Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

BahaR The TuM...! (compLete Story)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • BahaR The TuM...! (compLete Story)






    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)






    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #3
      Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)






      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #4
        Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)






        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #5
          Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)





          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #6
            Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)




            Meri zindagi mian ager kami thi tu tumhari zaat ki...kitni haseen hoti meir zindagi.ager tum aj bhi iska hissa hote...Aj Main sochon Main dobey tu wo aik aik Lamha mere samne agaya...jo kabhi Mera or Tumhara tha.

            Aj 13Oct hai...Yeh Din Tumhari or meri zindagi ka yaadgar din...hamara din...hamare pyar ka din...hamare iqrar ka din...aik kabhi na bholne wala din...leken aj main kitni tanha hon...sub kuch wo he hia...Leken aik tumhare na hone se zindagi kaise ruk si gaye hia...waqt ka kaam tu leken guzarna hai...wo tu guzarta he rehta hai...kisi ka intizar kiye bina.

            Meri or tumhari mulakat aik sarak per hue thi...howa kuch youn tha ke mere pao main moch agaye thi...aur main sarak ke kinare bhet gaye thi...ke tum waha se guzre...pocha ke kiya howa hia app ko...Maine kha Moch agaye hia aur utha bhi nahi jaraha...ghar bhi dor hia...wo bola kha jana hia ap ko...Mujhe bataye...Miane iski taraf dekha tu wo bola ke app mujhe aisa waisa mut samjhain...Main aik sharif insan hon...Maine ise apne ghar ka address samjhaya...isne sahare se mujhe uthaya...aur apni gari main behtaya...Pao main dard ke mare mere ansoo bahey jarahe the...wo bola dard bhot hai tu phele doctor ke pass le chalon ?Miane kha Nahi bus app ghar chor dain...sare raste wo phir khamosh he raha...ghar agaya tu isne sahara de ker mujhe gari se utara...Maine bell ki tu ami agaye...aur mujhe aik ajnabi ke sath dekh ker pareshan hogaye...Ami ne mujhe sahara deya aur kha ke kiya hogaya hai tumhe...Maine kha Moch agaye hia...Maine peche mur ker dekha tu wo ja chuka tha...Mujhe Afsos howa ke Sukriya tak na kha.

            Phir tumse Meri Dosri Mulakat shopig centre main hue...Main apni dost Rabia ke sath thi...Miane tumhe dekhte he pechan Liya... or tumhari ankhon main bhi Maine shanasaya ki chamak dekhe thi...Maine kha is din app chale gaye the...wo bola app taklef main thi...isliye mujhe rukna acha na laga...Maine kha main app ka sukriya ada na karsake...isne kha koi baat nahi...ab pao kaisa hia ? Maine kha thek hai...phir isne kha ke pass he resturent hai...ku na chal kar chia pe jaye...Maine Rabia ki taraf dekha tu isne bhi hami bhur le...phir hum resturent gaye...waha hum ne chia or sandwich ka order deya...Phir isne kha ke Mera naam Saqib hai...apna business karta hon...ghar main bus waldain hian...or main aklota hon...Maine kha Mera Naam Maheen hai...B-A kiya hia...ab farig hon...app hi ki tarah akloti hon...wo aik dum muskura utha...aur yeh meri dost Rabia hai...wo bola bhot khushi hue app dono se milkar...phir chia agaye aur idhar udhar ki baatain hoti rahe...akhir Main Saqib ne apna card bhi deya...jis main iska ghar...MobiLe aur office number the..aur sath he Saqib ne yeh bhi kha ke Main ap ke Fone ka intizar karonga.


            Saqib Mujhe kuch alag sa Laga...dosre larkon se...Maine iski nazaron main izaat-o-ihtram dekha...aik din main soch rahe thi ke...Saqib ko fone karon ya nahi...bus sochne sochne main Saqib ke ghar ka number Mila deya...jo Saqib ne he uthaya...Maine kha Saqib se baat karne hia...wo bola jee Maheen...Main he baat karraha hon...Maine kha app ne Mujhe pechan liya...wo bola kaise na pechanta...itna tu intizar karwaya hia ap ne...Maine kha...yaqeen nahi ata..wo bola ajaye ga...Maine kha kab..wo bola bhot jald...phir hum baat karte rahe...aik ghnat guzar gaya...pata he nahi chala...isne kha ke ab kab kare gi fone...Maine kha ke dekhongi...wo bola dekhna nahi hia...Main intizar karonga...agley hafte...ise din...ise waqt per...Maine kha intizar mut karye ga...Main agar hosaka tu karlongi...wo bola nahi main intizar karonga...bhaley app karian na karain...Phir Maine fone bund kardeya.

