heN aap ke tabsare ki taraf jisse aap ne "ghar se nikalne ka shoq kaha " vo "kaam karne ka shoq hai ya apni qaabliat aur zehni istedaad ko baroo-e-kaar laane ka shoq hai " plz mind your wording

              doosre aap kaam karne waali khawateen per koi label kaise laga sakte heN
              agar mother Teresa kaam karti thiiN to kyaa vo makeup zada thiiN ya unheN ghar se nikalne ka shoq thaa

              agar Bilqees Edhi apne shohar ke shana bashana kaam karti heN to kyaa vo make up zada heN ya unhieN phirne ke shoq ne maar rakhaa hai

              Fatima jinnah apne bhai ke saath jad-o-jahd-e-azaadi meN shareek thiiN to vo bhee aap ke nazdeek aise hi label ki mustahiq hoN gi

              schools aur colleges meN jo khawateen bachioN/laRkioN ko paRhaati heN kyaa vo qaum ki khidmat anjaam nahiN de rahiiN
              kyaa aap jaise log mard asatzaa ko laRkioN ke schools meN appoint karieN ge

              kyaa deendaar hazraat yeh pasand karieN ge un ke ghar kii khawaten ka ilaaj mard mualaj kareN kyaa khawateen doctors aur nurses qaum ki khidmat nahiN kar rahiN

              phir khawateen lawyers heN Jugdes heN bankers heN writers heN

              aur is mehngaaii ke daur meN 50% working ladies heN jo muashi majbori ki wajah se kaam rahi heN kyonk aik aust darje ke mulazim ki salary to shayad 10 taareeekh ko hi khatam ho jaati hai

              yeh dekhiye keh aap kis zamane meN jii rahe heN aur aap ke samne kyaa chalanges heN warna qaumoN ki baradari meN aap ka naam-o-nishaaN mit'te der nahiN lage gi

              so behtar to yahi hai na keh pehlay aap career oriented laRki se shaadi na karieN aur agar kar li hai aur apni pasand se kii hai to us ki soch aur pasand aur napasand ka ehtaraam kareN

              bas zaroorat to sirf itni hai dil aur zehan kushada hoN

              regards
              zmufti

              Comment

              • #8
                Re: Tahi DaamaaN

                salam sis!
                Aap ki tehreer perh key mey bas " :(" yun ho gai.Aur bas sirf aik sawal tha zeyhan mey key kya saarey asian larkey aeysey hi hotey hein?ya phir dunya bhar key majority mardoN ki aeysi hi soch hoti hai? asal mey kal hi aik Aunty sey mulaqat hui thi wo bohot pareyshan thein apni choti behan key liye, un ki sis ney abhi apna graduation ker key IT diploma liya hai aur aik bank sey un ko job ki offer hui hai leykin un key parents ki marzi nahi hai sirf iss liye key abhi tak she is not engaged aur wo dartey hein key aeysa na ho key uss ki job uss key rishtey mey koi rukawat daal dey kyun key un key khayal mey majority log job kerti larkiyoN ko pasand nahi kertey hein.....

                @Baykamal!
                aap ko Zmufti ney to reply ker diya hai leykin mey sirf ye kehna chahuN gi key Islam ney kabhi aik larki ko apna career bana'ney sey nahi rauka hai to phir aap Mard kyun iss key against ho? Na hi aik ghar sirf aik aurat sey chal sakta hai aur na hi aik mu'ashra aik mard sey chalta hai. dono fareeq ka aik ghar mey bhi aham role hota hai aur aik mu'ashrey mey bhi.
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: Tahi DaamaaN

                  Assalaam o alaikum
                  maiN apna nuqta e nazar aap k sawaloN ki roshni maiN dainay say pehlay sorry kartt hooN k meray words nikalnay ka shauq say aap ko takleef pohanchi mera har giz maqsad takleef daina nahi hay aur iss poori behes maiN aap ko kisi baat say takleef pohanchay to maiN maafi ka khaastgaar hooN...

