Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

    karwa sach
    pata naeen hmm kab tak is per ankeen band rahkeen gay
    :(
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment


    • #17
      Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

      Originally posted by khurram_shaikh
      yeh tehreer perhte perhte aankhien num hoo gayin
      Yeh meri murad to nahin thi keh apney pyarey doston ko udaas kar doon, magar kya karoon? Main afsanvi duniya mein nahin rah sakta, jhooti moothi ghair-haqeeqi duniya ka jo takhayyul hamari pak-bharat ki filmon sey milta hai, woh paish nahin karna chahta - main haqaeeq ko samney rakh kar likhney ki koshish karta hoon - aur us mein mujhey apney dil ka khoon jalana parta hai - jo phir merey pyaron ki aankhon ko nam kar deta hai....

      Originally posted by khurram_shaikh
      hum insaan haqeeqat se bahoot dooor bhaagtey hain humien kisi ke gham ki perwaah nahin hum sirf khud ke liye jeetey
      :maan: yehi to tmaam masaael ki jarr hai keh hamein ney doosron sey muhabbat karna, khaloos rakhna chhor diya hai. Hamein apney aap key siwa kuchh nazar nahin aata, aur phir isi nafsa nafsi mein ham ney bohat kuchh kho diya hai

      Originally posted by Sagheer
      Zabrdast!
      Sagheer bhai aap ko tehreer achhi lagi iska shukriyah ada karoon ga, waqiye yeh tehreer merey dil ki aawaz hai, bohat roya tha dil jab yeh likhi thi... aur dil ki baat ka asar waqiye hota hai

      Originally posted by saarbaan
      aap nay moaashiray ka mushaida jis bareek beeni say kia, zindigi ki oonch neech ko jis tareeqay mehsoos kia un sab waqeeat aor talkhioon ko alfazz mein proo ker hamaray samnay rakh dia jo keh bila shubaa daad kay mustahq hein..yehan is baat ka iqbal kerna hi parta hay keh aap nay jo likha theek likha lekin is say ziada aap kay andaz e bayaan ki rawangi, khubsoorti aur teekhay pan ko ko bhi tasleem kerna parta hay.yeh ik manjhay howay musannif ki nishani hay
      mehsoos yeh hota hai keh hamarey moashrey ki buniyaad DARD peh rakhi gaee hai. Ya phir issey dard-aashna kar diya geya hai. Jahan kushiyaan dhoondney sey milti hai aur dukh na chahtey huwey bhi miltey hain.....

      Originally posted by Ambreen
      muashrey ka intehai bhayanak pehlo ujager kiya hai aap ne apni tehrer ke zarye ...
      ..... ab aaiye in dukhoon ka baant lein :)

      Originally posted by muskaan
      aap nai bauhat hi achi tehreer likhi hia masood jis mein sachai bhi hai aur talkhi bhi hum loog wakai sirf aur sirf nazrain chura rahai hain apnai aap mien hamein aib nazar atai nahi aur hum sirf dosroon par ungliiyaan uthatai hain ye bhool jatai hain kai khud hum mein kitni kami hai khud hamara mashra kis kadar khokhla hai afsoos hota hai ye sab dekh kar sun kar jaan kar lekin hakeekat bhi yehi hia kai ab hamein sirf nazrain churana ata hai ...
      Muskaan hamara bohat khokhla hai, is mein qadam qadam peh ghair-insaani salook rawa rakhey huwey bheriye miltey hain, jo apney sey kamtar ko khaa janey key liye bechain hain... iska tadaruk karna ho ga, warna baat bohat biggar jaey gi

      Originally posted by SiyaH BakhT
      Ahan Buhat Umadah.....
      Shukriyah Janab aap ko pasand aai :)
      Originally posted by khan
      Bohat khoob likha hai aap nain kalam ko bohat ache tareke se istamal kia hai aap ki tahreer parR k bohat maza aya.
      Bohat shukriyah Khan, qalam nahin keyboard :tang:

      Originally posted by shy
      is dunia me to har cheez hi kharidi or bechi jati he,nice tehreer

      Haan shy is duniya mein har cheez baichi aur khareedi jati hai, eeman sey ziyada badi amanat kuchh nahin, to eeman bhi baicha jata hai


      Originally posted by Saima Shaheen
      Dil bhar aaya perh ker , buhut Dil ko cho lene wala article hai. Halat ki takhiyon ko buhut achey aur mutasir andaz bayan kiya hai.
      Bohat shukriyah aap ko tehreer pasand aai, kuchh tehreerein siraf alfaaz ka majmooa hi nahin hoti woh dil ko chhoo jati hain, mujhey khushi hai keh aap ko meri tehreer aisi mehsoos hui :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #18
        Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

        Originally posted by filbahere
        karwa sach
        pata naeen hmm kab tak is per ankeen band rahkeen gay
        :(

