Assalam o alaikum wr wb
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Agar kaan na hotay tou....
Collapse
X
-
Re: Agar kaan na hotay tou....
Assalam o alaikum wr wb tanha hasan sahab..
Pasand karnay ka shukria :)
waisay main ne aaj taak shashma nahi lagaya :)
khush rahain..
Assalam o alaikum sis..
Pasand karnay ka bohat bohat sukria :)
khush rahain...
Assalam o alaikum wr wb wasi sahab...
Pasand karnay ka shukria..
Hummm agar kaan na hotay tou aap ko bari mushkil hoti :)
khush rahain...
میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا
میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے
Comment
-
Re: Agar kaan na hotay tou....
buht dilchasp tehreer hai .....:)
:phool:
Comment
-
Re: Agar kaan na hotay tou....
Walaikum Assalaam WR WB Mehwish
Aik baar bhir aap ki tehreer paRh kar lutf aagaya.... I must say kay aap kay paas alfaaz ka khazaana hay aur aap uss khazaanay main say chun chun kar moti inn khoobsurat tehreer ki shakal main hum sab ki jholi main daal rahin hain jo kay naa srif humaray ilm main azaafa balkay humari ilmi shaour ko ujaagar karnay main bhi humari madadgaar hain... jis kay liye aap KHUSOOSI SHUKRIYA ki mustahiq hain..
Kaan jaisi naimat ALLAH SWT humain ata karkay humain khushnaseebi ata ki hay aur humain iss baat ki sab say baRi khushi hay kay jab aik musalmaan kay haan bacha paida hota hay tou sab say pehlay uss kay kaan main AZAAN dee jaati hay aur ussay iss nounayhaali main hi samjha dia jaata hay kay tu Ummat-e-Mohammadia SAW main paida hua aur teray liye kamyaabi srif uss ki raah per chalnay main hay...... na kay tu inn kanoon ko kisi ki gheebat sunnay main lagayay, loud music sunnay main istimaal karay yaa phir un buri baatoon ko sunnay jo inn kaan kay rastay teray dil-O-dimaagh per naqsh band hojayain aur tou uss pehli azaan ko bhool jayay jisay baRi aqeedat-O-ahteraam say teray kisi baRay, yaa buzurg nay teray kanoon main paRhi...
Keep sharing such wonderful words with us, khush rahyeh :)sigpic
Comment
-
Re: Agar kaan na hotay tou....
Assalam o alaikum wr wb FIRE SAHAB...
bohat shukria kay aap ko mera andaz-e-bayan pasand ata hai warna yeh bandi is qabil kahan ???
aap loogon ko islah ki roshni main thora bohat likhnay ki kosish kari hoon wo aap sab ko pasand ajay tou bari mahrbani ...aap loogon ki hosla afzai se aur likhnay ka hosla barhta hai...
itni pyaari baat hum se share karnay ka bohat shukria...
nawazish aap ki :)
khush rahain....
میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا
میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے
Comment
Comment