Kabhi dil se kisi ko pyar kia hai???
Kabhi dil se kisi ko pyar kia hai?? kitna ajeeb sa sawal hai naa... jo khud main chupa hua aur ayaan bhi jawab hi hai..hai naa.. ? kitney haseen sapney hotey hein aankhon ka manzar hamsafar ki deed aur hamsafar ka deedar zindagi ban jata hai hai naa? kitney phool se bikhrey har simt nazar aatey hein kitni muskurahaten , masoom khuwahishaat ka jazeera keh lo ya band aankhon se din ki roshni main sajaye huye khuwaab kitni suhani zindagi kitna chanchal har pal ..har din khud main surkh gulabon ki safed motye ke jesi khushbu liye aata hai aur rangon ki dhanak ghar ke har koney mein dil ke har dareechey mein bikhri huii... kitna haseen hai na pyaar.. ujli sub-hen..mehki shaamen...gharz ke din ho ya raat har pal har lamha pyar ka geet har simt hi gaatey huye milta hai... hai naa??
aur phir.. sapney tooot jaatey hein.. kirchiyaan armaanon ki khamoshi se dil ke har taar ko har saaz ko har rang ko chikna-choor kar deti hai... har simt chaya hua din ka ujala aur phoolon ki khushbu.. aankhon main aansoo ban ke jhalakti hai... har sapna kaanch ki chooryon ki terah tooot toooot kar bikhar jata hai.. dil ko dard sa honey lagta ..aansoo cheekh ban ke dil hi dil main ghar kar jaatey hein.. labon ki muskurahat aankhon main koi ashk ban ke kabhi chup bhi jaati hai kabhi.. chalak bhi jaati hai..
sab rangon ki ra'anaayan khatam ho jaati hain... phoolon se khushbu chura li gayee ho jese .. na ko soch na umang na khuwab ..shayed gham se bojhal aankhen.. chamak kho beth-ti hain..aur dard se nidhal hua dil jeena chorr deta hai... dikhawey ki aarr liye lab hanstey hansatey rehtey hein... qehqahon ke shor main.. koi cheekh gham ke bojh se seeney se paar ho bhi jaaye to koi kia jaaney kesa dard chupa hai jo bas andar kahin dafan hai siskyaan letey huye... kion pyaar aiesa hota hai.. kion ..kabhi dil se kisi ko pyar kia ho to jano..ye dard kitna bhayanak hai..sehtey huye bhi saha na jaaye.. hanstey hanstey bhi ro parrey... kabhi dil se... :)
by me (A )

Comment