                  maiN nay yai nahi kaha k aurat baahir bilkul na niklay career women ho laikin kisi qeemat khaas taur pay apnay gharr aur nihayat khasoosi taur pay apnay bachoN aur shohar ki...

                  aap nay baat ki mother tresa ki fatima jinah ki bilqees eidhi ki inn maiN say do ki to shaadi nahi hui aur teesri khatoon k haaN koi aulaad nahi hay jo unn ko gharr maiN busy rakh sakay... aur shohar ki marzi say kaam kar rahi haiN... bilkul kaam karaiN auratoN aur bachoN k liay kar b auratoN k liay hi rahi haiN...

                  doctor nurse teacher bohat zyada ehtaraam walay sho'bay haiN... deen daar logoN ki apni maayaiN behnaiN baiTiaaN inn sho'boN maiN haiN aur kaam kar rahi haiN.... sahi deen daar...ALLAH k karam say meray ghar maiN b aisi khaateen ki kami nahi hay jo k bohat achay level tak paRhi hui haiN career b start kia laikin jabb gharr ki zaroorat bani to aik taraf rakh k gharr ko apnaya aur apni marzi say apnaya.. aap ki behes unn khateen ko mujrim nahi Tehraati ? k gharr baiTh rahi haiN...

                  judges writer bankers sabb kuch haiN laikin uss ki qeemat adaa karti haiN aur aksar un ki family ko hi qurbani daini paRti hay, aur mard ki ijazat b shamil hoti hay.. aur wo unn ki apni priority hoti hay k wo kaisa gharr chahtay haiN...

                  aur qaumoN ki baraadari kya hay wo qaumaiN hamaiN iss soch ki wajah say kaafi nuqasaan ho chuka hay k qaumoN ki baradari maiN hamm kahaaN haiN..

                  APNI MILLAT PAY QYAAS AQWAAM E MAGHRIB SAY NA KAR
                  KHAAS HAY TARKEEB MAIn QAUM RASOOL E HAASHMI

                  khudara ham nay kis jhon kisi helen ko jawab deh nahi hona...

                  G ALLAH k karam say maiN nay aik aqal e saleem rakhnay wali khatoon say shaadi ki hay jo k apnay tamaam tarr career paisay aur qabliat ko gharr say bahir istemaal karnay k gharr maiN istemaal karnay ka faisla kia hay aur khush hay... aap nay mashwara dia aap ka shukria.. mujhay pata hay k maiN nay aap ki gharr gharasti k hawalay say koi mashwara dia to...

                  maiN to aap k page pay mehmaan hooN aur mera kisi ki dil aazaari ka maqasad nahi hay jahan takk aap nay aquari ki post pay link k diay janay ka zikr kia hay aur shayed koi gumaan guzra ho aap k zehen maiN to az raah meher baani yai aajiz aap say arz guzaar hay k aisa gumaan aap apnay dil maiN na laayaiN.. mehez ittifaq say aa gya tha aur koshish karooN ga k aainda aisi ghalti na karooN...

                  KYA FAAEDA KUCH KEH K BANOOn AUR B MA'TOOB
                  PEHLAY HI KHAFA MUJH SAY HAIn TEHZEEB K FARZAND

                  KYA CHEEZ HAY AARAAESH O QEEMAT MAIn ZYADA
                  AAZAADI E NISWAAn K ZAMURRAD KA GULU BAND

                  IK ZINDA HAQEEQAT MERAY SEENAY MAIn HAY MASTOOR
                  KYA SAMJHAY GA WO JIS KI RAGOn MAIn HAY LAHU SARD

                  NAY PARDA NA TA'LEEM NAEE HO K PURAANI
                  NISWANIAT ZANN KA NIGAH BAAn HAY FAQAT MARD

                  JIS QAUM NAY ISS ZINDA HAQEEQAT KO NA PAYA
                  USS QAUM KA KHURSHEED BOHAT JALD HUA ZARD.