            Saqib ko socha mujhe bhot acha lagne laga tha...iski ankhian bhot khoubsurat thi...tori soye tori jage si...aur khoubsurat ankhon ki tu main jaise deewani thi...kehne ko tu maine Saqib ko kehdeya ke dekhongi fone karne ka...Leken sach tu yeh tha ke main bhot shedat se gin gin kar agley hafte ka intizar karrahe thi...aur aisa lag raha tha ke aj se phele yeh din kabhi itne lambe na howe the...akhir kar wo din a he gaya...raat 11 baje main Saqib ka No Milaya...jise isne bell pori hue bina he utha liya...Forun bola jee Maheen Main kab se intizar karraha tha...Maine kha agar main na karti tu...wo kehne laga...aisa ho he nahi sakta tha...mujhe pata tha app zaror fone kare gi...Main khamosh rahe ke khamoshi se jazbo ka izhar hojata hia...Saqib Bola...Maheen kuch kahe na...Maine kha kiya kahon...kuch samaj nahi araha...aik hafte se jsi waqt ka intizar karrahe thi...aj wo achuka tha tu main samaj nahi pa rahe thi ke kiya baat karon...Main apni he sochon main ghoum thi ke.Saqib ne kha...Maheen Main app ko tum kehsakta hon...Maina kha zaror kahain...Phir maine kha ke...Saqib tum aur app kehne se koi izaat kum nahi hoti...bhaley app tum kahin ya app...Saqib bola bilkul thek kha ap ne...Matlab tum ne...hum dono hans pare...ise tarah se hamari adat bun gaye...phele hum hafte main baat karte the...phri roz raat ko karne lage...kabhi main fone karti tu kabhi Saqib.

            Mujhe Saqib ki aik baat bhot achi lagti thi ke wo kabhi Milne ka na kehta tha...iski yehe baatain mere dil main iski izaat burhati thi.

            Phir aik Din Saqib ne kha...Maheen aj Maine tum se bhot zarori baat karne hia...Maine kha bolo...Saqib bola main lagey lipti ki bagiar direct baat karta hon...Main tumhe pasand karta hon or shadi karna chahta hon...Saqib ki pasandedgi ka mujhe bakhoubi andaza tha...Leken wo achanak yeh kehde ga...Isne kha ...batao Main apne ghar walon ko kab bhejon...Maine kha jab dil chahe...aur fone rakh deya...Marey sharam ke mujh se baat nahi ho pa rahe thi...agley din Saqib ka fone aya...isne kha...Maheen Main bhot khush hon...Tum ne meri Mohabbat ko qabol karliya...Mujhe lag raha tha jaise mian asman per ur rahe hon...phir Saqib ne kha ke kal meri ami InshAllah tumhare ghar aye gi.

            Maine apni ami ko Saqib ke bare main batadeya...ami yeh baat sun kar tori pareshan zaror hue...kehne lage tumhare abu ne bhi ajkal tumhare liye aik rishat dhonda howa hia...aur iske bare main malomat karwa rahe hian...khair tum fikr mut karna beta...jo rishta tumhare liye behter hoga...hum ise he pasand kare gai...ane do kal in logo ko...shayad yeh rishta zaida behter ho tumhare liye...ami tu chale gaye...Leken mere liye pareshaniou ke dur khol gaye...Leken Mujhe Allah per bharosa tha...or Saqib ki Mohabbat per bhi yaqeen.

            ise raat maine Saqib ko yeh baat bataye...tu inho ne kha ke...fikr mut karo...hum zaror milain gai.

