Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

BahaR The TuM...! (Part-1)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

    Originally posted by khan
    AOA,

    Kitna intazaar baki hai:cc:


    Sohail Abbasi.
    walaikum salam
    bus tora sa or :p

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #17
      Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

      Originally posted by sheem
      chalo aab laga b chuko na tum dosra

      itna b acha nahi hota hai intizar karwana :p
      Lagate hon meri maa :p

      tum zaida fikr nahi karo intizar ki :p

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #18
        Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

        Originally posted by sheem
        :khi:
        Tujhe bari hansi arahe hia /wink4


        :p

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #19
          Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

          Originally posted by naz
          Tujhe bari hansi arahe hia /wink4


          :p
          u ku jealous hoing /wink4


          :p

          Comment


          • #20
            Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

            Originally posted by naz
            Lagate hon meri maa :p

            tum zaida fikr nahi karo intizar ki :p
            acha meri b maaa :khi: :p

            karni parti haina fikar u khatam jo nahi karwa rahe ho intizar :p

            Comment


            • #21
              Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

              Originally posted by sheem
              u ku jealous hoing /wink4


              :p
              main nahi hote jealous:(

              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment


              • #22
                Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

                Originally posted by sheem
                acha meri b maaa :khi: :p

                karni parti haina fikar u khatam jo nahi karwa rahe ho intizar :p
                intizar kaatam sheem

                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                Comment


                • #23
                  Re: BahaR The TuM...! (Part-1)

                  Originally posted by naz View Post
                  Meri zindagi mian ager kami thi tu tumhari zaat ki...kitni haseen hoti meir zindagi.ager tum aj bhi iska hissa hote...Aj Main sochon Main dobey tu wo aik aik Lamha mere samne agaya...jo kabhi Mera or Tumhara tha.
                  Aj 13Oct hai...Yeh Din Tumhari or meri zindagi ka yaadgar din...hamara din...hamare pyar ka din...hamare iqrar ka din...aik kabhi na bholne wala din...leken aj main kitni tanha hon...sub kuch wo he hia...Leken aik tumhare na hone se zindagi kaise ruk si gaye hia...waqt ka kaam tu leken guzarna hai...wo tu guzarta he rehta hai...kisi ka intizar kiye bina.
                  Meri or tumhari mulakat aik sarak per hue thi...howa kuch youn tha ke mere pao main moch agaye thi...aur main sarak ke kinare bhet gaye thi...ke tum waha se guzre...pocha ke kiya howa hia app ko...Maine kha Moch agaye hia aur utha bhi nahi jaraha...ghar bhi dor hia...wo bola kha jana hia ap ko...Mujhe bataye...Miane iski taraf dekha tu wo bola ke app mujhe aisa waisa mut samjhain...Main aik sharif insan hon...Maine ise apne ghar ka address samjhaya...isne sahare se mujhe uthaya...aur apni gari main behtaya...Pao main dard ke mare mere ansoo bahey jarahe the...wo bola dard bhot hai tu phele doctor ke pass le chalon ?Miane kha Nahi bus app ghar chor dain...sare raste wo phir khamosh he raha...ghar agaya tu isne sahara de ker mujhe gari se utara...Maine bell ki tu ami agaye...aur mujhe aik ajnabi ke sath dekh ker pareshan hogaye...Ami ne mujhe sahara deya aur kha ke kiya hogaya hai tumhe...Maine kha Moch agaye hia...Maine peche mur ker dekha tu wo ja chuka tha...Mujhe Afsos howa ke Sukriya tak na kha.
                  Phir tumse Meri Dosri Mulakat shopig centre main hue...Main apni dost Rabia ke sath thi...Miane tumhe dekhte he pechan Liya... or tumhari ankhon main bhi Maine shanasaya ki chamak dekhe thi...Maine kha is din app chale gaye the...wo bola app taklef main thi...isliye mujhe rukna acha na laga...Maine kha main app ka sukriya ada na karsake...isne kha koi baat nahi...ab pao kaisa hia ? Maine kha thek hai...phir isne kha ke pass he resturent hai...ku na chal kar chia pe jaye...Maine Rabia ki taraf dekha tu isne bhi hami bhur le...phir hum resturent gaye...waha hum ne chia or sandwich ka order deya...Phir isne kha ke Mera naam Saqib hai...apna business karta hon...ghar main bus waldain hian...or main aklota hon...Maine kha Mera Naam Maheen hai...B-A kiya hia...ab farig hon...app hi ki tarah akloti hon...wo aik dum muskura utha...aur yeh meri dost Rabia hai...wo bola bhot khushi hue app dono se milkar...phir chia agaye aur idhar udhar ki baatain hoti rahe...akhir Main Saqib ne apna card bhi deya...jis main iska ghar...MobiLe aur office number the..aur sath he Saqib ne yeh bhi kha ke Main ap ke Fone ka intizar karonga.

