Asslmaoalikum :)
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
!!--Masood--!!
Collapse
X
-
Re: !!--Masood--!!
Assalam.o.Alaikum,,,Is may koi shak nahi k Ta ji nay jis azm.o.himmat say qalam thaam rakha hay us ka suboot un kay likhay huway mazameen hain.jab jab bhi likhtay hain kamaal likhtay hain.un ka har mazmoon parhtay waqt yahi maihsoos huwa kay"ham bhi to yahi likhna chahtay thay"ham bhi to yahi kaihna chahtay thay" laikin yeh bhi aik Khuda daad salahiyat hay jo k har aik ko naseeb nahi.Ta ji is hunar say Masha Allah mala maal hain.un ka har mazmoon aik say barh kar aik hay.Nazm ho ya Nasr ' parhnay waala "waah waah" par khud ko majboor pata hay.mairi tarha Ta ji kay bouhat say Fan is duniya-e-Adab may hain.Ta ji ka qalam jis tarha Jaihaad may masroof hay woh bhi apni jagha qabil-e-tehseen amr hay.Ta ji aap likhtay rahain aur ham parhtay rahain aur bouhat kuch seekhtay rahain.Aap un writers may sir buland kharay hain jo kay parhnay waalon ko ander say jhinjhour kay rakh daitay hain.Allah aap ko aur aap k andaaz-e-tehreer ko mazeed jila bakhshay.AameenLast edited by hayaa_n; 12 October 2005, 21:37.:roseENIGMA:rose
-
Re: !!--Masood--!!
woow aap logoun ne jis tarha masoode ki tareef ki hai shadi hi mei kabhi kar sagti.....lekinm waqiye mei jo inki bechaani hai woh to inki baatoun se hi saaf zahir hoti hai....
aur besides that masood jaise loog aaj kul ki duniya mei bohat kum hhote hai.niyat ke saaf or dil ke saaf......
masood mujhe pata hai tumhari hamesha mujhse shaqayat rehti hai ke mei pegham be bohat kum ati houn.....lekin i swear .........ati houn to sirf apne dost ke liye yani tum...warna kabhi na ati...hala nake yahan ke loog bohat i ache hai......so nice ppl in here......and sub se acha to is pegham ka chief hai yani tu.....allah ujhe hamhesha khoush rakhe ullu.....and keep smiling all the time....
Comment
-
Re: !!--Masood--!!
Hmmm........ bilkul sahi kaha Adnan, is baat per main tum se mukamal ittifaq kerti hoon:thmbup: . Masood ki shairi to main ne kam parhi hai magar in ke articles aur mazameen parhey hain aur buhut matasir huwi. Sachi sachi btao'n to jab tak main pehely ek dosrey forum main thi masood bhi wahi hotey they magar meri in se kabhi baat nahi huwi, in ka nick avatar kabhi kabhi nazar aata tha to sochti thi yeh kon barey miyan hain pata nahi :lol ......... boaring si personality lagtey they :p :D
Magar jab main ne in ke articles parhey to yaqin kero meri rayeh in ke barey main bilkul badal gati.....wesi hi thi jesa tum ne kaha......yeh ek waja thi meri masood se dosti ki aur pegham per aamad ki........ main ne koi dosra forum join kerne ke barey main socha hi nahi tha kabhi, aur yahan sach hai ke main aayi to sirf Masood ki waja se, generally visit kerti thi magar phir yahi ki ho gayi, ous ki waja yahan ke logo ka pyar aur ehteram tha jo sab ek dosrey ka kertey hain, aur wo mahoal jo Ilam-o-adab ke dairye main reh ker banaya gaya hai. Khuda issey kamyabi, taraqi aur arooj dai Ameen.sigpic
Comment
-
Re: !!--Masood--!!
Umm yaha sirf masood ki tareefain he kerne hain ya ...:wink
Umm aap sab ki baat sy totally agree hon main .. :)
Masood ki gazals ,nazms, articles sab he ka jawab nahe hain..he has very realistic approach towards life..One thing i really like about him that he alwayz tries to make others happy..He has got a big gentle heart engouh to forgive any one anytime & enough to absorb the biggest pain in it.
May Allah bless him alwayz & his all dreams & wishes will come true .aameen
Comment
-
Re: !!--Masood--!!
Galat baat to main aaj bhi bardasht nahi kerti, yeh meri fitrat main hai shayed, aur fitrat kabhi badalti nahi.
Rahi baat pangey ki, to panga wanga na main kerti hoon na mujhe is ka shoq hai ........ is se hatalimkan bachney ki koshish kertihoon, magar koi jaan bhoj ker koi aisa panga karey aur baazna aayeh to ousey ek baar ous ka jawab zaror deti hoon.sigpic
Comment
-
Re: !!--Masood--!!
shairi to kabhi nahi perhi itni tafseel sey magar mazaameen zaroor perhey hein, aur mey ney to khud Pegham per aa ker lilkhna shuru kiya hai isi liye ye Pegham mujhey bohot azeez hai,
Mmm tareef to Masood bro. mey ney koi nahi kerni kyoon key sab ney itni ziada ker di hai :P
leykin du'a zaroor meyri rahey gi key Allah aap ko hamesha bohot khush rakhey aur aap ki zindagi aeysey hi aik achey insaan ban ker guzrey Ameen." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
Comment