            Saqib ke waldian aye...Mere waldian inse Mil kar bhot khush hwoe...Mujhe tasali hue...abu Saqib ke liye inkar karte bhi tu kaise...inki shandar personality...baat karne ka khoubsurat andaz...aur sub se burh ker...Mere liye bepanah chahat...Mera vote tu Saqib ke liye tha he...aur main chahti thi ke Mere waldian bhi apni khushi se he is rishte ke liye hami bharain...na ke majbori main ke beti ki pasand hia...Mere waldian ne sochne ke liye waqt manga...Saqin or inke waldian ne tu mere ghar ki dehlez he le li thi...aur mere Ami Abu bhi ab razi the ke Maheen ke liye is se acha rishta ho he nahi sakta...akhir kar haan hogaye.


            wo din bhot khushi ka tha...Saqib tu itan khush the ke aur khush tu main bhi thi ke itan acha jeevan sathi ALlah ne mere naseb main likha howa tha...jis ka main jitna sukur ada karti kum tha...mangni ke 2 mahene bad shadi ki tarikh rakhe gaye...aur in 2 maheno main Saqib ki bepanah chahtian,shedatain zahir hue...itna walehana pun ke Main Allah se yehe dua karti ke yeh Mohabbat Sada aise he rahian.


            akhir kar wo din bhi a he gaya jab main apne babul ka angan chor ko chor kar piya des sudhar gaye...aur piya bhi mera mun pasand...main jitna apni khusi ko chupati...khushi itni he zahir hoti...Main hujla urosi main bhete thi...jab Saqib ke qadmo ki aahat aye...mere dil ki dharkanai tez hogaye...Saqib mere samne the...inhone mera ghonghat uthate he kha chasm-e-bador kahe meri nazar na lag jaye...sharam ke mare mera chehra surkh hogaya...Saqib ki ankhon main itni Mohabat...itni chahat thi ke main khud ko Duniya ki khush qismat tareen aurat samaj rahe thi.


            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment


            • #7
              Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)


              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment


              • #8
                Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)



                Aik din Saqib ghar aye tu kehne lage...Maheen Mere Sar main bhot dard horaha hai...koi goli de do...maine pareshan hokar kha..Doctor ke pass chalte haina...kehne lage...Yaar sar mian he dard hai...chia pilwado aur bus goli khilado...phir mian kuch dair aram karonga...maine inhe chia or goli de...aur pass bhete sar dabata rahe...kuch he dair main wo sogaye...tu main room se bahir agaye...jab wo uthe tu wo thek the.

                Phir kuch he din bad Saqib ke sar main phir dard hogaya...ab ki bar tu main inke peche pargaye ke Doctor ke pass chalian...yeh roz ka sar dard acha nahi hota....kehne lage ajkal bus kaam zaida hiana...jis waja se sar main dard hojata hai...maine kha tu kuch din aram karlain na...kehne lage...aram he aram karna hia...sare zindagi...maine kha tu bus karain ab aram...kehne lage acha na...chutti karleta hon kuch din tak...maine kha thek hia...phir aik hafte Saqib bilkul office nahi gaye...bacho ke sath khailte...ami abu ke sath her waqt baatain karte...Mujhe bhi tasali he ke...ab Saqib behter hian.

                Aik hafta guzarne ke bad phir office jane lage..ab Saqib kuch ajeeb ajeeb batain karne lage...jiase kahe jane wale hon...aur sub se burh kar...ke wo office ki baat kabhi ghar par na karte the...leken ab karne lage...aur mujhe apne office ke bare main sub kuch samjhane lage...maine kehti ke mujhe ku samjha rahe hian....main apni gharelo zindagi se bhot khush or mutmain hon...kehte aise he bata raha hon....waqt ka kiya pata...kabhi shayad tumhe sub sanbhalna parjaye...mera dil dhuk se rehjata...main kehti Saqib app kahe jarahe hian kiya ?mujh se nazarin chura kar kehte ..nahi tu...main kehti ap mujh se kuch chupa rahe hian...kehne lage nahi yaar...tum se bhala mian kuch chupa sakta hon..tum tu mera libas hon..mian kehti tu phir aise baatain ku karrahe hian.

                Leken wo mere is sawal per khamosh rehte.

