Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ab inhain dhoondo rukh-e-zeba lay ker

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ab inhain dhoondo rukh-e-zeba lay ker

    Attached Files


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Ab inhain dhoondo rukh-e-zeba lay ker

    Walaikum Assalaam WR WB Mehwish

    Kia baat hay, jitni tareef iss tehreer ki karain utni hi kam hogi... nihayat khoobsurti say aap nay apnay dili ehsaasat ko lafzoon ki qaba pehna kar iss khoobsurat tehreer main tabdeel kia hay.... iss ko paRh kar bakhoobi aap kay qarb aur dard ka ehsaas ho raha hay jisay aap manzar-e-aam per laana chaati hay... tehreer main itni nafasat aur itna aala mayar bohat kam hi milta hay... lafzoon ka intikhaab aur un lafzoon ko kiss waqt aur kis jumlay main istimaal karna hay koi aap say seekhain... bilkhusoos yeh alfaaz tou bas dil ki gehrayooon main utar gayay aur andar hi andar hulchul macha rahay hain aur yeh sochnay per majboor kar rahay hain kay humaray mulk kay Gulistaan say bichray huway phool kiss shiddat say apany gulistaan ko miss kar rahay hain aur sehra ki khaak chantay huway kis qadar takleef say doo chaar hain "phool apnay chaman main hi dawat-e-nazaara daita hay agar usay toR kar kamray main sajaya jayay tou shadaabi kho kar raddi ki tokri uss ka muqaddar ban jaati hay"

    Bohat achay Mehwish, aap ki soch waqayi bohat wasee hay aur aap ki tehreer main woh dard hay jo hum aap say doour reh kar bhi mehsoos kar saktay hain... humain aap dour reh kar bhi apni moujoodgi ka ehsaas dila rahi hain, humain yeh sochnay per majboor kar rahi hain kay go kay tumharay khuwaab bhi kisi pardes main basiara karnay kay hoon, go kay tumahray dil main bhi pardes main jaa kar kamayi karnay ki umang ho, magar yaad rakhna jo mohabbat aur pyar tumhain apnay des main milay ga woh yahan nahin mil sakta, yaa rishtay tou hain magar banwati, dosti tou hay magar khudhgarzi ki bunyaad per qayim, mohabbat tou hay magar apnay mafaad ki takmeel kay liye aik zarya.... sachi mohabbat, sacha pyar jo kisi bhi mafaad, khudhgarzi say pak ho woh apna PAK watan may hi mil sakta hay..... aap nay sahi kaha apnay des main jab koi dost dosray say bicharta hay tou uss kay bicharnay ki dastaan mun say ya tehreer say nahin hoti balkay aankhain neer basatay huway khudh hey tehreer ban kar yeh alfaaz zahir kar daiti hain kay
    " BichRa kuch iss ada say kay rut hi badal gayi
    Ek shaks saaray shehar ko weeran kar gaya.!" aisa likhnay kay liye jazboon ka sacha hona, dard ka iss shiddat say mehsoos hona zaroori hota hay jo kay apna humwatan dost hi mehsoos kar sakta hay aur doour baithay pardesi kay dil main ek dard ki lehar paida kar jaata hay...

    lagta hay main kuch ziyada hi likh gaya :lol waisy bhi meray tajziye lambay say lambay tareen hotay jaa rahay hain, isi liye mazrat agar kuch zaroorat say ziyda likh dia hoon, pata nahin kia likha hay ab post kar kay hi paRhoon ga kiyonki mera dimagh apnay khayalaat ungliyon main muntaqil kar kay pata nahin kia kia likhwaata rehta hay :)

    apni khoobsurat tehreer say humain mustafeed karti rahain, khush rahyeh :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Ab inhain dhoondo rukh-e-zeba lay ker

      Assalam o Alaikum wr wb Fire Sahab...

      Bohat bohat shukria kay aap ko mera andaz-e-bayan pasand aya...
      Bay shaak aap ka izhar-e-khayal taweel hai likin hum jo new likhnay walay hain un ka hosla booland karnay k lian aap ne bohat khoobsorat alfazoon ko pero ker hosla barhaya hai us ka bohat bohat shukria....
      Bohat bohat nawazish aap ki :)
      Khush rahain....


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment

      Working...
      X