Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ek Sachi Kahani....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    re: Ek Sachi Kahani....

    Originally posted by ahsaas View Post
    Ye woh rishta hai jo Qurbani k bagair pora nahin hota .
    is rishty sey jurny walon ko koe na koe Qurbani dena hi perti hai .
    Kahani mein derd-o-sooz buhat hai , aik anjan rishta aik naye rishty ki buniaad rakh gia ..
    sahi kaha ahsaas aap ne
    mene kahani jis dost ki likhi hai chand din pehle woh dost mere paas aaya tha bahoot saal ho gai magr mene us ki aankhen aaj bhi udaas dekhin.....mein us se mozoo per baat nahi karna chahta tha.magar baatoon batoon mein baat nikal aai.......us ki aankhen bhar aain.aur mene mozoo badal diya qurbani sirf us larki ne nahi mere dost ne bhi di hai mujhe ahsaas hua k woh bhi pal pal tarap raha hai.....bas ab aansoo bahanay aur yaad karnay k siwa kar bhi kiya sakta hai
    sigpic

    Comment


    • #17
      re: Ek Sachi Kahani....

      Originally posted by WASI ANJUM View Post
      sahi kaha ahsaas aap ne
      mene kahani jis dost ki likhi hai chand din pehle woh dost mere paas aaya tha bahoot saal ho gai magr mene us ki aankhen aaj bhi udaas dekhin.....mein us se mozoo per baat nahi karna chahta tha.magar baatoon batoon mein baat nikal aai.......us ki aankhen bhar aain.aur mene mozoo badal diya qurbani sirf us larki ne nahi mere dost ne bhi di hai mujhe ahsaas hua k woh bhi pal pal tarap raha hai.....bas ab aansoo bahanay aur yaad karnay k siwa kar bhi kiya sakta hai
      Woh Ankhein udaas is liye hein k unko woh qubarbani nahin bhool sakti jo sirf us zaat k liye apni zaat khatam ker gai.aur aisa jeena merny se ziada takleef-dah hota hai

      Comment


      • #18
        re: Ek Sachi Kahani....

        Assalamualikum ,
        Wasi Anjum ..... aap ne yahan sab se pocha is liye mein bhi dakhal andaaz ho rahi hoon . kahani waqai dard naak hai balke Haqeeqath badhi talk Haqeeqath hai .Insaan jab haqeeqath mein dard se guzarta hai toh koi musawwir ya Qalam kar kitna bhi likh le likin phir bhi us ko safah-e-Qirtaas par nahi phaela pata . mein yahan Fanny baat kahoongi ke aap is baat ko aur behter andaaz mein paish karsaktey they .kahani ya afsaan kisi aur duniya se ban kar nahi atien yeh sab hamare aas paas hi banti hain . is liye aap apni tahreer mein aisa andaaz apnayiye ke Qaree ko HAQEEQATH bhi Afsaana lagey .aur koi ek sanf ka inteqaab kar ke likhakijiye .

        Comment


        • #19
          Re: Ek Sachi Kahani....

          bahut dukh bhari kahani hai....

          Comment

          Working...
          X