Aslamo ALikum
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Zamane ki bheerh main...!!
Collapse
X
-
Re: Zamane ki bheerh main...!!
Buhut sahi kaha Yaram aap ne :) ..... Zindagi mei ager koi hum se bicher jayeh to Tanhayi ous ki yadain ous ke sath se kam nahi hoti. Jese Momin ne kaha hai :-
Tum mere pass hotey ho goya
Jab koi dosra nahi hota
Magar Tehreer ke aakhir mei aap ne jo shair likha ous ka tehreer se taluk wazeh kijiye ...samajh nahi aayasigpic
-
Re: Zamane ki bheerh main...!!
aisa gum hoon teri yadon key biyabano mein
dil na dharkey to sunaee nahin deta kuchh bhi
sochta hoon to har ik naqsh mein ik duniya aabad
dekhta hoon to dikhaee nahin deta kuchh bhi
Adnan jinhein jana hota hai woh chala jata hai. Aur haan ussey talash karney ko dil bhi karta hai, aur shayid ussey talash bi kiya jata hai, magar jab woh na milley to yeh samajh lena chahiye keh woh zindagi ka saathi nahin balkey zindagi ka aik hissah tha. Waqt jo guzar jaey woh laut kar nahin aata, isi tarha jissey kabhi na lautney key liye jana hota hai woh kabhi wapis nahin aata. Haan insaan jab tak chahey ussey apni yadon mein bsaa ley, jab tak chahiye us sey tanhaee mein batein kar ley - magar milley ga kuchh nahin....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Zamane ki bheerh main...!!
Jee han sharing ka shukrya........................................
aur han jahan tak sher ka taluq hai to is main main ne apni zubaan ki tareef ki hai aur kuch nai yeh mein kisi bhi tehreer main likh sakta hooN chahe wo tutorial ho ya Koi aru ThreadAllah
Comment
Comment