        Abhi sadiyaan lagein gi Filba, abhi sadiyaan lagein gi! Abhi bohat sey dil jalein ge, tabhi jaa kar roshni ho gi, magar roshni HO GI ZAROOR !!! Keep the faith :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

          Really fabulous...........
          yahii hai ik buhat bariii sachai....jise humiiiin maan leena chahiyeee.....orr iss sacchai kaa samna kuuch is taraah kernaa chahiye kee hum iss sachai ko ACCHAI mai badal dain

          Thx a lot 4 sharing such a real n nice stuff among us

          Comment


          • #20
            Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

            Ta Ji aap ka yeh mazmoon mairay pasandeeda mazameen main shaamil hay is mazmoon ko jitni baar parhti hun soch kay naey zaawiye saamnay aatay hain.aap nay Qalam thaamnay ka sahi maaino main haq ada kiya hay.kaashhhhhh aap kay Qalam kay likhay huway aik aik lafz say yeh talkh aur dukh bhari sachaiyan mitaai bhi ja saktee'n. aap ka Qalam jis tarha jihaad main masroof hay us ki dil say qadar karti hun. aap kay qalaam ki kaat talwaar say kahin teiz hay.:masha
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #21
              Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

              Iss tahreer ko parh kar waqi dil bhar aya ...kafi muskil hota ha such ko lafzo ma dhalna ...per app nay ya kam bakhoobi anjam diya ha :rose
              App ki mazeed tahreeron ki muntazir hon

              Comment


              • #22
                Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                Originally posted by Masood View Post
                Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge - Pehla Hissah
                Originally posted by Masood View Post
                Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge - Doosra Hissah
                Originally posted by Masood View Post
                Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge - Teesra Hissah
                Originally posted by Masood View Post
                Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge - Aakhri Hissah
                Bilkul alfaz freez ho gay MAsood sahib ...aap ki itni dilsoaz itni khoobsoorat itni dilkash..haqa-eq per mabni tehreer parh kar ..........Bya had khoobsoorat khiyal..GO k ...........ek talkh haqeeqat hay ..itni talkh k ..dil dard aashna tu hay magar Rooh per bhi ye bahri parh rahi hay ........Magar ek dum sach ..intahi karwa...magar SACH.......Dill KO choo kar magar Rooh tak ko cheer jaanay wali tehreer .............Koi alfaz nahi koi ....alfaz nahi..

                Thanx ...............aur kuch nahi..
                Bass itna k ..Allah karay Zor-e-Qalam Aur ziyada ...:rose

                Comment


                • #23
                  Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                  Assalaam-O-Alaikum

                  Masood Bhai, 2005 main jab aap nay yeh tehreer likhi thi uss waqt yaqeenan aap nay maashray per bohat hi gehri nazar rakhi thi.... aap ki baat kay main nay zindagi ko qareeb say dekha hay kay sadaaqat aap kay alfaaz, aap ki soch, aap ki maashray per gehri nazar, aap ka soz-o-dard cheekh cheekh kar day rahay hain!!!

                  Main bhi aaj kay mashray 2010 (5 saal kay taweel arsay baad) agar apnay maashray per nazar douRayoon tou KHUDHKASH hamloon ka izaafa hua hay baaqi sab bad say badtar hochuka hay, aaj bhi sar-e-bazar aurtoo ki asmatain bik rahi hain, target killing horahi hay siyasi mafaadat kay liye, students parishaan hay, logon kay rozgaar nahin, noujawan mouseeqi ki dhunoo per sar-e-aam raqs kartay nazar aatay hain, masjidain ab qabrastaan main tabdeel hochuki hain, hukumat corrupt, awam corrupt, aik mochi say lay kay wazeer tak sab kay sab UPPER ki amdani kay mohtaaj hain.......!!!!

                  Main aap ki tehreer paRh kar apnay mashray ko dekh raha tha aur bilkul ansoo nahin bahay haan afsurda zaroor hua tha..... ab tou ansoo bhi khush hochukay hay...... balkay shayed ansoo hain hi nahin!!!! haan dil zaroor rota hay andar hi andar!!!

                  Likhtay rahyeh aur khush rahyeh

                  May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                  Fi Amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                    Bhai Sahib!
                    Aap ne To Hila kar Rakh Diya!
                    Bless You!
                    :oldie:
                    S T I L L W A I T I N G
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                      Masoood ji aapki yeh tehreer perhte perhte aankhien num hoo gayin ...
                      Allaah Taalaa hamary haal pr Rehem kray Aameen ..
                      Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
                      Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

                      Comment


                      • #26
                        Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                        phir kar diya lajawab

                        shayad iss barhti hui barbadi ki ek waja hum bhi hain ke hum inn sab mian se koi ek burai bhi rook nai saktey ab tu dua main bhi samajh nai aata ke kis kis burai se panah mango

                        dil dehlane wali tehreer hai kash ye bazar hamarey mulk main na hota

                        Comment

                        Working...
                        X