                  JIS ILM KI TASEER SAY ZANN HOTI HAY NA ZANN
                  KEHTAY HAIn USI ILM KO ARBAB E NAZAR MAUT

                  BAY GANA RAHAY DEEn SAY AGAR MADRASSA E ZANN
                  HAY ISHQ O MUHABBAT K LIAY ILM O HUNAR MAUT

                  iss mauzu pay sirf IQBAL ki taraf say kafi kuch aur b likha jaa sakta hay agar aap bura na maanaiN aur ijazat daiN. baat sirf itni hay k mard apnay haqooq choRay bachay apnay haqooq choRaiN to theek hay warna gharr 24 ghanTay ki tawwaja ka mustahiq hay.

                  Baykamal

                  kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                  Comment

                  • #10
                    Re: Tahi DaamaaN

                    Originally posted by bloo View Post
                    salam sis!
                    Aap ki tehreer perh key mey bas " :(" yun ho gai.Aur bas sirf aik sawal tha zeyhan mey key kya saarey asian larkey aeysey hi hotey hein?ya phir dunya bhar key majority mardoN ki aeysi hi soch hoti hai? asal mey kal hi aik Aunty sey mulaqat hui thi wo bohot pareyshan thein apni choti behan key liye, un ki sis ney abhi apna graduation ker key IT diploma liya hai aur aik bank sey un ko job ki offer hui hai leykin un key parents ki marzi nahi hai sirf iss liye key abhi tak she is not engaged aur wo dartey hein key aeysa na ho key uss ki job uss key rishtey mey koi rukawat daal dey kyun key un key khayal mey majority log job kerti larkiyoN ko pasand nahi kertey hein.....
                    Bloo saheba
                    aap udaas na hooN
                    paanchoN ungliaN aik jaisi nahiN hotiiN
                    hamare muashrey meN mukhtalif tabqaat ke mukhtalif ruhjaanaat heN
                    aise log bhee heN jo baite ya baiti meN koi faraq nahiN rakhte
                    aur aisi saasieN bhee heN jo baho'oN ko puri support karti heN
                    mere aik cousin jo o'levels ke baad usa chale gaye the ne apni hone waali beewi ke liye aisi khawahishaat ka izhaar kiyya
                    english medium school se paRhi ho
                    kam az kam masters kiyya ho
                    car drive kar sakti ho
                    apne mazhab se lagaaoo rakhti ho
                    so duniya meN har qisam ke log heN
                    khush rahiye
                    zmufti

                    Comment

                    • #11
                      Re: Tahi DaamaaN

                      ...................
                      Originally posted by baykamal View Post
                      Assalaam o alaikum
                      maiN apna nuqta e nazar aap k sawaloN ki roshni maiN dainay say pehlay sorry kartt hooN k meray words nikalnay ka shauq say aap ko takleef pohanchi mera har giz maqsad takleef daina nahi hay aur iss poori behes maiN aap ko kisi baat say takleef pohanchay to maiN maafi ka khaastgaar hooN...

                      Raza saheb
                      umeed hai aap aayinda ilfaaz ke chunaaoo meN muhtaat raheN ge

                      maiN nay yai nahi kaha k aurat baahir bilkul na niklay career women ho laikin kisi qeemat khaas taur pay apnay gharr aur nihayat khasoosi taur pay apnay bachoN aur shohar ki...

                      aap nay baat ki mother tresa ki fatima jinah ki bilqees eidhi ki inn maiN say do ki to shaadi nahi hui aur teesri khatoon k haaN koi aulaad nahi hay jo unn ko gharr maiN busy rakh sakay... aur shohar ki marzi say kaam kar rahi haiN... bilkul kaam karaiN auratoN aur bachoN k liay kar b auratoN k liay hi rahi haiN...

                      kyaa aap yeh chahte heN ke maiN mazeed micaaleN pesh karoN mere liye yeh bilkul mushkil nahiN

                      doctor nurse teacher bohat zyada ehtaraam walay sho'bay haiN... deen daar logoN ki apni maayaiN behnaiN baiTiaaN inn sho'boN maiN haiN aur kaam kar rahi haiN.... sahi deen daar...ALLAH k karam say meray ghar maiN b aisi khaateen ki kami nahi hay jo k bohat achay level tak paRhi hui haiN career b start kia laikin jabb gharr ki zaroorat bani to aik taraf rakh k gharr ko apnaya aur apni marzi say apnaya.. aap ki behes unn khateen ko mujrim nahi Tehraati ? k gharr baiTh rahi haiN...

