Buhat saloon se dil main ye khalish thi k Allah k rasool ne to jo aazmaish utahai wo ummet k liye utahai laikin jawab main kia hamarey aamal aise hain k hamain qiamet k din un k samne sharminda na hona parey yaqinan aap ka jawab bhi nahi main hoga yahan main apni is kitab se ek iqtibas paish ker raha hoon or ye meri kitab ka wo hissa hey jo main ne harem sharif main mutaf main baith ker likah tha.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Wo(S.A.W) Muntazir Hain se ek Iqtibas
Collapse
X
-
Re: Wo(S.A.W) Muntazir Hain se ek Iqtibas
Assalaam-O-Alaikum Syed sahab
Aap ki tehreer paRh kar meri aankhain bhi namm hogayi aur andar hi andar dil malamat karnay laga kay waqayi humaray Nabi-e-Karim SAW nay insniyat kay liye apni ummat kay liye kitna duwayain ki aur kitni takleefain sahee, unkay payoon shareef tak khoon main ras gayay magar unkay munn say baduaa ka aik alfaaz na nikla.... main ab zar-o-qataar ronay laga hoon apni khudhgharzi per apni bayhisi per............................................... .................................................. .................................................. .................................................. ....................................... meray alfaaz mera saath choRtay jaa rahay hain...
Bas itna kahoon ga kay Ya ALLAH humain Nabi-e-Karim SAW ki ataayat karnay ka jazba ata farma AMEEN
JAZAK ALLAH KHAIR, iss khoobsurat tehreer likhnay per, khush rahyeh
Fi amaan ALLAHsigpic
Comment