Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musafir!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Musafir!

    Aik chhoti si tehreer :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Musafir!

    Originally posted by Masood
    Aik chhoti si tehreer :)

    Na umeedi kufr hey Masood.........aur jo khud jall ker doosron k liye diya ban jaye wohi shakhs azeem hey......rahi bat humsafer ki to aap ki bat se ittefaq kerti hoon k boht se log zindagi mein miltay hein jo apni manzil pa lenay k bahd sath chorr jatay hein..............mugar aisi soorat mein aap ko pehlay se bhi achay log mil jatay hein. zayada khaloos walay...... zayada muhabatein bantanay walay.........zindagi ager safer ka nam hey to phir iss musafir ko ghabrana nhi chahiye.........k ...kabhi to issay bhi manzil milay gi..kabhi to iss ka safer bhi na tmam ho ga.so be .

    Comment


    • #3
      Re: Musafir!

      v nice tehreer masood:thmbup:

      Comment


      • #4
        Re: Musafir!

        Originally posted by Muskan
        Na umeedi kufr hey Masood.........aur jo khud jall ker doosron k liye diya ban jaye wohi shakhs azeem hey......rahi bat humsafer ki to aap ki bat se ittefaq kerti hoon k boht se log zindagi mein miltay hein jo apni manzil pa lenay k bahd sath chorr jatay hein..............mugar aisi soorat mein aap ko pehlay se bhi achay log mil jatay hein. zayada khaloos walay...... zayada muhabatein bantanay walay.........zindagi ager safer ka nam hey to phir iss musafir ko ghabrana nhi chahiye.........k ...kabhi to issay bhi manzil milay gi..kabhi to iss ka safer bhi na tmam ho ga.so be .
        Aik ajeeb si soch banti jaa rahi hai duniya mein keh "ham agar kisi ko chhorr kar aagey barh jaein ge to jissey ham chhorr aaey hain ussey aur mil jaein gey - to ham kyun fiker karein". Isi soch per log aik doosrey ko chhortey chaley jaa rahey hain. Aik doosrey sey la'parwaa hotey jaa rahey hain - shayid issey log zindagi kehtey hain, main issey shayid bewafaee kahoon ga keh aap jaan boojh ker kisi us key rehm-o-karam per chhorr jaein keh issey aur mil jaein gey. Rishtey yehi sey toot'tey hain. Dostiyaan yehi per pheeki parti hain. Sach to yeh hai keh mushkil mein koi kisi ka nahin! Sabhi matlab key yaar hain!
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Musafir!

          Asslam-o-Alikum WR WB

          Ap ki tahreer main jo masge hy wo nice hy ...... ya baat her shaks ko sochni chiya ... aur agr itni umdagee sey likhty rahy to baat to iSNhaalh phnchay gi hi ..... aap ko aik tajweez deyni hy umeed hay bura nhi manay gy ..... aap ka image khubsuart hy . alfazo ko bhi khubsuart andaz main byan kya hy ... in future .. aap bass thora sa image ky mamaly main ya care krya ga ky agr border ban jay ....... to Wah MAshalah Nikhar aajay ga umed hy bagyur bura manay aap ko meri tajweez pasnd ai ho gi ..

          FeaamNAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


          Comment


          • #6
            Re: Musafir!

            Originally posted by Masood
            Aik ajeeb si soch banti jaa rahi hai duniya mein keh "ham agar kisi ko chhorr kar aagey barh jaein ge to jissey ham chhorr aaey hain ussey aur mil jaein gey - to ham kyun fiker karein". Isi soch per log aik doosrey ko chhortey chaley jaa rahey hain. Aik doosrey sey la'parwaa hotey jaa rahey hain - shayid issey log zindagi kehtey hain, main issey shayid bewafaee kahoon ga keh aap jaan boojh ker kisi us key rehm-o-karam per chhorr jaein keh issey aur mil jaein gey. Rishtey yehi sey toot'tey hain. Dostiyaan yehi per pheeki parti hain. Sach to yeh hai keh mushkil mein koi kisi ka nahin! Sabhi matlab key yaar hain!

            hnmmm iss post k jwab mein zayada kuch per itna zaroor kahoon gi k jo log kisi ko chorr ker aagay barh jatay hein ho skta hey k unhein bhi kisi ne chorr hi diya ho!.......ya unn ki zindagi mein bhi wo waqt zaroor aata hey jub wo pachtway ki aag mein jalnay lagtay hein...........iss liye be fiker rahein jo log aap ko chorr rahay hein wo khud bhi bhugtain gay.........mera to yehi khyal hey........ap iss baray mein kia kehtay hein?

            Comment


            • #7
              Re: Musafir!

              Assalaam o alekum,


              waah waah bahooot khoob masooode bahoot umdeh tehreer likhi rehi beecharnien ki baaat to yeh to qudrat kaa qaanooon hai sab hi bicherte hain milte hain ?? ek beehtreen tehreer hum sabse share kernien ka behud shukriyaa khush rahien
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment


              • #8
                Re: Musafir!

                hmm bohat acha likha hai aur kafi had tak sachi baat b

                thanx

                Comment


                • #9
                  Re: Musafir!

                  hmmm....! aik Karwa Sach

                  ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                  tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                  Comment


                  • #10
                    Re: Musafir!

                    bohat acha

                    Comment


                    • #11
                      Re: Musafir!

                      :masha Buhat khoobsoorat hai ye chooooti c orr saccchi c dastaan....shaid herr insan kiii?:)

                      Comment


                      • #12
                        Re: Musafir!

                        Lafz kis tarha goongay baihray ban jaatay hain yeh sab read kar kay aisi hi kaifiyat taari hay......likhnay ko kuch hota to likhti zaroor.kaihnay ko kuch hota to kaihti zaroor.
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Musafir!

                          aahan reallly nice
                          qalam pay giraft bohat mazboot hay
                          keep it up .

                          Comment


                          • #14
                            Re: Musafir!

                            mr MAsood kabi kabi esy be too hota hai kay jenay ham apna dosat yaa hamsafar samjhty hain woo aak break point hota hai, ham une ki manzal nahi hoty hain auer unay agay jana hota hai. Auer jeny ham koi ahmiyat nahi daty hain jin ko ham choair ker agay janay ka sochty hain woo he hamary hamdard hoty hain. bas fark itna hai kay insan ko pahchan kerni aati hoo.auer bar bar thoker khana be koi akalmandi nahi hoti hai.

                            Comment

                            Working...
                            X