Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
6 sep kay hawalay se afsana
Collapse
X
-
Re: 6 sep kay hawalay se afsana
Walaikum Assalaam WR WB
Ek baar phir aap ka bohat bohat shukriya kay aap nay humain itni achi tehreer say mustafeed kia... Itna kuch likhnay kay liye soch, fikar kay saath saath knowledge aur tareekh ka ilm bhi hona chayeh jo kay aap nay bakhoobi paish kia, Hazrat Khalid Bin Waleed aur Mohammad Bin Qasim jaisay Islam kay dilaair namoon ka istimaal aur phir unki inspiration laitay huway yeh qoumi sipahi, 6 September ka manzar, sab kuch bohat hi achay aur mukammal andaaz main paish kia!
Aap ki post taweel thi, magar lafzoon ka intikhaab itna acha tha kay aik lamha bhi nazar screen say nahin hatti, lagta hay ab meri nazrain ziyada kamzoor honay waali hay, magar mujhay uski koi parwaah nahin kamazkam aik achi cheese paRh kar apni naaqis aqal main tou izaafa kar raha hoon, waisay bhi inn ankhoon ka iss say acha istimaal aur kia hoga kay aap acha paRhain aur acha hi paish karain :)
Issi tarhan apni khobsurat tehreer say humain mustafeed karti rahain, aap ko andaaza nahin kay kitnay hi logon ko aap ki tehreer ka intizaar rehta hay, Mujhay bhi :) Khush Rahyeh :)
Fi Amaan ALLAHsigpic
Comment
-
Re: 6 sep kay hawalay se afsana
Assalam o alaikum wr wb ........
Tanha hassan sahab bohat shukria kay aap ko mera andaz-e-bayaan pasand aya bari nawazish aap ki ...
Khush rahain..
Assalam o alaikum wr wb the fire sahab...
Bohat shukria kay aap her baar mere tahreeron aur shayari per apnay khayalat ka izhar farmatay hain aur sath sath islah ki roshni main chalnay ki talqeen farmatay rahtay hain be haad inayat aap ki...bohat bohat shukria...
Khush rahain...
میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا
میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے
Comment
-
Re: 6 sep kay hawalay se afsana
Walaikum Assalaam Mehwish
Achay mawaad ko kisi ki tareef ki zaroorat nahin hoti aur mujh jaisa naqis aqal insaan kisi ki islaah kia karay ga, mujhay tou khudh islaah ki zaroorat hay :) Main aik adna sa insaan srif achi baat ko apni samajh kay mutabiq bayan kar diata hoon bilkul sachayi kay saath!
Aap isi tarhan apni achi tehreeron say humain mustafeed karti rahain jo kay humaray ilm main izaafay ka bayis ban rahi hain :)
Khush Rahyeh
FI Amaan ALLAhsigpic
Comment
-
Re: 6 sep kay hawalay se afsana
ایک بہت ہی لمبی سانس
اس پوسٹ کو پڑھنے کے بعد
پتہ نہیں میں کہاں پہنچ گیا تھا
اقبال صاحب نے شاید صحیح ہی کہا تھا
کافر ہے جو کرتا ہے شمشیر پہ بھروسہ
مومن ہو تو بے تیغ بھی لڑتا ہے سپاہی
ماشااللہ مہوش جی
بہت عمدہ تحریر پیش کی ہے آپ نے
میری آنکھوں کے سامنے پوری جنگ کا منظر ہی کھول کر رکھ دیا
یہ افسانہ کیا ہے یہ تو حقیقت ہے
واقعی ہمارے یہ جانباز سپاہی
ہمارے ملک کا سب سے قیمتی اثاثہ ہیں
بہت افسوس ہوتا کہ جب ہمارے خود غرض سیاست دان
اتنے قیمتی اثاثے کو چند ٹکوں کی خاطر ضائع کرتے ہیں
بہت بہت شکریہ اتنی اچھی تحریر ہمارے ساتھ شیئر کرنے کا
Comment
Comment