                Achanak he Saqib ki abadatian bhot lambi hone lage..raaton ko uth kar Tahajud bhi parhne lage...sath main bhi uth jati...Saqib ke sajde bhot he lambe hogaye the...aik din tu 15 min guzar gaye..Saqib he sajde se sar he na uthaya....mera dil kuch durr sa gaya...inhe hath lagaya tu phir wo uthe...aur inka chehra is waqt ansoo se bhega howa tha...maine kha kiya howa ap ko...kehne lage kuch nahi....Allah se apne gunahon ki mafi mangraha tha.

                inho ne sare jaidad wagera bhi mere naam karde...maine mana bhi kiya ke mujhe in sub cheezon ki koi zarorat nahi hia..jab ap mere pass hian tu mujhe kuch nahi chahye...leken wo mane nahi...aur apna sub kuch mere naam kardeya...aur apna sub kuch mere naam kardeya.

                aur aik din bhot zid karke kehne lage..Maheen jab se hamari shadi hue hia...tumne mera office nahi dekha...chalo aj tumhe apna office dikhao...main bhi razi hogaye...KaiF aur KashMaLa ko inki dadi ke pass chor kar hum office gaye...waha bhi mujhe saqib ne aik aik chez ke bare main tafseli tor par samjhaya...aur ab hairet ki baat ke...main jaise office se koi dilchaspi nahi thi...ab sub kuch mukamal tor per samjh chuki thi...Saqib kehte...ab main mutmain hon ke...Mere bad tum sub ko koi masla nahi hoga...meri begum bilkul perfact hochuki hian...mian kehti plz aise betuki baatian mut kiya kijeye...kano ko hath laga kar kehte acha nahi kehta.

                hamari shadi ki dosri salgira thi...hum ne shadi ki salgira ka cake hotel main kata...bache,saqib k ami abu or mere ami abu bhi sath the..saqib ne khas tor per sub ko is bar jama kia tha...kehne lage...Mera dil chah raha hai sub main khusiyan banton...inho ne mujhe gift main aik bhot khoubsurat gold ka set or sarhi de thi...sarrhi saqib ko bhot pasand thi....aur main hamesha inki pasand ke kapre he pahenti thi...is din maine inki de hue sarhi bandhi..aur wo mujhe aise dekh rahe the..jaise phele bar dekh rahe hon..maine inke walehana pun se tora ghabra gaye...pocha kiya dekh rahe hian...kehne lage..tumhe ankhon mian sama raha hon..bus inki yehe tu baatain thi..jo mere husun main izafa karti thi..maine bhi inhe aik gift deya tha...aik bhot he khoubsurat kurta shalwar..jiase pahan kar wo Shahzadey lag rahe the...Saqib ki ami ne hamari nazar uttari or dhairo duain de.

                Hotel se wapsi par jab main kapre change karne lage tu saqib kehne lage...Maheen meri aik khawaish hai....maine kha jee kehye...wo main yeh kehraha tha ke...phele bar mujh se baat karte hue inhe alfaz ka intikhab karna para..phir bole...main aik bar phir tumhe Dulhan ke roop main dekhna chahta hon..maine aj tak inki koi baat nahi taley thi..tu yeh kaise talti..pocha kiya abh ? tu inho ne dhairey se sar hila deya.

                main uthi or apna shadi ka dress nikal kar tiyar hone lage...itni dair wo ankhian bund karke lete rahe...aur jab main tiyar hokar inke samne gaye tu wo yuk tik mujhe dekhte rahe...maine kha kiya achi nahi lagrahe.
                kehne lage bhot achi lagrahe ho.mian biyan nahi karsakta...aur phir mujhe apne samne bhita kar dekhte rahe or kehte rahe ke main tumhe jee bhur kar dekh lena chahta hon...aik lamhe ko inki ankhon mian maine mayosi ke saye dekhe...pocha bhi ke ap thek hiana..kehne lage..itni khoubsurat biwi samne ho tu bhala kuch hosakta hia kiya.

                aur phir wo raat bhot sare ahdopaiman karte guzar gaye.

                ab saqib zaida tur waqt ghar per guzarte..office bhi kabhi jate or kabhi na jate..kehte main sara waqt tum sub ke sath guzarna chahta hon.

                aik din saqib mujh se nazrain churate hue kehne lage..Maheen mujhe business ke silsile main Islamabad jana hia...shayaad aik do din ya is se bhi zaida lag jaye.