                  Saqib Mujhe kuch alag sa Laga...dosre larkon se...Maine iski nazaron main izaat-o-ihtram dekha...aik din main soch rahe thi ke...Saqib ko fone karon ya nahi...bus sochne sochne main Saqib ke ghar ka number Mila deya...jo Saqib ne he uthaya...Maine kha Saqib se baat karne hia...wo bola jee Maheen...Main he baat karraha hon...Maine kha app ne Mujhe pechan liya...wo bola kaise na pechanta...itna tu intizar karwaya hia ap ne...Maine kha...yaqeen nahi ata..wo bola ajaye ga...Maine kha kab..wo bola bhot jald...phir hum baat karte rahe...aik ghnat guzar gaya...pata he nahi chala...isne kha ke ab kab kare gi fone...Maine kha ke dekhongi...wo bola dekhna nahi hia...Main intizar karonga...agley hafte...ise din...ise waqt per...Maine kha intizar mut karye ga...Main agar hosaka tu karlongi...wo bola nahi main intizar karonga...bhaley app karian na karain...Phir Maine fone bund kardeya.
                  Saqib ko socha mujhe bhot acha lagne laga tha...iski ankhian bhot khoubsurat thi...tori soye tori jage si...aur khoubsurat ankhon ki tu main jaise deewani thi...kehne ko tu maine Saqib ko kehdeya ke dekhongi fone karne ka...Leken sach tu yeh tha ke main bhot shedat se gin gin kar agley hafte ka intizar karrahe thi...aur aisa lag raha tha ke aj se phele yeh din kabhi itne lambe na howe the...akhir kar wo din a he gaya...raat 11 baje main Saqib ka No Milaya...jise isne bell pori hue bina he utha liya...Forun bola jee Maheen Main kab se intizar karraha tha...Maine kha agar main na karti tu...wo kehne laga...aisa ho he nahi sakta tha...mujhe pata tha app zaror fone kare gi...Main khamosh rahe ke khamoshi se jazbo ka izhar hojata hia...Saqib Bola...Maheen kuch kahe na...Maine kha kiya kahon...kuch samaj nahi araha...aik hafte se jsi waqt ka intizar karrahe thi...aj wo achuka tha tu main samaj nahi pa rahe thi ke kiya baat karon...Main apni he sochon main ghoum thi ke.Saqib ne kha...Maheen Main app ko tum kehsakta hon...Maina kha zaror kahain...Phir maine kha ke...Saqib tum aur app kehne se koi izaat kum nahi hoti...bhaley app tum kahin ya app...Saqib bola bilkul thek kha ap ne...Matlab tum ne...hum dono hans pare...ise tarah se hamari adat bun gaye...phele hum hafte main baat karte the...phri roz raat ko karne lage...kabhi main fone karti tu kabhi Saqib.
                  Mujhe Saqib ki aik baat bhot achi lagti thi ke wo kabhi Milne ka na kehta tha...iski yehe baatain mere dil main iski izaat burhati thi.
                  Phir aik Din Saqib ne kha...Maheen aj Maine tum se bhot zarori baat karne hia...Maine kha bolo...Saqib bola main lagey lipti ki bagiar direct baat karta hon...Main tumhe pasand karta hon or shadi karna chahta hon...Saqib ki pasandedgi ka mujhe bakhoubi andaza tha...Leken wo achanak yeh kehde ga...Isne kha ...batao Main apne ghar walon ko kab bhejon...Maine kha jab dil chahe...aur fone rakh deya...Marey sharam ke mujh se baat nahi ho pa rahe thi...agley din Saqib ka fone aya...isne kha...Maheen Main bhot khush hon...Tum ne meri Mohabbat ko qabol karliya...Mujhe lag raha tha jaise mian asman per ur rahe hon...phir Saqib ne kha ke kal meri ami InshAllah tumhare ghar aye gi.
                  Maine apni ami ko Saqib ke bare main batadeya...ami yeh baat sun kar tori pareshan zaror hue...kehne lage tumhare abu ne bhi ajkal tumhare liye aik rishat dhonda howa hia...aur iske bare main malomat karwa rahe hian...khair tum fikr mut karna beta...jo rishta tumhare liye behter hoga...hum ise he pasand kare gai...ane do kal in logo ko...shayad yeh rishta zaida behter ho tumhare liye...ami tu chale gaye...Leken mere liye pareshaniou ke dur khol gaye...Leken Mujhe Allah per bharosa tha...or Saqib ki Mohabbat per bhi yaqeen.
                  ise raat maine Saqib ko yeh baat bataye...tu inho ne kha ke...fikr mut karo...hum zaror milain gai.
                  Saqib ke waldian aye...Mere waldian inse Mil kar bhot khush hwoe...Mujhe tasali hue...abu Saqib ke liye inkar karte bhi tu kaise...inki shandar personality...baat karne ka khoubsurat andaz...aur sub se burh ker...Mere liye bepanah chahat...Mera vote tu Saqib ke liye tha he...aur main chahti thi ke Mere waldian bhi apni khushi se he is rishte ke liye hami bharain...na ke majbori main ke beti ki pasand hia...Mere waldian ne sochne ke liye waqt manga...Saqin or inke waldian ne tu mere ghar ki dehlez he le li thi...aur mere Ami Abu bhi ab razi the ke Maheen ke liye is se acha rishta ho he nahi sakta...akhir kar haan hogaye.