                      jee nahiN mera nukta-e-nazar yahi hai keh khawateen ko apni zindagi guzaarne ka faisla khud karna chahiye phir chahe vo ghar baithne ka ho ya kaam karne ka
                      aik paRhi likhi khaatooN apne sahi maqaam ka tayyiun khud kar sakti hai is ke liye usse kissi ke fatwe ki chandaaN zaroorat nahiN

                      judges writer bankers sabb kuch haiN laikin uss ki qeemat adaa karti haiN aur aksar un ki family ko hi qurbani daini paRti hay, aur mard ki ijazat b shamil hoti hay.. aur wo unn ki apni priority hoti hay k wo kaisa gharr chahtay haiN...

                      jee haaN jab mard khud apne khaandaan ki jaaez zarooriat puri nahiN kar sakta to aise hi maazrat khawahana jumloN ka sahara leta hai

                      aur qaumoN ki baraadari kya hay wo qaumaiN hamaiN iss soch ki wajah say kaafi nuqasaan ho chuka hay k qaumoN ki baradari maiN hamm kahaaN haiN..

                      APNI MILLAT PAY QYAAS AQWAAM E MAGHRIB SAY NA KAR
                      KHAAS HAY TARKEEB MAIn QAUM RASOOL E HAASHMI

                      Allama Iqbal ka hi sher hai

                      zamane ke andaaz badle gayye
                      naya raag hai saaz badle gayye

                      haqqeqat kharafaat meN kho gayyii
                      yeh ummat rawayaat meN khoo gayyii

                      khudara ham nay kis jhon kisi helen ko jawab deh nahi hona...

                      G ALLAH k karam say maiN nay aik aqal e saleem rakhnay wali khatoon say shaadi ki hay jo k apnay tamaam tarr career paisay aur qabliat ko gharr say bahir istemaal karnay k gharr maiN istemaal karnay ka faisla kia hay aur khush hay... aap nay mashwara dia aap ka shukria.. mujhay pata hay k maiN nay aap ki gharr gharasti k hawalay say koi mashwara dia to...

                      aap ki begum apni soch meN aazaad heN aur maiN apni so plz learn to respect the opinion of other people

                      maiN to aap k page pay mehmaan hooN aur mera kisi ki dil aazaari ka maqasad nahi hay jahan takk aap nay aquari ki post pay link k diay janay ka zikr kia hay aur shayed koi gumaan guzra ho aap k zehen maiN to az raah meher baani yai aajiz aap say arz guzaar hay k aisa gumaan aap apnay dil maiN na laayaiN.. mehez ittifaq say aa gya tha aur koshish karooN ga k aainda aisi ghalti na karooN...

                      agar yeh mehaz ittefaaq hota to aap youN na likhte
                      "hmmm maiN nay aaj aur abhi qauari ki kahani " sahi maqam ka ta'ayyun " paRhi aur wahaN maiN nay reply b dia laikin qudrati taur pay maiN yahaaN aa dhamka hooN.........."

                      kyaa FAAEDA KUCH KEH K BANOOn AUR B MA'TOOB
                      PEHLAY HI KHAFA MUJH SAY HAIn TEHZEEB K FARZAND

                      KYA CHEEZ HAY AARAAESH O QEEMAT MAIn ZYADA
                      AAZAADI E NISWAAn K ZAMURRAD KA GULU BAND

                      IK ZINDA HAQEEQAT MERAY SEENAY MAIn HAY MASTOOR
                      KYA SAMJHAY GA WO JIS KI RAGOn MAIn HAY LAHU SARD

                      NAY PARDA NA TA'LEEM NAEE HO K PURAANI
                      NISWANIAT ZANN KA NIGAH BAAn HAY FAQAT MARD

                      JIS QAUM NAY ISS ZINDA HAQEEQAT KO NA PAYA
                      USS QAUM KA KHURSHEED BOHAT JALD HUA ZARD.