                Maine kha kiya naya business soro kiya hai ? phele tu kabhi app kahe nahi gaye...kehne lage haan aisa he samjh lo...bole mera baig tiyar kardena.

                inke kahe jane ka sun kar he meri ankhon main ansoo agaye..kehne lage aray bilkul pagli ho tum..main jald wapis ane ki koshish karonga..mera kaun sa dil lagta hai tum sub ke bagair...maine kha tu mut jaye na...jiasa bhi business hai..hum sub khush hian..ise main he...main ap ki judai burdash nahi karsakti...aik lambi sans kehnch kar kehne lage..mera jana zarori hia...na gaya tu shayad nuqsan hojaye...tum apna bacho or ami abu ka khayal rakhna.

                maine inse kha ke..hum ap ko airport chorne chale gai...kehne lage nahi..main driver ke sath chala jao ga..wo gair wapis lakar ajaye ga.

                Mian mayos hogaye.

                main chahti thi ke saqib jab tak karachi main rahian.mere nazro ke samne rahian..leken inho ne saf inkar kardeya.

                mera utra howa chehra dekh ker kehne lage...main isliye kehraha hon ke.tum kha pareshan hoti rahogi...aur suchi baat tu yeh hai Maheen ke agar tum sub samne hogia tu main ja na sakonga.

                Maine kha theek hai...leken plz jaldi aye ga...kehne lage haan kaam katam hote he ajao ga.

                phir ami abu ki dhairo duain..bacho ko pyar karke aur mujhe Alwida kehte howe jane lage...aur jate jate koi 4 bar inho ne mur kar dekha.

                inki nazro main aisa kcuh zaror tha..jo shayad main samaj nahi pa rahe thi...ya wo samjha nahi pa rahe the..ya shayad wo samjhana chahte he nahi the.

                Saqib ko gaye abhi 5 ghante hue the..aur mujhe lag raha tha sadiyan beet gaye inhe dekhe hue...dil kisi kaam main nahi lag raha tha...tabait bhojal bhojal si horahe thi..ami abu ko khana de kar...aur sub kaam se farig hone ke bad main bacho ko leker abhi lete he thi ke tori dair sojao..shayad tabait sahe hojaye.

                Abhi meri ankh lage adha ghanta he guzra tha ke mian Saqib,Saqib kehte uth kar bhet gaye...Maine bhot he bura khawab dekha tha...Saqib samandar main doub gaye hian...aur main inko bachana ke liye samndar main chalang mardete hon...Leken Saqib nahi bachte.


                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                Comment


                • #9
                  Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)


                  Meri awaz sun kar ami agaye..kehne lage kiya howa..maine inhe khawab sunaya..wo kehne lage Darood Sharif or Autal Kursi parho...ALlah raham kare ga...maine sub kuch parha or tasavor he tasavor main Saqib per dum bhi kiya...ami abhi mere pas he bhete thi ke Fone ki bell hue...maine uthaya tu kisi ladies ki awaz aye...kehne lage Saqib saheb ka ghar hai..miane kha "jee" ..tu kehne lage ke "app kaun baat karahe hain"?.maine kha "Saqib ki wife" .kehne lage "Main laiqat National hospital se baat karahe honn..Dr Saima..ap ne shohar bhot serious condition main hian"... app forun ajaye...maine kuch kehna he chaha tha ke fone bund hogaya...meri samaj main nahi aya kuch bhi...dimag jaise aik dum maof hogaya...receiver hath main he tha ke ami agaye..kehne lage..kis ka fone tha...maine kha .."Saqib"..kehne lage "kiya Saqib" ?maine totey photey alfazo main kha...wo islamabad...wo hospital...kehne lage...Maheen kiya howa hia Saqib ko..fone kis ka tha ?..inho ne mujhe pakar kar janjhor deya..tu jaise mian aik dum hosh mian aye..maine kha ami saqib serious condition main hospital main hian.pata nahi wo hian ke koi or hia...wo tu islamabad gaye hian...ap chailan..abu ko bhi bulaye..,maine bacho ko uthaya or hospital pohnch gaye...reception se malom kia tu..aik nurse ne kha ke.daye taraf chale jaye..waha i-c-u hai..."is main hain Saqib"...main is waqt tak bus yehe soch rahe thi ke mere saqib nahi hosakte...leken jab main i-c-u main gaye tu .jo aik ass thi wo bhi tot gaye..ke wo mere saqib nahi hongia...leken wo mere saqib he the...jinke daye or baye taraf dhairo machines thi...inhe tora hosh tha..mujhe dekhte he inho ne apni ankhian bamushkil khole..in Roshan ankhon mian is waqt mayosi he mayosi thi...mujhe tu bilkul kuch samaj nahi araha tha ke saqib ko howa kiya hia...yeh tu islamabad gaye the...miane inhe hosla deya ke ap ko kuch nahi hoga..halakey main khud hosla har chuki thi...asia mehsos horah tha...jiase saqib ko hamare ane ka he intizar tha...inke lub kuch hiley.jiase kuch parh rahe hon...Mere Saqib,mere azez-e-jan shohar,meri zindagi,mere humdum,mere humsafar mujhe chor kar chale gaye hamesha hamesha ke liye...!