                  wo din bhot khushi ka tha...Saqib tu itan khush the ke aur khush tu main bhi thi ke itan acha jeevan sathi ALlah ne mere naseb main likha howa tha...jis ka main jitna sukur ada karti kum tha...mangni ke 2 mahene bad shadi ki tarikh rakhe gaye...aur in 2 maheno main Saqib ki bepanah chahtian,shedatain zahir hue...itna walehana pun ke Main Allah se yehe dua karti ke yeh Mohabbat Sada aise he rahian.

                  akhir kar wo din bhi a he gaya jab main apne babul ka angan chor ko chor kar piya des sudhar gaye...aur piya bhi mera mun pasand...main jitna apni khusi ko chupati...khushi itni he zahir hoti...Main hujla urosi main bhete thi...jab Saqib ke qadmo ki aahat aye...mere dil ki dharkanai tez hogaye...Saqib mere samne the...inhone mera ghonghat uthate he kha chasm-e-bador kahe meri nazar na lag jaye...sharam ke mare mera chehra surkh hogaya...Saqib ki ankhon main itni Mohabat...itni chahat thi ke main khud ko Duniya ki khush qismat tareen aurat samaj rahe thi.
                  wha g wha abi dusra part parnay ko dil cha raha ha...
                  mara khayal ma who aya gaya ha
                  sigpic

                  Comment

                  Working...
                  X