Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khat

    Dear,

    umeed kerti hoon aap theek hon ge apney haal main mustaqbil ke khuwab sajaye, zindagi ke pursakoon lamhaat shayed bachpan se shuroo ho ker waliden ke ghar se rukhsati ke waqt tak bohat aasan hotey hein, najaney kis gharri Mom ne poocha aur bachpaney mein kahye, ya rasm e dunya ham ne haami bhar li is rishtey ke liye, ajeeb sa aalam tha, dil o jaan pe koi hichkichahat nahen, bas aik drama ki us heroin ke kirdar sa mahol ustawar raha zehan per, jis ke ird gird ki har nigah us pe jami hai, go to aap hamarey mangetar hein, sahelion ke cherrney pe bhi aap ki kabhi yad nahen aayee shayed, ya bas wo lamha ke jab aap ne apney hathon mein mera hath liye angoothi pehnaii thee, sab khush the, dil dhak dhak kar raha tha, na janey kesi khamoshi si thee dharkanon ke aas pas, ke dharrkan ke siwa aur koi shor sunayee nahen de raha tha, aap ki pehli phone call, mein shash o panj main rahi, ke aap ko mujh se kia baat kerni hai, ya mujhey aap se? aap ki aawaz main wo ik jumla ke ajnabiyat khatam kerna chahtey hein, lekin ham to dost bhi nahen, rasm e dunya nibhaney ko, rasm o riwaj nibhaney ko shayed shadiyan hoti rehti hain, Mom se pooch ker bata doon gi, lekin milney nahen aaoon gi, chalo acha bahana hai milney nahen aao gi, koi baat nahen, main gahey ba gahey ghar aata rahoon ga, .... mein samney kion ker aaaon, abhi aap ke saath ki aadat nahen hai na, kuch waqt deejye, soch ko is nayee aaney wali zindagi ki teraf raghib kerney ko, kia keroon.. merey zehan se abhi tak, college ki saheliyan, un ke phone calls, chooryon, rangon ki baten, behn bhayon ke sath bitaye pal .. door nahen rehtey, yun keh lein... zindagi ke nazm o zabt mein abhi tak aap the nahen ... yun lagta hai waqt lagey ga kuch aap ko har soch mein shamil kerney ko, acha ye bataye aap ke liye zindagi dono terah se kia hai, aasaan kia hai, mushkil kia hai, kher apna jawab likhye ga .. takeh mujhey bhi kuch chun-in-da nuqaat rahnumaii de saken ..

    Allah Nigehbaan......!!

    by, Me (A)
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Khat

    bhohot achchih koshish hai aania jee,keep it up sharing with us

    Comment


    • #3
      Re: Khat

      Salam
      wow bi bi aaj bohat arsay baad maiN nay game arcade main nahi khaili aur yahaaN aayaa but i was some how shocked with the level of maturity you shown its great... keep it up...

      but i must say keep your words simple as much as you can chun-in-da types are not helping and i must say that you ve taken your self up to another level .. good job...
      Baykamal

      kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

      Comment

      Working...
      X