                  is waqt tu mujhe kuch hosh na tha ke kis se malom karti ke saqib ko howa kiya tha..saqib ko guzre dosra din tha...aur main ise sasho punj mian thi ke koi ladies mujh se milne aye..mera kisi se milne ka dil nahi tha..leken jab inho ne bataya ke wo kaun hia tu main in se forun mili.

                  Dr Saima jinho ne mujhe saqib ki serious condition ka bataya tha..wo mere samne thi..maine inse kha..mujhe bataye ke saqib ko howa kiya tha ?.kehne lage "ise silsile main ap ke pass aye hon"...aur app ki aik amanat bhi mere pass hia...ap ke shohar ne muhje yeh khat deya tha..ke agar inhe kuch hojaye tu ap ko de don...app yeh parh lain..phir shayad mujh se kuch pochne ki app ko zarorat baki na rahe...Dr Saima ne mujhe khat deya.or maine parhna soro kiya.

                  Azez-e-jan Maheen...!

                  AsaLaMu ALaikum.

                  Tumhe aj zindagi main phele bar khat likha raha hon...tumhe jab yeh khat mile ga...main shayad is duniya main na hon...kaise baat hiana Maheen ke mere murne ke bad tum mera khaat parhogi...maine tum se zindagi main phele bar jhot bola hia...wo bhi is waja se ke main apni ankhon ke samne tumhe taklef main nahi dekh sakta..main tumhe kaise batata ke "Tumhara saqib murne wala hai "...yeh sun kar tum mujh se phele mur jate ya zinda lash bun jate...ise waja se maine tum se sub kuuch chupaya.."Mujhe brain Tumor hia"..aur mere pass kuch he din hia..kuch din se mere sar main jo dard rehne laga..phele tu maine tawaja na de..leken aik din jab main office main tha tu aik dum behosh hogaya....office wale hospital lakar gaye...waha phele tu mujhe hosh mian laya gaya...aur phir iske bad mera pora checkup howa..dimag ka bhi xray howa..tu yeh baat samne aye ke mujhe "Brain Tumor" hai..jo akhir stage per he hia...Doctors ne kha ke aik operation kardete hian..isse ap ko kuch aram ajaye ga...mujhe kuch samaj nahi araha the ke yeh sub achnak kaise hogaya...mere samne tum sub ke chehrey arahe the ke kaise bataoga sub kuch tum sub ko...wahe bhete bhete maine aik faisLa kiya ke yeh baat her giz bhi tum mian se kisi ko nai bataoga...aur phir Doctor ko bhi yehe kha ke mian operation karwao ga...leken kuch din bad..Doctor ne kha is tarah tu ap ki taklef or burh jaye gi...maine kha "jab umeed he katam hogaye jeene ki tu taklef se koi farq nahi parta".mujhe kuch kaam niptane hian..iske bad he opertaion karwao ga...app mujhe waqti tor per dawai likh dain...Doctor ne mujhe kafi samjhaya..leken mere zahan main bhot sare kaam the...jo agar mian na karta tu...aj mere bad tum sub bhot taklefo main hote...jo main burdash nai kasakta tha...phir Doctor ne mujhe dawaiyan likh di...aur her 2 din bad check up ke liye bulaya...maine dawaiyan office main rakhe...agar ghar lata tu tum pareshan hote..main office jakar dawai khata...or wapsi per bhi kha kar ata...jis waja se meri tabait kuch sahe rehti...aur main check up ke liye bhi jata rehta..mera ilaj Dr Saima ne he kiya hia...aik din Dr Saima ne mujh se pocha ke akhir appp opertaion ku nahi karwate ? phir maine inko sub kuch bataya..jo in dino tumhe office ke bare mian samjha raha tha or jaidad jo tumhare naam ki...Dr Saima kehne lage..bhot hosla hai app ka jo itna kuch akele seh rahe hian...main sirf muskura deya inki is baat par...aur kiya kehta ke alfaz tu sath chor chuke the.

