:rose Bila Unwaan:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Bila Unwaan
Collapse
X
-
Re: Bila Unwaan
haqeeqat.... wo bhi maut jesi haqeeqat... khaufnaak hi hai.. per sach hi to hai...
"
Allah Tala ney har insaan ko pedah kiya hai aur Allah
Tala har insaan ko apney paas bula lein to koi harj
nahin! Balkey ham usi key ghulam hain, who haemin jo
hukm dye sar aankhon per.
bohat acha kikhaa hai... Masood... Allah aap ko dher
saari khushyaan ataa fermaaye...aameen... :hug: :phool:
-
Re: Bila Unwaan
zindagi ki haqeeqat :)
Life comes and goes
bestowing itself
upon people
feelings
sorrow
joy
love
hatred
and then,
in the blink of an eye
it removes itself,
from the bestowed
and
bestowes itself
upon death
May Allah blessings be with you inshAllah:rose" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Bila Unwaan
ham log us waqt tak maut ko maut tasleem nahin kartey jab tak woh ru'numa na ho jaey. Halankeh agar ham dekhein to hamarey aas paas murdah honey ki be'shumar misalein mojood hain. Kahin zameer ko murdah kar key ham badey badey ohdey hasil kar rahey hotey hain aur kahin aik adna sey kaam key lye bhi apney zameer ko murdah kar detey hain. Kahin ham apney samney ikhlaq ko tabah hota dekhtey hain aur shikwa nahin kartey to kahin kisi akhbar mein jo kisi teesrey mulk mein chhapi ho to us per aetraaz karney lagtey hain. Murdah pan kahan hain? Kya jaab rooh jism kaa saath chhorr dey, wohi maut hoti hai? Nahin, maut key bohat sey andaaz hotey hain aur un mein aik andaaz yeh bhi hai keh ham jo kehtey hain woh kartey nahin. Ham apney faedey key liye doosron ko nuqsaan pohanchaney sey daregh nahin kartey.
Aisey murdah pan ko apney zameer sey nikal phainkhiye, kyun keh yeh murdah zameeri bohat nuqsaan deti hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Bila Unwaan
Jazak ALLAH and mashaALLAH
bhai mosood ap ny bilkul theek kaha ..hum loag reallity ko wakee Jutla daity hain
aur es liy k hum apny oper adapt kerna perti hain....
aur aap kee bakee batian per ker b buhat acha mehsoos huwa..
aur ap ny theek kaha k huamian her wakt kisi na ksi khaber k liy tiyar rehna chayee...
...............................
with joke
wakee bila Anwan hay...
take care
for u
Comment
-
Re: Bila Unwaan
yeh tasalliyan denay ka andaaz....pehlay kabhi nhi dekha, jo jeenay ki duayein detay hein woh khud kin rahon per chal niklay hein, kis safer ki thaan li hey musaferon ne.......heraan hoon.........lekin Allah ka hukam aisa hey k koi uss mein radd o badal nhi ker skta....maut barhaq hey, har nafs ko maut ka zayeqa chakhna hey........phir hum rotay kiyun hein?janay walon chalay gaye iss liye rotay hein ya apni kami ko rotay hein k unn k bagher hum adhooray hein, duniya andher lagti hey humein lekin kis ko khaber masood!.........kuch pata nhi kon pehlay chala jaye........?
Comment
-
Re: Bila Unwaan
Originally posted by Masood:rose Bila Unwaan:rose
Kehtey hain keh aasmano per jahan Hazrat Azraeel (maut ka farishta) baith'tey hain wahan per aik bairy ka drakht hai. Us per har zee'rooh key naam ka aik patta hai. Jab koi bacha pedah hota hai to uskey naam ka pattah us bairy per nikal aata hai, aur jab kisi ki umer khatam honey lagt'ti hai to uskey naam ka pattah zard hona shuru ho jata hai, aur phir hotey hotey woh pattah gir jata ha. Jis din pattah girta hai, usi din insaan ki rooh qabz kar li jati hai.
bohat khoob masood!
waah kya haqeeqat byan ki hay. is aarzii dunya aur zindagii ki haqeeqat par khoob tehreer kiya hay, bohat khoob
thanx
:)
Comment
Comment