Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Insaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Insaan

    Originally posted by Aania View Post
    Phir bhi ...insaan ..insaan ki teraf dekhta hai ... madad ke liye saharon ke liye... Khaliq e Kaynaat to Rab Ta'alaa hai...har sheh pe qadir.. phir kion insan insan hi se tawqo kiye betha hai.. pyar paaney ke liye... kion dil behak jatey hein..kion dil mayoos ho jatey hein.. jab ke Allah sun raha hai dekh raha hai Kaynat ki har sheh pe qadir hai.. benayaz hai ..yakta hai.. kabhi burayee ke raastey ki salah nahen fermata... to kion insan .. waqti rakh rakhao waqti dil-lagi..dunyawi.. behkawon mein bhatka hai.. dunya to wo Theater hai jis pe ham Act ker ke chaley jayen ge..
    kion shetan is qadar haawi hai..ke ham khud ko bhool chukey hain..kion shetaan is qadar haawi hai hamarey nafs pe .. hamari soch hamarey pe keh ham... bhalaii ka raasta ikhtyaar kerney se... ghabratey hein... ye wo sawal jo shayed har muslim dil main uth-tey hon ge kabhi ..
    misaal barri khaufnaak hai.. kuch logon ke liye shayed na-qabil e bardasht.. butt banaye ... jitni bhi lagat aayee... butt bana diyaa... pooja kerney ke liye... phir apney haath ki banaye butt se manga ke hamen de... kia wo butt hansta nahen hai.. soch ker ke mujhey banaya bhi khudi aur mujhi se maang rahey ho?
    ham dunya main jo bhi kar rahey hain.. apni zaat ke liye kar rahey hain.. waswason ka shikar ho ke.. behak jatey hein.. bhatak jatey hein.. peeron faqeeron ka rukh kartey hein..
    kia kabhi kisi peer faqeer ke halat nahen dekhey hain ham ne? najoomyon ke pas jatey hein.. qismat badal do... kia us najoomi ne apni qismat badli?? aik to shirk ka ilm ooper se is shirk se rozi roti kamana ..jab shirk qarar de diya giaa to kese... barkat ho gi.. us ke kaam main.. ya uski banayee huii qismat main??
    kab tak behkey rahen ge? bhatkey rahen ge.. kisi aaj kisi pal ko to ... reality jaan ke .. face ker ke ..dream ko chorrna parrey ga.. khuwab dekhna aasaan hai... us ki tabeer ke liye.. amal chahye.. to neend main rehney se kia
    agar Rab sohney...ne peda kia hai.. to taqdeeron ke faisley bhi to likh diye .. deen e aagahi ki rehmat barsayee ke ham na bhatken.. bhatken bhi to .. sambhal jaayen... lekin kabhi kabhi.. ham bohat aagey chaley jatey hein... murr ke dekhney ko dil nahen chahta.. wo Rab sohna kitna be-nayaz hai.. jo har dam tobah ka dar khula rakhey hai..
    "wohi to hai jo tumhen apni nishanyan dikhata hai..aur aasmaan se tumharey liye rozi utarta hai..magar naseehat sirf wo leta hai jo uski teraf rujoo kerta hai..(aayt 13 surah Al-Momin)
    to ji Allah taufeeq ata fermaaye...deen ki raah pe ...chalaney ki...burayon se bachney ki... aameen...

    by , me (A)
    Great work aania..
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment

    Working...
    X