tumhen to yaad bhi nahen hon ge...wo pal.. jin mein.. ham miley..aur bicharr bhi gaye.. haan beperwahi.. aadat jo thehri tumhari.. meri aankhen kion aaj bhi nam hain... kion mujhey aaj bhi yaad aati hai.. tum se kaha tha naa. rulana nahen... dooor jana nahen.... chalo koi baat nahen.. shayed kuch waqt aur chahye.. phir se jeeney ke liye... haan qismat se dar lagta hai.. ..bohat dar lagta hai... kion...khushi raas hi nahen aati.. kuch bhi nahen.. shayed koi mayoosi ka ghana badal... ruka hai.. dil ki fizaa main....aur aankhon ko behisaab nam kiye jaa raha hai... nahen acha lagta jantey ho naa... aansoo... gham... achey nahen lagtey phir bhi... ik khel hai piaar kaa.. ke jis mein...band aankhen... yehi kahoon gi... khuli bhi hon chahey... zamana .. misaal baney saamney ho chahey... band hoti hain dil ki aankhen... jo phoolon ki khoobsoorti... nazakat mein.. chupey kanton...ko nazar andaaz kiye jaati hain.....jantey ho dil haarta nahen hai... tum palat to nahen aao ge... aanaa bhi nahen... roti aankhen tumhen bhi to pasand nahen.... huh ..kher ehsaan ker do.... in lambi tanha raaton mein... jani anjaani raahon main...hansti roti dil ki dunya main...aansoun ki kahani main.. ratjagon ke andheron main... din ki betahasha tanhayon main.. ab yaad to aayaa na kero....bhoool kion nahen sakti main... bhoool kion nahen jaati main.....mujhey bhi to jeena hai.... mujhey bhi to jeeney do... yaad naa aayaa kero tum... mujhey bhi to jeeney do naa.... yaad naaa aayaa kero...ehsaan ho ga mujh pe... yaad naa aayaa kero naa...
by, me (A )
by, me (A )
Comment