Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dosti

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dosti

    Dosti wo rishta hai jo zindagi mein khushyaan bhi lata hai aur gham bhi... achey dost naseeb walon ko miltey hein...haqeeqi dosti ki bunyaad sachaii hai.. achey burey waqt main jo saath na chorrey isey dosti kehtey hein ... baharon ka rang liye dil ke anagan mein khilney wali kalyaan .. jo har mausam main sakoon o raahat ka ehsas hon.. dosti na khatam honey wala rishta bhi hai aur intihaii nazuk dor se jurra bandhan bhi ..

    dost mushkil ho ya aasaani apni pehchan khud kerwatey hein .. kabhi giley shikwey bhi hon ge kabhi mazah tanz bhi .. lekin sachi dosti qaiim rehti hai bilkul usi terah jesey Jarron (Roots) ko pakarr ke rakhtey hein shajar..

    dost hamari kawishon ko sarahey aur aap ki khamyon ko bhi samney laye ye dosti ka aur dosti ki sachaii ka taqaza hai .. dost hamen achi aadaat bhi detey hein aur buri aadaat se bhi naqaztey hein .. akser suna ho ga .. ke insan ke kirdar ko janchney ke liye us ki sohbat dekhni chahye .. sach hai bhi aur nahen bhi kion ke insaan bazahir sab aik se hain matlab bazahir to sabhi insan hain lekin soch , khayal, amal ke hisab se aik doosrey se bohat mukhtalif.

    dosti wo rishta wo saath keh sadaa-bahar khiltey phoolon ka rasta bhi aur aik pal sath chal ke bichar janey wali yaad bhi ..
    Dua hai ke Allah sab ko achey aur nek doston se nawazey aameen ..

    by, me (A)
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Dosti

    dosti :thmbup:
    buht khusbsurat lekha hai Aania ji.... khush rahien:rose
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: Dosti

      nice baoht khub kea baat hai
      aap ka lekkhny ak tareka bohat acha hai nice
      keep it up

      Comment


      • #4
        Re: Dosti

        Originally posted by Aania View Post
        Dosti wo rishta hai jo zindagi mein khushyaan bhi lata hai aur gham bhi... achey dost naseeb walon ko miltey hein...haqeeqi dosti ki bunyaad sachaii hai.. achey burey waqt main jo saath na chorrey isey dosti kehtey hein ... baharon ka rang liye dil ke anagan mein khilney wali kalyaan .. jo har mausam main sakoon o raahat ka ehsas hon.. dosti na khatam honey wala rishta bhi hai aur intihaii nazuk dor se jurra bandhan bhi ..

        dost mushkil ho ya aasaani apni pehchan khud kerwatey hein .. kabhi giley shikwey bhi hon ge kabhi mazah tanz bhi .. lekin sachi dosti qaiim rehti hai bilkul usi terah jesey Jarron (Roots) ko pakarr ke rakhtey hein shajar..

        dost hamari kawishon ko sarahey aur aap ki khamyon ko bhi samney laye ye dosti ka aur dosti ki sachaii ka taqaza hai .. dost hamen achi aadaat bhi detey hein aur buri aadaat se bhi naqaztey hein .. akser suna ho ga .. ke insan ke kirdar ko janchney ke liye us ki sohbat dekhni chahye .. sach hai bhi aur nahen bhi kion ke insaan bazahir sab aik se hain matlab bazahir to sabhi insan hain lekin soch , khayal, amal ke hisab se aik doosrey se bohat mukhtalif.

        dosti wo rishta wo saath keh sadaa-bahar khiltey phoolon ka rasta bhi aur aik pal sath chal ke bichar janey wali yaad bhi ..
        Dua hai ke Allah sab ko achey aur nek doston se nawazey aameen ..

        by, me (A)
        :) i am speechless...aania mein itna janta hon ke tum dil ki sachi aur doosti ki pakki larki ho...hum loog shayad is kabil bhi nahi ke doosti ker sakein...i would like to confess ke PG pe jitnay bhi doost hein...u are the greatest of all...proud to have a friend like u...be blessed...Allah tumhein bohat khush rakhay
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Dosti

          Originally posted by Aania View Post
          Dua hai ke Allah sab ko achey aur nek doston se nawazey aameen ..

          by, me (A)
          Ameen:rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Dosti

            hehe
            dosti zindagi k harr ik mausam maiN sakoon ka itminaan ka baaes bay dhaRak bay hijab qaul iqrar aur inkaar ka murakkab... apnay aap maiN sabb rang liay aur harr rishtay ka Dhang liay... Dosti ... aaj b apni pasand say banaya hua paayaedaar rishta hay... bohat achay aanu zabardast i think k i ve missed seeing you become a mature writer.. dont look back.. paththar ki ho jao gi.... smile plz
            Baykamal
            Last edited by baykamal; 18 July 2007, 07:23. Reason: spell mistake

            kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

            Comment


            • #7
              Re: Dosti

              Dosti karna assan par nebhana mushkil hay
              KITNE KAMYAB HAY MATA E KHULOOS/YUM E ASHOR JAISSAY MUJ E FARAT
              ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

              Comment


              • #8
                Re: Dosti

                dosti ap ne jo kuch bhi likha hae bahot acha likha hae

                Comment


                • #9
                  Re: Dosti

                  Dosti @
                  wah kia khoob likha hai ap ne Aania

                  Comment

                  Working...
                  X