Assalam o alaikum wr wb
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Talash-e-gumshudah
Collapse
X
-
Re: Talash-e-gumshudah
Wa allaikum Salaam Mehwish
:clap::clap:
Mujhey nahin ilm tha keh aap key ander aisa kanta chubha huwa hai jiski jalan aap yun mehsoos karti hain keh uskey alfaaz bohat khoobsurati sey proey huwey hain. I appriciate on a wonderful creation. Please keep up writing...مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں
-
Re: Talash-e-gumshudah
Walaikum Assalaam WR WB
Bohat khoob, itni khoobsurti aur nafasat kay saath paish ki gayi aap ki tehreer dil jazbaatoon aur insaani zameer ko zinda karnay kay liye kaafi hay.... Ikhlaas ki kami yaa gumshudgi kay bayis hum pasti main doobay jaa rahay hain aur agar ab bhi hum nay apni aankhain na khooleen tou humara kia anjaam hoga uss ka hum andaaza bhi nahin laga sakti.... Poori duniya main Muslamaan jin ka pehla usool hi IKHLAAS, IKHLAAQ aur ADL-O-INSAAF per mabni hay aaj parishaani aur pasti ka shikaar hain... hum apni taleemaat bhula kar dosray ki tehzeb-e-tamadan ko apni zindagi ka asasa samajh rahay hain, hum apni pehchan bhool kar aaj MODERNIZATION ka naara lagatay hain.. laikin jiisay hum aaj Modernisation kehtay hain woh dar haqiqat khuli jahalat hay.... hum aisay jahil hain jo taleem kay khazaanay say aarasta tou hogayay magar uss per amal na karsakay, hum tak haq ka pegham tou poohncha magar hum usay samajh na sakay..... Mushtaq yousufi nay apni aik kitaab main darj kia hay "Har paRha Likha Shaks Taleem Yafta Nahin Hosakta" Inaani taleem tou haasil kar laita hay magar taleem yafta honay kay liye ussay uss tarbiyat per amal karna zaroori hay jis say humari pehchan hain, hum Sindhi, Pakhtoon, Punjabi, Baloch, Saraiki, Mahajir aur even Pakistani honay say pehlay aik MUSALMAAN hain aur humari pehchan ISLAM say hay aur yehi humari awaleen tarjeeh honi chayeh kay ISLAM kay taqazoo per zindagi basar karain, yaqeenan yehi humaray liye kamyaabi hay aur humaray tamam GUMSHUDA anasir Ikhlaaq, Ikhlaas, sharafat, tehzeeb, tamadun, mohabbat, bhaichargi, ehtiraam, itihaad, ukhoowat, hub-ul-watni, sab kay sab waapis lout aayain gain Hanstay kheltay huway apni bemaar MAA Insaniyat Ko sahara dainay kay liye :)
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar
ALLAH HAFIZsigpic
Comment
Comment