                  Phir Maheen jab tum aik perfact Business woman bun gaye tu mera kandho per se boj utar gaya...ke ab tum sub ko sanbhal logi...in dino mere sar main betahasha dard tha..leken maine tumhe nahi kha..ke agar tumhe pata chal gaya sub kuch tu tum kaise burdash karogi..tumhe tu abhi sub ko sanbhalna hia.

                  Aur phir maine opertaion ka irada karliya..is opertaion main zaida tur log bachte nahi hian...ise liye maine Dr Saima ko maine apne ghar ka address,fone no de deya ke agar mujhe kuch hojaye tu..tum sub ko itlah kardain.

                  Main nahi janta ke mujh main itna hosla kha se agaya...jo maine tum se sub ku ch chupa liya.

                  kaye bar meri ankhon main tumne mayosi ke saye dekhe...Leken main tumhe har bar taal gaya.kuke Maheen main tu hosla harchuka hon...main nahi chahta ke tum bhi hosla haro.tumhe tu abhi bhot ageey jana hia...hamare bacho ko acha insan banana hia...chahta tu main yeh tha ke inko apni ankhon ke samne aik qabil insan dekhon..leken mere bache baap ke baigar he paley gai...Leken main janta hon ke mujh se zaida tum inko Maa or baap ka pyar dogi..kaye bar socha ke tamam zabt ke bandhan tot jaye..aur main tumhare samne bikhar jaon...leken main aisa na karsaka...kuke phir tumhara kiya hal hota yeh main janta hon...Maheen socha tu yehe tha ke zindagi bhur tumhara sath donga..Leken sirf hamara sochna he tu kafi nahi hota na...hum sochte kiya hain or hota kiya hia....zindagi ke 2 saal he tumhare sath guzre ke bulawa agaaya...leken maine in 2 saalon main he pori zindagi ko jiya hia...mujhe tum se kabhi koi shikwa shikayat nahi rahe..Tum aik mukamal biwi,aik mukamal bahu aur InshAllah aik Mukamal Maa bhi sabit hogi (AmeeN SuMa AmeeN).Main janta hon..sub kuch tumhara akele sehna mushkil hoga..leken main yeh bhi janta hon ke tum khud ko sanbhal logi...sub ke liye..isliye tum per sub ki zemedari dal kar jaraha hon...isliye maine tumhe office ka sara kaam samjhaya tha...aur aj tumhe tumhare sare sawalon ke jawab bhi mil gaye hongai.

                  aksur tum sub ke chehrey dekhte hue khawaish hoti thi ke kaash mujhe kuch or pul mil jaye zindagi ke..leken mere naseb main yeh Mohabatain itni he hian.

                  ami abu ka bhot khayal rakhna..wo apna iklota beta khoye gia...KaiF hiana inka beta..aur kashMaLa inki beti...Maheen shayad main khud gurz hogaya hon...jo tum per zemedari per zemedari dale jaraha hon..Leken Maheen agar zindagi mian kabhi tumhe moka mile tu apne bare main zaror soch lena..itni bari zindagi tum tanha kaise guzarogi.

                  Main hamesha aik he dua karta hon ke."Mere piyaro ko kabhi mere samne kuch na ho".aur dekho ALLah ne meri yeh dua sun li..leken main tum sub ko apna ghum de kar jaraha hon...tum sub sanbhal jao gai bhot jald InshAllah.

                  Or haan Maheen aik bhot khass baat Maine apni ankhain Atya karde hian..Tumhe bhot pasand hiana meri ankhain..main yeh chahta hon meri ankhain zinda rahian...shayad kabhi kahe zindagi ke kisi mour per tumhe meri ankhain nazar ajaye.

                  Dil tu yehe chah raha hai ke tum se baatian karta rahon..leken ab waqt nahi hai pass...abhi ghar jana hia or tumhe batana hia ke main islamabad jaraha hon..yeh khat tumhe Dr Saima de gi...bhot achi Doctor hain..mera bhot khayal rakha hia..leken meri zindagi itni he hia..isliye inhe dosh mut dena...sub ne her mumkin koshish ki hia..leken diar hogaye bhot.

                  acha ab chalta hon..kaise ALwida kahon tumhe..janta nahi hon ke ..Murne se phele ALwida kaise kehte hian...

