:salam:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Meri awaz kho gai hai
Collapse
X
-
Re: Meri awaz kho gai hai
Wasi Sahab, itna karb aur itna dard hay aap ki tehreer main kay yaqeen karain main inn lafzoon main kho sa gaya, aur aisa mehsoos horaha hay jaisay mera dil andar hi andar sulag raha hoo, main shayed rona chata hoon magar ansoon nahin, kuch likhna chata hoon magar alfaaaz nahin, jis tarah aap ki gayayi aap say kho chuki hay ussi tarah meri sochnay samajhnay ki salahiyat aisa lagta hay kahin gum hogayi hay, yeh alfaaz khudhbakhudh dili ehsaasat ko bayan kar rahay hain.... soch raha hoon kay kia mohabbat main koi iss qadar bhi khoo jaata hay kay ussay apnay aap ki koi parwaah nahin rehti, kia mohabbat waqayi insaan ko goonga, behra, andha bana daiti hay? pata nahin kia kia khayal meri soch say takkra rahay hain aur main unka jawaab nahin soch pa raha..... shayed iss liye kay shayed main nay kabhi kisi ko itna toot kar chaha hi nahin, ya shayed halaat hi aisay thay kay chahat kay baaray main kabhi socha hi nahin!!!!
kuch bhi ho laikin aik baat zaroor hay kay jab bhi aap ki shaaeri paRhta hoon, mujhay andar hi andar bohat dard mehsoos hota hay, mujhay aisa lagta hay kay main aap kay dard apnay dil main mehsoos kar raha hoon, yehi khoobsurat baat hay aap ki tehreer ki... aap kay dard hum sab say chuppay nahin rahay, kaash woh bhi inn dard ko mehsoos kar kay lout aayay jiss kay dard main aap ki benayi, aur gayai ki taaqat khatam hoti ja rahi hay... bas yehi dua hay woh bhi aap ko utna hi toot kar cha lay jitna kay aap chatay hain..... kaash woh aap kay laboon ko awaaz bakhsh day taakay aap humesha apni baat ustak poohancha sakain!!!
Likhtay rahain janab yeh alfaaz nahin aap kay dard hain jo humain bhi mehsoos hotay hain, khush rahyeh!sigpic
-
Re: Meri awaz kho gai hai
Originally posted by thefire1 View PostWasi Sahab, itna karb aur itna dard hay aap ki tehreer main kay yaqeen karain main inn lafzoon main kho sa gaya, aur aisa mehsoos horaha hay jaisay mera dil andar hi andar sulag raha hoo, main shayed rona chata hoon magar ansoon nahin, kuch likhna chata hoon magar alfaaaz nahin, jis tarah aap ki gayayi aap say kho chuki hay ussi tarah meri sochnay samajhnay ki salahiyat aisa lagta hay kahin gum hogayi hay, yeh alfaaz khudhbakhudh dili ehsaasat ko bayan kar rahay hain.... soch raha hoon kay kia mohabbat main koi iss qadar bhi khoo jaata hay kay ussay apnay aap ki koi parwaah nahin rehti, kia mohabbat waqayi insaan ko goonga, behra, andha bana daiti hay? pata nahin kia kia khayal meri soch say takkra rahay hain aur main unka jawaab nahin soch pa raha..... shayed iss liye kay shayed main nay kabhi kisi ko itna toot kar chaha hi nahin, ya shayed halaat hi aisay thay kay chahat kay baaray main kabhi socha hi nahin!!!!
kuch bhi ho laikin aik baat zaroor hay kay jab bhi aap ki shaaeri paRhta hoon, mujhay andar hi andar bohat dard mehsoos hota hay, mujhay aisa lagta hay kay main aap kay dard apnay dil main mehsoos kar raha hoon, yehi khoobsurat baat hay aap ki tehreer ki... aap kay dard hum sab say chuppay nahin rahay, kaash woh bhi inn dard ko mehsoos kar kay lout aayay jiss kay dard main aap ki benayi, aur gayai ki taaqat khatam hoti ja rahi hay... bas yehi dua hay woh bhi aap ko utna hi toot kar cha lay jitna kay aap chatay hain..... kaash woh aap kay laboon ko awaaz bakhsh day taakay aap humesha apni baat ustak poohancha sakain!!!
Likhtay rahain janab yeh alfaaz nahin aap kay dard hain jo humain bhi mehsoos hotay hain, khush rahyeh!
zindagi hai he aisi kabhi masoom bache ki muskan jesi kabhi kabhi aanson jesi......aanso ki surat mein tawan ada ker k hum woh muskan laot aanay ki umid kerte hen mager aisa hota nahi hai wasal k haseen lamhe hijar k lamhon mein be rang se ho jate hen , zaban chup wajood bojhal bahot dard he judai mein phir bus yaaden reh jati hain koi kisi ko yaad kerta hai koi kisi ko yaad aata hai isi ka naam zindagi hai mere dost
bas ik baat he share ki hai bahot kuch likhna baqi hai ye awaz ki baat thi,
bahot bahot shukriya aap ka dearsigpic
Comment
-
Re: Meri awaz kho gai hai
itni sady sady...apki poetry pherti waqt ankhein zaror naam hojati hai
buht hai acha lekha... wasi ji
lekhti rahien.. khush rahein hamesh.u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."
:pr:
Comment
-
Re: Meri awaz kho gai hai
Itni bhi inkisaar thik nahin janab, ak ka kalam aik dil ki awaaz tha main tou srif tajziya kia jo meri aadat hay, magar aik baat main phir bhi kahon ga kay jis tarhan aap nay itnay khoobsurat zindagi kay rang apni iss respose main dikhayain hain, woh aap ka tajurba hay aur jo kuch main likhta hoon woh MUSHAHIDA hay, aur koi kitna hi mushahida kiyon na kar lay TAJURBAY say woh behtar ho hi nahin sakta!!!
Likhtay rahyeh aap ki tehreer ka intizaar rahay ga, khush rahyeh :)
Originally posted by WASI ANJUM View PostSach kahon mujhe apni tehreer se aap ka reply acha laga jo ek khoobsurat tehreer ki shakl mein he.......samjh nahi aa raha k kiya kahon???