Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

On The Move

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • On The Move

    On The Move


    Railway Station per kharrey musafiron key chehron sey jhalakta huwa iztiraab bohat sey sawalaat ko janam deta hai. Ham kab tak yahan per intizaar kartey rahein gey, gadi kab aati haì? Ham kab tak apni manzil ki janib rawana hotey hain? Ham kab tak apni manzil-e-maqsood per phanchein gey? Kab tak ham apney pyaron ko dekhein gey? Kitni shiddet hoti hai us intizaar mein jo kisi sey milney key kiya jata hai. Aur phir itney lambey intizaar key baad jab manzil hasil hoti hai to kitna sakoon milta hai. Itminaan ka ehsaas hota hai keh jis baat key liye itni diqqat sahi hai woh hasil ho gaee hai. Haan yeh ehsaas bohat achha hota hai. Magar intizaar mein guzarney wala aik aik lamha aik karb hota hai, aik sitam hota hai jo uthana parrta hai, aik azziyyat hoti hai jo sehni perrti hai. Yeh intizaar khatam kyun nahin ho jata. Lamha lamha zara zara ker key marney ki bjaey aik hi lamha mein apna kaam kyun nahin kar deta? Jab jana hi hai to yeh azziyat kyun?

    Kehtey hain keh jab apni manzil ka patah ho raah aasan ho jati hai, magar kuchh manzilein aisi bhi to hoti hain jin ki rahein bohat mushkil hoti hain aur jo bohat dardnak hoti hain, na siraf apney liye balkey unkey liye bhi jo kisi key saath wabasta hotey hain. Aisey mein siraf saber karna chahiye. Raasta kat hi jaey ga, inshaAllah!

    Bohat thakawat mehsoos ho rahi hai! Musafir hoon, safar kar kar key thak geya hoon, ab aaram chahiye - musalsal aaram. Aisa aaram jo yeh sari thakawat door kar dey. Aisi neend jo yeh sadiyon ki be'khawabi khatam kar dey. Aik aisi karwat soney ko jee chahta hai keh kabhi phir karwat na badal sakoon. Meri aadat bhi bohat buri hai, jab tak kamrey mein sakht andhera na ho mujhey neend nahin aati. Isi liye merey kamrey mein bhari pardey lagey huwey hain. Waisey mujhey andherey sey jitna khof aata tha utna hi ab sakoon milney laga hai - aur kabhi main sochta hoon keh aik din qabar key andheron mein to sabhi ko jana hai, phir andherey sey khof kaisa?

    Laa'i hayaat, aaey qaza, ley chali chaley
    na apni khushi aaey na apni khushi chaley

    I am on the move :)
    Last edited by Masood; 10 December 2005, 21:58.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: On The Move

    very nice sharing
    :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

    Comment


    • #3
      Re: On The Move







      (shaiidd yee diary hoo kiisee kii jiss maaiin insaan sabb kuch likhtaa haii jeesa woo feel kaare..it seems 2 b a diary:) )

      Comment

      Working...
      X