                  Aur haan Maheen Rona mut...Tumhare ansoo mere DiL Par girtey hain.

                  Ami Abu,KaiF,KashMaLa aur apna bhot bhot khayal rakhna..Tum sub se main bhot Mohabbat karta hon.

                  Allah hafiz

                  Tum Sub ka Saqib

                  Saqib ka khat parh kar jane kitne he ansoo ankhon se behne lage...leken maine inhe rok liya ke mere Saqib ko taklef na ho.

                  Maine khud ko kaise sanbhala main nahi janti..shayad yeh sub Saqib ki duain he thi..Allah jab apne piyaron ko apne pass bulata hai tu peche reh jane walon main phir hosla bhi paida karta hia..aur phir Saqib ki Nishani hamare bache or ami abu jinka mujhe sahara ban`na tha.

                  Edut ke bad Maine Saqib ka business sanbhal liya..Saqib ko guzre 5 saal hue the ke aik din saqib ki ami aye...aisa mehsos horaha tha...kuch kehna chahti hain..leken keh nahi pa rahe...maine khud he pocha...ami ko baat hai kiya ?.kehne lage beta..Maine or tumhare abu ne socha hia ke tum itni bari zindagi akele kaise guzarogi..tumhe shadi karlene chahye..KaiF or KashMaLa bhi 6 saal ke hogaye hian..hum inhe sanbhal lai gia...tum shadi karlo..Maine kha..ami aapp kaise baatain karahe hian..main Saqib ki jaga kabhi kisi ko de he nahi sakti...mere liye saqib ki khoubsurat yaadon ke sath zindagi guzarna he bhot hia...app plz ayenda aise baat mut kijeye ga...iske bad kabhi inho ne mujhe shadi ka nahi kha.

                  Saqib ke 7 saal bad he ami,abu bhi aik ke bad aik is duniya se rukhsat hogaye.mere waldain ne bhot kha ke main inke pass ajao...leken main kaise saqib ke is ghar se jate..ke yaha har jaga Saqib he Saqib the..inki khushbo aj bhi meri sanso mian base hue hia.

                  Aj Saqib ko mujh se juda hue 25 saal hogaye hian KaiF aur KashMaLa dono Doctor bun gaye hian...dono jurwan hian tu dono ke shok bhi aik he jaise hian...dono ki shadi kuch din bad hia...MashALLah dono bhot farmanburdar hia...Saqib ke bare mian pochte rehte hian...KaiF tu bilkul Saqib jaisa hia...leken iski ankhain saqib jaise nahi hian...kabhi kabhi mujhe aisa lagta hia ke 2 ankhain jaise mera ta`aqub karahe hain...Saqib ne bhi tu apni ankhain Atya karde thi..jane kaun khush naseb hoga wo jesse mere Saqib ki khoubsurat ankhain mili hongi.

                  Aksur Saqib ka khat parhti hon tu wo bhot zaida pass mehsos hote hian.

                  Saqib ke bagair zindagi guzar tu gaye..bus inki yaadian sahara thi...kabhi kabhi sochti hon ke Meri zindagi main khusiou ki mudat bhot kum thi...Leken Saqib ne mujhe pori zindagi ki khusiyan 2 saalon main he de di.

                  KaiF aur KashMaLa Mera bhot khayaL rakhte hian...her tarah se khush rakhte hian.

                  "LekeN Meri Zindagi ki Bahar SirF Mere Saqib the".

                  (The End)




                  ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                  tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                  Comment


                  • #10
                    Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)

                    bohat achi story likhi hai tumne nazo

                    mazeeb b likhti rehna aur share karti rehna samjhi

                    really keep it up

                    very nice

                    Comment


                    • #11
                      Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)

                      Awesome .... seems like really true... infact... excellent... piece of writing.... :rose dil ko hila ke rakh diyaa hai... :)
                      khush rahye... umeed hai aap mazeeed bhi share karen gi... jald....
                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment


                      • #12
                        Re: BahaR The TuM...! (compLete Story)


                        BOHT KHOOOOBSORAT.

                        CHIPKOOOOOOOOOOOO

                        Comment

                        Working...
                        X