Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~






    Sonia...Mere intizar ki hud tu batate jao ?

    Fahad...Zindagi ki akhir sans tak mera intizar karna .main zaror ayoga

    Sonia...Beyaqeni ki kafiyat se Fahad ko dekhte howe..zer-e-Lub Dohrate howe zindagi ki akhri sans tak ?

    Fahad...dekho Sonia Maine zindagi main tumhari he khawaish ki hia..Leken abhi mere halat aise nahi hia ke main tumhe apna sakon...kuch zemedariyan hian...inhe pora karlon...tu InshAllah phir hum aik hongai...isliye main America jaraha hon...Tum yeh mut samjhna ke main waha jakar tumhe bhooL jao ga ya shadi karlonga...main tumhari Amanat hon.or is Amanat main khayanat hergiz nahi karonga.isliye zindagi ki akhri sans tak tumhe intizar ka kehraha hon..yeh bhi janta hon ke tumhare liye yeh sub kitna mushkil hoga..bhot se logo ki baatain sun`ne pare gi..Leken bus itna yad rakhna ke Fahad tumhara hai or hamesha tumhara he Rahe ga.

    Sonia...Thek hai Fahad main intizar karongi tumhara .zindagi ki akhri sans tak ke...Maine bhi sirf tumhari he chah ki hia.

    Fahad...acha tu ab main chalta hon..Aj raat mujhe jana hai.Tum apna bhot khayal rakhna.or dekho rona nahi ke main tumhare ankhon main.. kabhi ansoo nahi dekh sakta.

    Sonia...Ankhon mian aye ansoo rokte howe..or hulki si Muskrahat ke sath Fahad ko Alwida kha.or Dor tak jate howe ise dekhti rahe.

    Fahad ko gaye 4 Saal beet gaye..leken wo hamesha Sonia ko apne pass Mehsos howa..kuke Fahad ne her her pul Sonia se rabta rakha tha.

    Fone ki Bell Musalsal Baj rahe thi.akhir ko Sonia ne Fone utha he liya Dosri taraf Fahad tha.

    Fahad...Sonia Mian wapis araha hon hamesha ke liye...Sirf tumhare liye

    Sonia...Such Fahad...Mera intizar katam hone wala hai ?

    Fahad...haan Sonia...Bus ab MiLan ki rut hai...khushiyan he khushiyan hian..ate he ami abu ko bhejonga...Tum apne waldain ko Mera batado

    Sonia...thek hai Fahad Main inko ab batadete hon ke..kis ka main intizar karahe thi...zindagi ki akhri sans tak...Aj Sonia ka dil bhot ghabra raha tha..halakey ise tu khush hona chahye tha ke aj Fahad araha tha..leken nahi dil ki kuch ajeeb kafiyat thi ke jaise kuch bura hone wala hai...isne socha ke Fahad waise apne ghar pohnch chuka hoga...Fone he karke dekh lete hon.wo shayad Masrof ho..itne urse bad bhi tu aya hai......isne No Milaya tu Fahad ki bahen ne uthaya...peche se Rone ki awazain arahe thi..Sonia ka Dil dobta jaraha tha...Sonia ne bhot Mushkil se Fahad ke bare main pocha..or jo iski Bahen ne bataya...Sonia wo sunte he Behosh hogaye...or jab hospital le jaya gaya tu pata chala ke Sonia ka Nervous break down hogaya hai...Doctor ka kehna tha ke koi shaded kisam ka sadma pohncha hia...Sonia Koma main bhi jasakti hia...ya phir pagal bhi hosakti hia...Sonia ke waldain be khabar the k akhir Sonia ko howa kiya hia...wo tu Fahad ke ane per bhot khush thi...Sonia ki Dairy main se Fahad ka no Mila or jab
    Fone kiya tu sub waja samaj agaye ke Sonia ko kiya howa tha...Fahad America Main Road Accident Main moke per he Allah ko jabahuq hogaya...Aur wo ise din aya tu Zaror...LekeN Tabot Main bund hokar.

    Sonia jis ko Fahad intizar ka kehgaya tha...Aj apna Zehni tawazun koh bhete hia...Aj bhi jab kabhi ise hosh ata hai tu yehe kehti hia ke Fahad aye ga...wo Keh kar gaya tha k Mera Intizar karna

    Zindagi ki Akhri Sans Tak.
    Last edited by naz; 28 October 2005, 15:11.

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

    FazoL sa Likha hai burdash kijeye ga ...!

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

      Originally posted by naz
      FazoL sa Likha hai burdash kijeye ga ...!
      Asslaam-o-Alikum wr wb

      bhot acha likha hay , 2 time parha tab palay parha :)

      FeamanAllah
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


      Comment


      • #4
        Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

        hmmm naz bohat acha likha hai phool:

        Comment


        • #5
          Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

          Originally posted by Bheegi-Palkain
          Asslaam-o-Alikum wr wb

          bhot acha likha hay , 2 time parha tab palay parha :)

          FeamanAllah
          walaikum salam


          sukriya :rose

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

            Originally posted by sheem
            hmmm naz bohat acha likha hai phool:
            :phool:

            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

              Sister: is tehreer mein kuchh batein hain jo "apni hi kahani" btati hain - siraf kirdaar mukhtalif hain. Kuchh ehda-o-paiman bandhey hain aur abhi tak qayim hai, shayid qayim rahein gey aakhri sanson tak...

              Bardasht to kar hi liya hai.... :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                Originally posted by naz
                FazoL sa Likha hai burdash kijeye ga ...!
                ye fazool si tehreer bohot achey andaaz mey hum ney bardash ker li hai :D:

                Khush raho :rose
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                  Originally posted by Masood
                  Sister: is tehreer mein kuchh batein hain jo "apni hi kahani" btati hain - siraf kirdaar mukhtalif hain. Kuchh ehda-o-paiman bandhey hain aur abhi tak qayim hai, shayid qayim rahein gey aakhri sanson tak...

                  Bardasht to kar hi liya hai.... :)
                  hmm...! aksur jo hum likhte hian wo haqeqat per mubni he hota hai ..


                  burdash karne ka sukriya :rose

                  ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                  tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                    Originally posted by barg.e.gul
                    ye fazool si tehreer bohot achey andaaz mey hum ney bardash ker li hai :D:

                    Khush raho :rose
                    bhot Sukriya janab :rose burdash karne ka :blush:

                    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                      really wonderful job ...... parh kar bahut maza aaya.....
                      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                        hmmmmm.....
                        yah fazool ha nahi yah fazool nahi ha balkay aik dukhi larki ke kahani ha jo ka apni kasam puri kar rahi ha....
                        very nice naz ge
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~ Zindagi ki Akhri SanS Tak ~*~

                          save

                          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                          Comment

                          Working...
                          X