Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

itni jaldi kia thee..??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • itni jaldi kia thee..??

    aap batao ge kese qabool keroon is haqeeqat ko...aap to chaley gaye ho..dheron mitti taley dafn ho gaye ho ...mera dil nahen maantaa..kitna mushkil hai is haqeeqat ko maan'na ,,,mujhey se nahen saha ja raha....taoo ji aa jaao wapis...ab kon sunaye gaa mujhey ...bachpan ke din..wo sab sherarten jo aap ko yaad theen...jinhen suna suna ke aap hanstey the....aa jao na wapis...kion aiesey h jata hai...jin ko sab chahtey hein..Allah bhi unhen chahta hai...kabhi bhooley se koi mujh se khata ho gayee ho naa....to muaf ker denaa...Taaoo ji...mera dil kion nahen maan raha...kion lagta hai abhi kahin se aao ge...aur chaye bana'ney ko kaho ge...pata hai sab ro rahey hein...kisi ke aansoo nahen ruk rahey naa..
    itni jaldi kia theee...??? .....
    Allah aap ko jannat ul firdous mein jagah ataa fermaaye..



    i m speechless..
    nahen ho raha mujh se
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: itni jaldi kia thee..??

    Assalam-o-Alikum WR WB

    Aap ki feelings hum samjh sakaty hy .... mahsoos kar sakaty hy but jo aap ny feel kya hy un ky liya alfaaz really hard ho jatay hy .....

    Hamarai bhi dua hay ky Allah Pak sab Insano ko Janat main hi Jagfah dey Ameen

    FeaamnAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


    Comment


    • #3
      Re: itni jaldi kia thee..??

      Aani - chaley janey walon ki yadein hi rah jati hain. Kabhi hamein bhi unhi raston per jana hai aur hamarey baad key log hamein pukara karein gey (shayid) magar ham nahin hongey aur na wapis aa paaein gey. Bas yadein rah jati hain :rose
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: itni jaldi kia thee..??

        Aania ye zindagi bohot uncertain hai, apney agley aik sec. bhi aap waqif nahi hotey kab kya ho jaye

        Agar Agley Imteyhaan ki tayyari mukamal ho to ye zindagi bohot pursakoon guzarti hai

        Allah T'ala hum sab apney Amaan mey rakhey Ameen--
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: itni jaldi kia thee..??

          dukh to dukh hi reh jata hai... yaadon ka roop le ker... lekin khatam nahen hota... :(
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #6
            Re: itni jaldi kia thee..??

            Originally posted by Jhumroo
            salaam Aania,

            jaane chaale jaate haiN kahaaN yeh dunyaa se jaane_waale
            milte nahiiN qadmoN ke nishaaN, aise jaa ke phir na aane_waale

            ji Aania...yeh dunyaa banii hai us dunyaa kii aabaad karne ke liye, hai na? Allah ne yeh sab kis liye kiyaa? yeh to vohii jaane! magar maiN bas itnaa hii jaantaa huuN k ham paida kiye gaye haiN US kii inaadat aur itaa'at ke liye.

            USkii razaa ke aage sar-e-tasleem Kham kar dena hii ain 'baafat aur 'tyaa'at-e-Rasool hai [s.a.w.s.]

            AsGhar GonDvii shaa'ir-e-marHoom o maGhfoor ne apnii jawaaN_saal beTii ke intiqaal-e-pur_malaal par yeh do ash'aar kahe the:


            chalaa jaataa huuN ahNstaa kheltaa mauj e HawaadiS se
            agar aasaaniyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye

            aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
            jo Gham huaa use Gham-e-JaanaaN banaa diyaa


            jo Gham detaa hai Vohii us Gham kaa mafdaavaa bhii kartaa hai aur insaanoN ko yeh nusKhaa tajveez kiyaa

            namaaz aur sab se kaa, lenaa chaahiye, kiuNki, Allah Ta'aala farmaate haiN:


            wasta'iino bis_sabre was_salaat

            neez yeh bhii k, beshak, Allah sabr karne_waaloN ke saath hai:

            innal_Allaha ma'as_saabiriin

            _______Jhumroo
            aap ne bilkul theek kaha ji... :) fir bhi yaaden to unmit hain naa... sabr aa chuka bhi hai aur bhi aa jaye gaa waqt ka haath thaamey huye... :)
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment

            Working...
            X