Tasveer-e-Hasrat
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Tasveer-e-Hasrat
Collapse
X
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
Assalaam-0-Alaikom:rose
aik martaba phir ...bay had umda tehreer perhnay ka moqa diya hai aap nay...:clap:
ALLAH TALAA aap ko salahiyatooN mein aur izafa karay......
buht hi acha likha hai.......zindgi kay buht saaray pehlooN kay hawalay say......
aik shair hai
adl-oinsaaf faqat hashr per nahin mouqoof
zindgi khud bhi gunaahooN ki saza daiti hai
loag dosray ki aik aik baat ko zehen mein rakhtay hain...bhol jatay hain koi un ka bhi hisaab laina wala hai....un ko bhi aik na aik din girft mein lia jaye gaa......
is tehreer mein jo qta hai ...kia woh bhi aap nay likha hai,.....
aainda bhi likhti rehiye gaaa.....:phool:
ALLAH TALAA hum sab ko apni amaan mein rakhay...
Comment
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
Originally posted by Aabgina View PostAssalaam-0-Alaikom:rose

Rida jee
aap ka shukria ke aap ne yeh kahani paRhi
aur buhat achcha sher bhee sunaya jo bilkul kahani se mutabiqat rakhta hai
Kuch insaan sirf apne haqooq per nazar rakhte heN apne farayez ko bhool jaate heN
un ke liye un ki apni khawahishaat se ziyada muqadam kuch nahiN hota bas yeh bhee kissi aisi hasti ki kahani hai
tehreer maiN jo qita hai vo marhooma ka hai mera nahiN
Allah se dua hai keh vo ham sab ki raahieN roshan rakhe
khush rahiye
zmufti
Comment
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
Originally posted by aquari View PostBauht khoosboorat
kuch logo k zindagi k safar itney la hasil ku reh jata
kuu itni si baatoo ki sazaa itniii mil jati haii
nizam-e-qudrat bhi ajeeb haii
Tehreer bauht zaberdast haii :clap:
kahani paRhne ke liye aap ki mamnoon hooN
jee haaN aap ne durust kaha kabhi kabhi Allah ki maslihat hamaari samajh meN nahiN aati keh zindagi kissi aik shakhs ko kiyoN itna aazmaati hai
Allah swt se dua hai ke sab ke liye aasaaniaN paida kare
khush rahiye
zmufti
Comment
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
salam zmufti sis,
Aap ki tehreer to perh li hui thi magar samaj nahi aa raha tha key kya kahun :)
BachoN ko parents ki attention chahiye hoti hai, tabhi un ki personality banti hai warna kami reh jati hai. Jitna hissa aik bachey ki tarbiyat mey Maa ka hota hai utna hi balkey mey kahun gi uss sey ziada baap ka hona chahiye,
aap ki kahani ka markazi kirdar bohot strong hai aur zidd to phir bandey mey aajati hai aur phir self destruction ka raasta bhi shayad apni marhoomiyaN khatam kerney keyliye apnaya jata hai.
infact iss kahani pey ham bohot ziada mushktalif pehloo pey baat ker saktey hein ... aik achi tehreer :thmbup:" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
Originally posted by yellowsky View Postsalam zmufti sis,
Aap ki tehreer to perh li hui thi magar samaj nahi aa raha tha key kya kahun :)
BachoN ko parents ki attention chahiye hoti hai, tabhi un ki personality banti hai warna kami reh jati hai. Jitna hissa aik bachey ki tarbiyat mey Maa ka hota hai utna hi balkey mey kahun gi uss sey ziada baap ka hona chahiye,
aap ki kahani ka markazi kirdar bohot strong hai aur zidd to phir bandey mey aajati hai aur phir self destruction ka raasta bhi shayad apni marhoomiyaN khatam kerney keyliye apnaya jata hai.
infact iss kahani pey ham bohot ziada mushktalif pehloo pey baat ker saktey hein ... aik achi tehreer :thmbup:
kahaani paRhne ke liye shukria
Yeh to aap ne bhee dekha hoga keh har insaan ki fitrat mukhtalif hoti hai
aur kuch insaan baaz auqaat apne liye aisa raasta chunte heN jise vo kissi bhee tarah justify nahiN kar sakte magar vo apni banayii hui khayali duniya meN sab se ziyada ma'asoom aur mazloom hote heN
khush rahiye
zmufti
Comment
-
Re: Tasveer-e-Hasrat
Originally posted by zmufti View PostRida jee
aap ka shukria ke aap ne yeh kahani paRhi
aur buhat achcha sher bhee sunaya jo bilkul kahani se mutabiqat rakhta hai
Kuch insaan sirf apne haqooq per nazar rakhte heN apne farayez ko bhool jaate heN
un ke liye un ki apni khawahishaat se ziyada muqadam kuch nahiN hota bas yeh bhee kissi aisi hasti ki kahani hai
tehreer maiN jo qita hai vo marhooma ka hai mera nahiN
Allah se dua hai keh vo ham sab ki raahieN roshan rakhe
khush rahiye
zmufti
Zarqa sis...aap nay kaha qita marhooma ka hai........kis kaa :donno:
Comment
Comment