                      JIS ILM KI TASEER SAY ZANN HOTI HAY NA ZANN
                      KEHTAY HAIn USI ILM KO ARBAB E NAZAR MAUT

                      BAY GANA RAHAY DEEn SAY AGAR MADRASSA E ZANN
                      HAY ISHQ O MUHABBAT K LIAY ILM O HUNAR MAUT

                      kaash aap meN itni ikhlaaqi jurat hoti keh hazrat Allama Iqbal ki nazm mukammal post karte

                      is behac ka kuch faisla maiN kar nahiN sakta
                      go khoob samjhta hooN yeh zehar hai vo qand

                      is raaz ko aurat ki baseerat hi kare faash
                      majboor heN maazoor heN mardaan-e-khiradmand

                      iss mauzu pay sirf IQBAL ki taraf say kafi kuch aur b likha jaa sakta hay agar aap bura na maanaiN aur ijazat daiN. baat sirf itni hay k mard apnay haqooq choRay bachay apnay haqooq choRaiN to theek hay warna gharr 24 ghanTay ki tawwaja ka mustahiq hay.

                      kon kis baat ka mustahiq hai is ka faisla aap ya maiN nahiN kar sakte har fard apna faisla khud kar sakta hai phir chahe vo mard ho ya aurat

                      Baykamal

                      Comment

                      • #12
                        Re: Tahi DaamaaN

                        Bohat achi tahreer hai.Waqai hamaray haan mard superiority complex ka shikaar hotay hain,unhain yeh gawara hi nahin hota kay aurat un say barh jaye,isi liyay woh apni tamam tar koshish usay dabanay main sarf kar daitay hain.Mairi aik colleague hai us kay mian bhi same department main hain.Donon ne MPhill ka socha aur aghaz bhi kar diya,thoray arsay baad khatoon ne kaafi kaam kar liya laikin sahib peechay rah gaye,unhon ne mairi colleage ko bhi MPhill nahin karnay diya.Mujhay to kabhi kabhi lagta hai kay mard aurat se khoufzada hai ke agar isay na dabaya to yeh saari dunya per chaa jaye gi,yeh wajah hai ke woh isi tension main rahta hai kay aurat ka kaisay kaisay dabay.
                        Mind Sciences

                        Comment

                        • #13
                          Re: Tahi DaamaaN

                          aik typical pakistani mard ki soch
                          bohat acha likha ap ne zmufti:thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Tahi DaamaaN

                            Originally posted by zapk7 View Post
                            Bohat achi tahreer hai.Waqai hamaray haan mard superiority complex ka shikaar hotay hain,unhain yeh gawara hi nahin hota kay aurat un say barh jaye,isi liyay woh apni tamam tar koshish usay dabanay main sarf kar daitay hain.Mairi aik colleague hai us kay mian bhi same department main hain.Donon ne MPhill ka socha aur aghaz bhi kar diya,thoray arsay baad khatoon ne kaafi kaam kar liya laikin sahib peechay rah gaye,unhon ne mairi colleage ko bhi MPhill nahin karnay diya.Mujhay to kabhi kabhi lagta hai kay mard aurat se khoufzada hai ke agar isay na dabaya to yeh saari dunya per chaa jaye gi,yeh wajah hai ke woh isi tension main rahta hai kay aurat ka kaisay kaisay dabay.
                            shukria Almas jee
                            mardoN ke muashery meN kon bardasht karta hai keh Aurat ki koi apni soch ho
                            khush rahiye
                            zmufti

                            Comment

                            • #15
                              Re: Tahi DaamaaN

                              beautifully written
                              akhir kahi na kahi tou difference barta he jaata hai. dekhway k liyey koi kitna he roshan-khiyal aur understanding kyon na banay, zehn ki sahti souch tou woh he rehti hai na.
                              bohat achi shakal mein aap nay is pehlo ko ujagar kiya hai:)
                              keep writing

                              Comment

                              Working...
                              X