aaj dil chahta hai torr ker zanjeeren.. sahilon ki simt chaloon ..samundron ki gehrayon mein simat jaoon.. aur tujh ko bhoool jaoon .. aaj dil chahta hai ro dooon itna cheekh ke dharti aasmaan bhi kaamp uthey dil ki dharkan khamosh ho jaaye ... aaj dil chahta hai ..maut se galey miloon.. jab bhi aati hai.. koi tootey badal sa roop hoti hai... sisakti zindagi ko chorr ke phir dooor chali jaati hai... ghamgeen na ho... keh ker... ashkon ki mala thama jaati hai ... aaj dil chahta hai... aansooun ki jharri na tootey... cheekh o pukar se shor ho tanhaii main... lekin.. sab kuch keh doon to paas merey reh jaye ga kia.. pehley main aur tanhayee der talak raaton se suboh talak teri yaad main jaagtey hein.. aansoo gaalon ko choomen to ... aankhen muskaney lagti hain.. aaj dil chahta hai.. laut aao tum merey paas... aaj dil chahta hai.. gumrah si zindagi ko jeeney ke liye koi maqsad ho .. koi maqsad piar bhara khushion si muskaan bana ... aaj dil chahta hai.. door kahin chali jaoon... jahan teri yaad ka koi pal mujh se mera sakoon na cheeney ..aaj dil chahta hai...... zindagi tamam ho jaye... ab aur nahen jiya jata hai ..
by me (a)
by me (a)
Comment